Monday, December 31, 2007

RAAT KA ANDHERA

DUNIA FAANI HAI DUNIYA SABSEY BEGANE HAI
APNEY HAAL PEY ROTI HAI CHANDNI KAL PHIR BHI KHIL JAANE HAI...



AUR THODI DER MEIN MANZAR YE BADAL JAYEGA
RAAT KA ANDHERA SOORAJ KO NIGAL JAYEGA

YE JAWNI,YE JAWAN RATEN AUR MEHFILEN
WAQT BADALTE HI YE MANZAR BHI BADAL JAYEGA

AAJ AASMAN PAR JO PANKH FAILAYE UDE
WO ZAMIN PAR AAYENGE AISA BHI EK KAL AAYEGA

PHOOLON KI KWAHISH HO TO TUM BHOOL NA JANA
MUMKIN HAI DAAMAN KAANTON MEIN FISAL JAYEGA

KHOOBSOORAT HO,HANSI BHI ISMEN KOI SHAQ NAHIN
JISM FANI HAI "SHMIM" KHAK MEIN MIL JAYEGA

Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai


Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai
Unhe Khona Bhi Mushkil Hai,Unhe Pana Bhi Mushkil Hai
Zara Si Baat Par Ankhe Bhigo Kar Baith Jate Hai
Unhe To Apne Dil Ka Haal Batana Bhi Mushkil Hai
Udasi Unke Chere Par Gawara Bhi Nahi Lekin
Unki Khatir Sitare Tod Kar Lana Bhi Mushkil Hai
Yaha Logo Ne Khud Par Itne Parde Dal Rakhe Hai
Kisi K Dil Me Kya Hai Nazar Aana Bhi Mushkil Hai
Mana K Khawab Mein Mulaqat Hogi Unse Par
Unke Bina Neend Aana Bhi Mushkil......

Saturday, December 29, 2007

Bhula Di Humne

Bhula Di Humne
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Humne
Us Ki Her Baat Bhula Di Humne

Ek , Ek Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Humne

Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Humne

Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Humne

Aj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Humne

Koi To Baat Hai Us Main
Her Khushi Jis Pay Luta Di Humne

Bohat door kahin door se aye hain hum

Bohat door kahin door se aye hain hum
yu hi kahin chale jayenge hum
abhi to huyi hai mulakat tum se
ek din tum se bichhad jayenge hum

door jo rehte hain pass woh aate nahi
chup jo rehte hain khud woh batate nahi
tum se door ho kar bhi jee na payenge hum
ek din tum se bichhad jayenge hum

tumhare har dard ko hum ne yu mahsoos kiya
ansoo bana kar ankhon mein hum ne baha diya
har dard ko dil se tumhare chura le jayenge hum
ek din tum se bichhad jayenge hum

tod leta agar woh gulab hoti

tod leta agar woh gulab hoti
mai jawab banta agar woh sawal hoti
log jante hai mai nasha nahi karta
magar pee leta agar woh sharab hoti.


yeh arzoo nahi kisiko bhulaye hum
na tamnna hai ki kisiko rulaye hum
par dua hai us rab se jisko jitna yad karte hai
unhi ko utna yad aaye hum.


kinaro pe sagar ke khazane nahi aate
phir yadon me woh dost purane nahi aate
jilo in hasin palo ko hanske janab
phir lout ke dosti ke zamane nahi aate.


ummid ki kashti ko duboya nahi karte
shahil agar dur ho to roya nahi karte
rakhte hai jo dil me tadap kisiki
woh raton ko bhi soya nahi karte.


din teri yad me bit jata hai
rat ko bhi tera hi khayal aata hai
kabhi to ye khayal is tarah bas jata hai
ki,aaine me bhi tera chehra nazar aata hai.

Friday, December 28, 2007

Kyun Dil mera Muddat sa

Muddat sa jiss ka waaste Dil ba qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha

Jo humsafar tha chor gaya raah ma mujhe
Ma phans gayee bhanwar main woh darya ke paar tha


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ka yeh kaisa Pyaar tha


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha


Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha


Yeh baat umer bhar samjh na paayi ma
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha

*Phir kyon itna...?*


*Phir kyon itna...?*


*Hamko kyon tumne bhula diya
Dekhe hansi hontho pe
Phir kyon itna rula diya

Jin hatho ka tha sahara
Unhone hee duba diya
Hamko chhod majdhaar
Khud sahil pe gaya

Mere gum kee ye daasta
Sunta hai zameen ashmma
Ek na sune wahi
Jiske liye jita hoon yahana

Hamko mila ye kya sila
bhulyaa jinke liye sabko
Unhone hee hamko kyon bhula diya

Dard hai dil main
Ankho main anshoo mere
Din ke ujale main
ab bhee sapne dekhoon tere

Na hai ab koi manjil
Mile na kohi raste
Lagta hai jese ye jindgi
Mili hame Gum ke waste

Bhula esa kyon diya
Jee na paaye chahkar bhee
Hum to tumko bhula na paayenge
shayad ab to markar bhee

Thursday, December 27, 2007

BEWAFA BANKAR KHUD PER YU SITAM DHAYA NAHI KART

BEWAFA BANKAR KHUD PER YU SITAM DHAYA NAHI KARTE

PYAR MAIN KIYE WADE YUN BHOOL JAYA NAHI KARTE

AUR APNE DEEWANE KO IS TARAH TADPAYA NAHI KARTE

AGAR KAM NA KIYE YE SITAM TUMNE

TOH MIL NA SAKUNGA DOBARA TUMKO PHIR KABHI

KYONKI MAUT KE BAD INSAAN KABHI LAUT KAR AAYA NAHI KARTE

Wo mujhse mere "GHAR" ka pata puchate hain.............

Wo mujhse mere "GHAR" ka pata puchate hain.............

bade nadan hain wo ye kya puchate hain..........

unhe ye bhi nahi maloom ki hum unke "DIL" main rahte hain..........

wo apni "ANKHEN" band karke ke to dekhe jara

hum unke "SAPNO" main
rahte hain................

wo apni "SANSE" lekar to dekhe jara hum

unki sanso ki "KHUSHABU"
main mahkate hain................

wo apne "DIL" ki dhadkano ko sune to jara hum

unke dil ki "DHADKANO"
main dhadkate hain................

wo apne "HATHO" ki lakiro ko dhekain to jara

hum unke hatho
ki "LAKIRO" main rahte hain............

aur kya bataye hum unko dosto ki hum kahan kahan rahte hain.

Mai ek baar sabse khafa hona chahta hoo..


Mai ek baar sabse khafa hona chahta hoo..

Ek baar apne saye se bhee juda hona chahta hoo..

Ye jhooti hansi ab aur nahi hansi jaati humse..

Ek baar.. bas ek baar mai bahut rona chahta hoo..

U to maine paya hai kuch bhee nahi..

Par jo bhee hai mere paas ab mai use bhee khona chahta hoo..

Teri yaade jagati hai mujhe saari saari raat..

Bas ek baar Mai tujhe bhool ke sona chahta hoo

Ghumnam Thi Ek Duniya

Ghumnam thi ek duniya

Ghumnam they raaste

Ghumnam logo ki thi bheed

Ghumnam they humsafar

Ghumnam galiyon main hum jane lage

Ghumnam logo ke beech hum rone lage

Ghumnam bangaye dost hamarain

Ghumnam hogayi manzile hamari

Kab hum hogaye ghumnam

Ke na raha ab hamara naam

Ab hum hogaye is ghumnaam duniya key

Ki nah rahe ab is zaamane key

Ghumnaam si hogayi humari pehchan

Ghumnam rehgaya hamara armaan........!

Wednesday, December 26, 2007

Lahro se dar kar noka par nahi hoti

Lahro se dar kar noka par nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti
Nanhi chiti jab dana lekar chalti hai
Chadti divaro se so bar fisalti hai


Man ka visvas rago me sahas bhar deta hai
Gir kar chadhna chadkar girna isiliye na akhrta hai
Mehnat uski khali har bar nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti


Dubkiyan sindhu me gotakhor lagate hain
Jakar khali hath lot aate hain
Milte na sahaj moti gahre pani me
badhta duguna utsah isi herani me


muthi uski khale har bar nahi hoti
Mehnat karne walo ki kabhi har nahi hoti
Asafalta ek chunoti hai ise swikar karo
kya kami rah gai hai dekho or sudhar karo


jab tak na safal ho nind chain ki tyago tum
sangharso ka maidan chod mat bhago tum
kutch kiye bina hi jay jaykar nahi hoti
mehnat karne walo ke kabhi har nahi hoti.

Kaisi mohbbat hai teri jo mera pyaar bhool gaya

Kaisi mohbbat hai teri jo mera pyaar bhool gaya
Milke kiya tha jo hum ne kabhi wo ekraar bhool gaya

Gayero ke dard ka tu humdard tha
tere sitam ka koun dard karega

Soni hai rahe tnha ye dil hai
mera ye gum ab koun samjhe ga
Tujh pe kiya tha dil ne kabhi wo aatebaar bhool gaya

Khmosh aahe roti rahi dost howa ab ajnabi
Aaso bhi chobta tha ke hum en hi raho pe chalte thy kabhi
kine khush thy teri mhbbat se hum
dil soch ker rota hai abhi
Leke aayi thi wafaye jo kabhi wo bhaar bhool gaye

Milke kiya tha hum ne ahed hum na badlege kabhi
Qasme wadwe bhoole tu bhi eska gum nahi
Anjaan banke dosto main mera naam bhi mere yaar bhool gaya
Kaisi mhbbat thi teri jo mera pyaar bhool gaya
Milke kiya tha hum ne kabhi wo ekraar bhool gaya

Tuesday, December 25, 2007

AAJ KAL TERI HAR ADAA HAR NAZAAKAT YAAD AATI HAI,



AAJ KAL TERI HAR ADAA HAR NAZAAKAT YAAD AATI HAI,
OR APNI JO SHAM CHADHTI HAI TO PAIMANE ME DUBH JAATI HAI,
ABH TO ISI KA SAHAARA REH GAYA TERE JAANE KE BAAD,
MAGAR ISE BHI JO PEATA HUN TO AANKHON SE CHHALAK JAATI HAI,
BEHLAANE KI KOSHISH TO KI DIL KO MAINE BAHUT MAGAR,
HARDUM HANSTA HUN PHIRBHI UDASI MUH PER JHALAK AATI HAI,
ABH TO EK HEE KHUSHI KI AAS REHGAI ISS{GAREEB}KE PAAS,
UNKE IK NAZAR DIKHNE SE JO CHEHARE PER CHHA JAATI HAI,

Tumse Kahoon.. Yeh Zaroori To Nahin

Chahata Hun Tumhe..
Tumse Kahoon.. Yeh Zaroori To Nahin
Dil Dhadkata Hai Tumhare Liye...
Tumse Kahon Yeh Zaroori To Nahin...
Meri Aakhon Me Tera Chehra Hai..
To Farq Hai Kyaa..
Mohabbat Hai Tumse Dil-o-Jaan Se..
Tumse Kahon Yeh Zaroori To Nahin..
Kuch Raaz-E-Dil Hum Bhi Rakhte Hai...
Itna To Haq Hai..
Har Baat Ka Ikraar-e-Izhaar
Tumse Karoo.. Yeh Zaroori To Nahin..
Chahana Hamara Anadaaz ..
Marna Mohabbat Me Teri Kubool...
Tu Bhi Hume Chahe... Qayamat Ki Raat Tak..
Yeh Zaroori To Nahin.....
Mere Aasoon Hain.. Meri Tadap Hai..
Ise Bahaa-on Ya Chupaa-on...
Teri Palke Bhi Bheegain Hume Yaad Kar kay..
Yeh Zaroori To Nahin...
Chahata Hun Tumhe..
Tumse Kahon.. Yeh Zaroori To Nahin
Dil Dhadkata Hai Tumhare Liye...
Tumse Kahon Yeh Zaroori To Nahin

Monday, December 24, 2007

My Best SmS ........Collection


AAJ PHIR SE UDAASI CHAAYI HAI,
TANHAYI ME BAITHE YAAD AAP KI AAYI HAI,
IN PALKO KO BAND KAISE KAR LOON,
IN ANKHO ME TASVIR JO AAP KI SAMAAYI HAI.

KAISE KAREIN APNE ISHQ KO BAYAAN KOI KARTA HI NAHI AITBAAR,
HAI HUME JINSE MOHABBAT UNKO HI NAHI HUMSE PYAAR.

KHUAB MAI JEENE WAALI LARKI
KHUAB K RISHTE TOOT RAHE HAIN
SADIYON SAATH NIBHAAYENGE HUM AISE
WAADE KARNE WAALE KHUCH HI PAL ME CHHOOT RAHE HAIN.

TOOTE DIL KO DOBARA LAGANA HAMEIN ACCHA NAHIN LAGTA
KISSI KO PALKOAN PE BITHA KAR GIRANA HAMEIN ACCHA NAHIN LAGTA EK BAAR KEH DIYA KI HUM TO SIRF AAPKE HAI LEKIN BAAR BAAR HUMKO YEH BATANA ACCHA NAHIN LAGT

ISHQ OR DOSTI MERI ZINDAGI KA UNWAN HAI,
ISHQ MERI ROH, DOSTI MERA EMAN HAI,
ISHQ PE KAR DOON FIDA MEIN APNI SARI ZINDAGI
MAGAR DOSTI PAR MERA ISHQ BHI QURBAN HAI.

SAMUNDER KO KYA DUKH HAI BATAA BHI NAHIN SAKTA,
AANKHN MAI AANSUU LAA BHI NAHIN SAKTA,
TU SAATH CHHODKAR JAA RAHI HAI TERA KASOOR NAHIN,
HAR SHAKSH MERA SAATH NIBHA BHI NAHIN SAKTAA.......

SAMUNDAR MEIN NA KOI JAB KINARA MILAY GA,
NA APNO KA JAB TUMHE SAHARA MILAY GA
DUBTE WAQT ZARA TUM YEH DEIKH LENA,
K US WAQT B TUMHE HATH HUMARA MILAY GA..

BHULE HAI WOH KUCH IS TARAH HUMEH ,
KI HUME YAAD KARNA MUSHKIL HO GAYA HAI ,
KYA PATA KOI KHATA HO GAI HUMSE YA KOI
AUR UNSE ZIADA KAREEB HO GAYEA HAI.

AANKHO KI SAZA TABTAK HAI JAB TAK DIDAR NA HO, DIL KI SAZA TABTAK HAI JAB TAK PYAAR NA HO, YEH ZINDAGI BHI EK SAZA HAI , JAB TAK AAP JAISA YAAR NA HO.

BESHAK KUCH WAQT KA INTIZAR MILA HUM KO,
PAR SAB SE BEST YAAR MILA HUM KO,
NA RAHI TAMANNA KISI JANNAT KI HAMEIN,
AYE DOST TERI DOSTI SE WO PYAAR MILA HUM KO.

AANKHON ME HAI NEEND BADEE,
PAR SONE KA WAQT NAHI.
DIL HAI GHAMON SE BHARA HUA,
PAR RONE KA BHI WAQT NAHI.

DOST NE DOSTI KE LIYE DOST KO BHULA DIYA,
KYA HUA JO KISI AUR KE LIYE AAPNE HUMEN BHULA DIYA,
HUM TO WAISE BHI AKELE THE,
KIYA HUA JO APP NE HUMEN EHSAAS DILA DIYA.

INETZAR KE PAL BITANA MUSHKIL HAI,
BEETE HUE LAMHE WAPIS LANA MUSHKIL HAI,
JO EK BAR BAS JAYE DILME DHADKAN BAN K,
USA DILSE BHULANA MUSHKIL HAI.

BHEEGI AANKHON SE MUSKURAANE MEIN MAZA KUCH AUR HAI
HASTE HASTE PALKE JHUKA LENE KA MAZA KUCH AUR HAI
BAAT KEHKE TO KOI BHI SAMJHA LETA HAI
KHAMOSHI KO KOI SAMJHE TO BAAT KUCH AUR HAI.

MOHABBAT OR MAUT DONO HI BIN BULAYE MEHMAAN HOTE HAI,
KAB AA JAYE KOI NAHI JAANTA.
LEKIN DONO KA EK HI KAAM HAI
EK DIL LE JATI HAI TO DOOSRI DHADKAN. ........

HAMARI DASTAN USE KAHA KUBUL THI
MERI WAFAYEN USKE LIYE FIZOOL THI.
KOI AAS NAHIN LEKIN KOI ITNA BATA DO
MAINE CHAHA USE KYA YE MERI BHOOL THI.

TUM KHAFA HOGAYE TO KOI KHUSHI NA RAHEGI,
TERE BINA CHIRAGO MEIN ROSHNI NA RAHEGI,
KYA KAHE KYA GUZREGI DIL PAR,
ZINDA TO RAHENGE PAR ZINDAGI NA RAHEGI.

HUM TERE SATH CHALENGE TU CHALE NA CHALE,
TERA HAR DARD SAHENGE TU KAHE NA KAHE.
SAJI RAHE DUNIYA TERI KHUSHIYO SE HAMESHA,
CHAHE HUM IS DUNIYA ME RAHE NA RAHE.....

KISI KI MOHABAT SE HUMNE KYA PAYA HAI,
RAAT KI NIND OR DIN KA CHEN GAVAYA HAI.
KYA KARE HUM IS DIL KA,
JISE AAJ BARBAAD HO KAR B HOSH NAHI AYA HAI.

ISHQ OR DOSTI MERI ZINDGI KA GUMAN HAI,
ISHQ MERI RUH DOSTI MERA IMAN HAI.
ISHQ PE KAR DU FIDA APNI SARI ZINDGI,
MAGAR DOSTI PAR MERA ISHQ B QURBAAN HAI.

YADON ME NA DHUNDO HUME,
MANN ME HUM BUS JAYENGE! TAMANNA HO AGR MILNE KI,
TO HAATH RAKHO SEENE PE,
HUM DHADKANO MEIN MIL JAYENGE.

JANE SE PEHLE KASOOR TO BATAYEA HOTA;
ITNA HI PYAR THA TO HUM PAR HAQ JATAYEA HOTA,
HUM TO PHIR PALAT K RUK JATE;
TUM NE HATH PHELA KAR WAPIS BULAYEA TO HOTA.

NAZAR MILAKE HUMSE NAZAR CHURA MAT LENA,
DOST BANAKE HUMKO DUSHMAN BANA MAT DENA,
MANA KI HUM DOOR HAIN TUM SE ,
ISSI BAAT KO BAHANA BANAKAR HUMKO BHULA MAT DENA.

ASHQ WO BHI GIRANE LAGE HAIN
PAIGHAM UNKE BHI AANE LAGE HAIN.
IQRAAR KARTE HAIN AB PYAR KA WO BHI
JAB HUM DUNIYA CHOD K JANE LAGE HAIN.

INSURANCE WALE BHI KYA GAJAB DHATE HAIN
INSURANCE WALE BHI KYA GAJAB DHATE HAIN
LOGON KI PATNIYON KE PAS GHANTON BETHKAR
UNKE PATI KE MARNE KE FAYDE BATATE HAIN.

MAUT JAB SAAMNE AATI HAI TO JEE LETAA HOON,
ZAKHM MUH KHOLNE LAGTE HAIN TO SEE LETAA HOON,
MUJHKO MAALOOM HAI ISHQ KI HAQEEQAT LEKIN,
HOSH JAB HADD SE GUZARTI HAI TO PEE LETAA HOON!!

KUCH BHI BACHA NA KAHNE KO HAR BAAT HO GAYI,
AAO KAHI SHARAB PIYE RAAT HO GAYI;
NAKSHA UTHA KE KOI NAYA SHAHAR DHOONDHIYE
AB TO IS SHAHAR MAI SABSE MULAKAT HO GAYI.

LUFZOO MEIN FASANEY DHUNDTE HAI HUM LOG
LUFZOO MEIN ZAMANEY DHUNDTEY HAI HUM LOG
TO ZAIR HI DE SHARAB KEHKAR AY SAQI
JEEN KE BAHANEY DHUNDTEY HAI HUM LOG

ZINDAGI KE SAWALON KA JAWAB DHOONDTA HOON,
DARD KO KAM KAR SAKE WO SHARAB DHOONDTA HOON,
WAQT KE HAATHON MAJBOOR EK SHAKSH HOON MAIN,
JO JEENE KA DE BAHANA WO KITAAB DHOONDTA HOON MAIN.

HO CHUKI MULAKAAT ABHI SALAAM BAAKI HAI,
TUMHARE NAAM KI DO GHOONT SHARAAB BAKI HAI,
TUMKO MUBARAK HO KHUSHIYOON KA SHAMYAANA,
MERE NASEEB ME ABHI DO GAZ ZAMEEN BAKI HAI,

KUCH NASHA TO AAPKI BAAT KA HAI,
KUCH NASHA TO DHEEMI BARSAAT KA HAI,
HUMEIN AAP YUN HI SHARABI NA KAHIYE,
IS DIL PAR ASAR TO AAP SE MULAKAT KA HAI

JAM PE JAM PINE SE KYA FAYDA,
SHAM KO PI SUBAH UTAR JAYEGI.
AREY DO BOOND ISHQ KE PEE LE,
ZINDAGI SAARI NASHE MEIN GUZAR JAYEGI.

NASHA HUM KIYA KARTE HAI,
ILZAAM SHARAB KO DIYA JAATA HAI,
KASOOR SHARAB KA NAHIN,
UNKA HAI JINKA CHEHRA HUME HAR JAAM MEIN NAZAR AATA HAI.

JAAM PE JAAM PEENE SE KYA FAYDA,
RAAT GUZRI TO SARI UTAR JAYEGI,
PEENE HI HAI TO KISI KI AANKHO SE PIYO,
KHUDA KI KASAM SARI UMAR HI NASHE MEIN GUZAR JAYEGI.

HAR TARAF KHAMOSHI KA SAAYA HAI
JISE DEKHO WAHI PARAYA HAI
GIR PADA HOON MOHABBAT KI BHOOK SE.
PAR LOG KEHETE HAI :"DEKHO PEEKAR AAYA HAI"......

EK JAAM ULFAT KE NAAM
EK JAAM DOSTI KE NAAM
AADHI BOTAL WAFA KE NAAM ... AUR...
POORI BOTAL BEWAFA KE NAAM!!


PEENE KI ADAT PILANE KI AADAT,
NAJRON SE NAIN MILANE KI AADAT,
NAIN MILAYE BHI TAU KAISE,
UNHE HAI NAIN JHUKANE KI AADAT.

JABSE GAYE HAI DOOR WOH HAMSE, TANHAI KA HAI YE AALAM
HUM KHUD HI KABHI KABHI KHUD KO PUKAAR LETE HAIN.
DARD-E-JUDAI JAB HADH SE GUJAR JAAYE,
APNE GAM KO YUN HI PYALE MEIN UTAAR LETE HAIN.

ISHQ KE LAMHE SHARAAB LAGTE HAIN
KUCH CHEHRE MEHTAAB LAGTE HAIN,
DUKH ITNE SAHE MOHABBAT MAIN GUZRE HUE
KE AB HAR LAMHE HI AZAAB LAGTE HAIN!!!

MAT POOCH YAAR KE KITNI PI HAI HAMNE..
TERI AANKHON KI SUROI MEIN ZINDGI DUBO DI HAI HAMNE,
AB KANCH KE PYALO SE HAME KYA LENA..
TERE HONTHO SE PINE KI KASAM KHA LI HAI HAMNE.

YOUN BADI DER SE PAIMAANA LIYE BETHA HU,
KOI DEKHE TO YE SAMJHE K PIYE BETHA HU....
ZINDAGI BHAR K LIYE RUTH K JAANE WALE,
MEIN ABHI TAK TERI TASVEER LIYE BETHA HU....

ZAKHM SAH LETEY HAIN..HONTHON KO SEE LETEY HAIN
ZINDAGI JAISI BHI DEY ...USEY KHUSHI SE JEE LETEY HAIN
TU HAMEIN APNEY HATHON SEY PILA NA PILA AEY SAAKI
PEENEY WALEY TO TERI ANKHON SEY PEEE LETEY HAIN!

*MANO YA NA MANO........YAHI DOSTI HAI.....*

Dosti kya hai?

Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tou
Piyar ki inteha bhi dosti hai

Dil tod ke hansna maine seekha nahi hai

kuch naya likha nahi hai

Dil tod ke hansna maine seekha nahi hai

Par unka daman bhee mere aansuo se bheega nahi hai..

Hum jo muskurate hai unki khushi ke liye..

Wo samajhte hai kee dil hamara dukha nahi hai.

Wo jo har waqt rehta tha meri nazro ke samne..

Ek arse se mujhe khwabo me bhee dikha nahi hai..

Kya sunau tum ko mai shayari aae dost..

Bahut dino se maine kuch naya likha nahi hai.

Friday, December 21, 2007

dil ke jharokhon mein ik tasveer hai teri

ho kar begaane bhe kyon apne se lagte ho
ho itni duir phir bhe kyon kareeb lagte ho

chor denge teri yaadon ko kahin duir
ris ris kar roj yuin tadpaate kyon ho

dil ke jharokhon mein ik tasveer hai teri
dhondhli he sahi phir bhe aankho mein baste kyon ho

koi chada jo jikar tera to honth farfarate hain
aah nikle na kahin bas aansoo ban dhalte kyon ho

mudatt se nahi hui koi baat to kaya
sapno mein aksar baatein karte kyon ho

Band Darwazoon Se Uljhan Hoti Hay Mujhay


Band Darwazoon Se Uljhan Hoti Hay Mujhay

Aisa Lagta Hay k Jaisy

Mery Honton Pe Kisi Ne

Meri Saansein Rok Di Hon

Mujhay Band Darwazey Achay Nahi Lagtay

Barson Pehlay Uss Ne b To Aisa Hi Kiya Tha

Aik Hi Pal Mein

Aik Hi Ghari Mein

Ajnabi Ban Gayi Thi Vo

Hawa Samjha Tha Main Usay

Meri Har Ik Saans Mein Shamil Thi Vo

Magar...Hawa Jab Aandhi Ban Jaye

To Saansein Rukney Lagti Hain

Rishtay Girnay Lagtay Hain

Hum Donoo k Beech b Kayi Darwazey Thy

BeYaqeeni Aur Shakk k Darwazey

k Band Rahein To Aitbaar Ghatay

Aur Khul Jayein To Saans Ghutay

Aur Phir Aik Din Uss Ne

Hamary Rishtay Ka

Vo Aakhri Darwaza b

Mery Chehrey Pe Band Kar Diya

Bas Usi Din Se

Mujhay Band Darwazey Achay Nahi Lagtay

Band Darwazey Udas Kartay Hain

Yehi Soch Kar Shehar Se Zara Door

Ik Kachi Sadak k Kaandhay Par

Ik Ghar Banaya Tha Main Ne

Jab Darwaza Laganey Ki Bari Aayi

To Maimaar Bola

"Kiun Sahib"Kaisa Darwaza Chahiye?

Aur Phir Usi Saans Mein Kayi Kismein Ginwa Dein

"Nahi Dost,Darwaza Nahi Chahiye"

Vo Hairat Se Khamosh Ho Gaya

Main b Chup Raha

Usay Kya Batata

Band Darwazey Udas Lagtay Hain

Jaisy Zindagi Ki Tez Hawaon Mein Meri Saansein Rukti Hain

Wesy Hi Deewaron Ki Sakhti Mein

Un Ka Dam b GhutTa Hoga

Un Ka Gham b Barhta Hoga

Isi Liye Bina Darwazey k Ghar Tha Mera

Magar...Bina Darwazey k Ghar Khali Khali Lagta Tha

Meri Gurbat Kosoon Door Se Nazar Aati Thi

Isi Muflisi Ko Chupanay k Liye

Aangan Mein Ik Pairr Lagaya

Apna Khali Ghar Chupaya

Phir Chand Dinoon Baad Suna k

Ik Mushkil Aan Pari Thi Usay

"Uss Ka Jahaiz"

Han Uss Ki Shadi Honay Ja Rahi Thi

Vo b Kya Karti

Qadam Qadam Chalney Ki Sakat Nahi Thi Uss Mein

Chahti Thi k Bas Khari Rahey

Aur Pairon Talay Se Rastay Siraktay Jayein

Magar Raston k Kahan Paaon Hotay Hain

Bas Achay Dinoon Ki Talash Mein Chalti Rahi

Aik Chhaon Ki Talash Mein Jalti Rahi

Bohat Dinoon Baad Aik Rishta Aaya Tha Uss k Liye

Jahaiz Na Diya To Kahin Toot Na Jaye

Bojhal Haathon Se

Barsoon Baad Main Ne

Phir Usi Darwazey Par Dastak Di

Jo Uss Ne Mery Chehray Par Band Kiya Tha

Socha....Agar Usi Ne Darwaza Khola To Qayamat Hogi

Magar Qayamat To Barsoon Pehlay Guzar Chuki

Ik Ajnabi Chehrey Ne Darwaza Khola

Thakay Haathon Se Paisoon Ki Ik Potli Usay Thama Aya

Bina Darwazey Ka Makaan Girvi Rakh Aya Tha Main

Jaisi b Thi

Meri Jaan Thi Vo

Mery Liye Mera Jahan Thi Vo

Phir Suna k Bari Dhoom Se Shadi Hoyi Thi Uss Ki

Kayi Din Uray

Apna Ghar Kho Chuka Hon

Makaan Churaney k Liye Paisy Nahi Thy

Magar Iss Umeed Par Ghar Ki Simat Chalta Ja Raha Hoon

k Kon Khareedy Ga Bina Darwazey Ka Ghar

Kon Rahay Ga Khali Deewaron Mein

Uss Kachay Rastay Se Morr Kata

Jis k Kaandhey Pe Apnay Ghar Ka Zimma Chora Tha

Rasta Sara Jhulas Gaya Hay

Uss Kachay Rastay Pe Parney Wali chhaon Ko Kisi Ne Kat Diya Hay

Aangan Sara Ujarr Gaya Hay

Vo Tanha Pairr

Mery Aangan Mein Nahi Raha Hay

Ghar Ki Janib Qadam Barhay

To Deewaron Ne Rasta Rok Liya

Ik Darwazey Ne Rasta Rok Liya

Mery Aangan Mein Lagay Pairr Ko Kaat Kar

Darwaza Bana Diya Hay Kisi Ne

Darwazey Ki Lakrri mein Jhari Gaanthein

Uss Darwazey Ki Aankhein Hain

Ab Tak Mujh Ko Dekh Rahi Hain

Uss Ki Aankhon Se Aankhein Nahi Mila Pata

Ab Nazrein Jhuki Hain Meri

k Mujh Se Band Darwazey Ki Udasi Dekhi Nahi Jati...!!!

Wednesday, December 19, 2007

Khuwab ab raat bhar nahin aata

*Dost dushman nazar nahin atay
Ab to pather bhi ghar nahin atay*

*Sub ko roona mera mazaq lagay
Ashq aankhon main bhar nahin aatay*

*Baap say pocho kia guzarti hai
Baitiyon k jo bur nahin aatay*

*Mujh say pocha yeh raat wehshat nay
aaj kal aap ghar nahin aatay,*

*Dosti ho gaye sitaron say,
Khuwab ab raat bhar nahin aatay*

*~ MAIN USS KO BHOOL KAR KHUSH HOON ~*

*~ MAIN USS KO BHOOL KAR KHUSH HOON ~*

Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Muhabbat Mar Chuki Ab To,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Badalti Rutt Ki Wajah Se,Tabiat Kuch Bojhal Si Hai

Yun Mera Haal Mat Poocho,Main Uss Ko Bhool Kar khush Hoon

Mery Lehjay Par Mat jao,Meri Aankhon Mein Mat Jhanko

Yun Hairat Se Na Dekho,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Tumhein Kya Weham Hay, Kyo Raat Bhar Milnay Nahi Aatin

Aey Meri Neend Ki Pariyoon,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Bhala Kyo Roz roz hee, mujhe Satati Hai

Tum Uss Ki Yaad Se Keh Do,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Udasi Sare Ghar Mein Pahilti Jati Hai Gum Ban Kar

Dar-o-Deewar Pe Likh Do,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon...!!!

Wo apnay ghar chala gya afsos mat karo


Wo apnay ghar chala gya afsos mat karo
itna hi us ka sath tha afsos mat karo


insan apnay aap mein majboor hay bohat
koi nahi hay bewafa afsos mat karo


is baar tum ko aanay mein kuch dair ho gaee
thak haar kay wo sogya afsos mat karo


dunya mein aur chahnay walay bhi hein bohat
jo hona tha so hogya afsos mat karo


is zindagi kay mujh pay kaee qarz hein magar
mein jald lot aoon ga afsos mat karo


ye dekho phir se aagaein phoolon pay titliyan
ik roz wo bhi aiga afsos mat karo


wo tum se aaj door hay kal paas aiga
phir se khuda milaiga afsos mat karo


bekar gee pay bojh liye phir rahay ho tum
dil hay tumhara phool sa afsos mat karo


Jis Terf say chahoo chaley ana
Meray Charo terf Mohabbat hai

*SUB KUCH NAAM TUMHARAY*

Sahil,rait,samander,lahain,

basti,jungle,sahra,darya,

khushbo,mosam,phool,dareechay,

badal,suraj,chand,sitaray,

Aj ye sub kuch naam tumhray!!!

kawab ki baatain,yaad k kissay,

soch k pahlo,neend k lamhay,

dard k aansu,chain k naghmay,

utray waqt k bahtay darya,

Aj ye sub kuch naam tumharay!!!

rooh ki aahat,jism ki jumbish,

khoon ki gardish,saans ki larzish,

aankh ka pani,chahat k unwaan

ye saray...........

**aj ye sub naam tumharay**

Tuesday, December 18, 2007

Banjaoon agar tum se tumhain kaisa lage ga


Banjaoon agar tum se tumhain kaisa lage ga
Her pal rahoon main yadon main kaisa lagega

Darrte ho jo tum naarazgi se meri
hojaoon agar tum se khafa kaise lage ga

Tum Pyaar main khud ko ho mitane pe raazi
banjaye agar Pyaar saza kaisa lage ga

Khud se bhi ziyada ho yaqeen tum ko gar kisi per
Woh shaks hi dejaye dagha kaisa lage ga

Tum aur hi mehfil ka diya ban ker chalo phir
Tanhayi mile tum ko sila kaisa lage ga

*Kya baat hogi *

*Kya baat hogi *

Jaise chahte hain hum unhe,

vo bhi humein chahein to kya baat hogi !

Paane ka armaan to hai,

bin maange mil jaaye to kya baat hogi !

Is dil mein pyaar hai kitna,

vo jaan le to kya baat hogi !

Humne manga hai unhe khuda se,

vo bhi humhe maang le to kya baat hogi.

Monday, December 17, 2007

Mere pehloon mein jo Beh nikly Tumhare Aansoo


Aansoo


Mere pehloon mein jo Beh nikly Tumhare Aansoo
Ban gaaye Shaam-e-Muhabat ke Sitare Aansoo

Dekh Sakhta hai Bhala Koun ye piyare Aansoo
Meri Aankhon mein na aa jaay tumhare Aansoo

Apna Moo mere grebaan mein chupati Q ho?
Dil ki Dharkan kahein sun lay na tumhary Aansoo

Shamma ka Aks jhalakta hai jo har Aansoo mein
Ban gaay bheegi howi Raat ke Taare Aansoo

Saaf Iqraar Muhabat ho Zubaan se Q,,Kar
Aankh mein aa gay youn Sharam ke Maary Aansoo

Hijr abhi door hai mein paas hoon'Ae Jan-e-Wafa
Q,howy jaaty hai Be-chain Tumhary Aansoon

Subbah Dam dekh na le koi ye Bheega Aanchal
Meri Chughli kahein khaa de na Tumhary Aansoo




*jo keh na sake wo fasana yaad aata hai*


*jo keh na sake wo fasana yaad aata hai*

*guzra hua dilkash jamana yaad aata hai*

*jab husn se ishq takraya tha kabhi*

*ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai*

*dil se mohabbat ke tufaan uthe the*

*jab aankhon ka sapne sajana yaad aata hai*

*kasturi jaise din mehakte the*

*mere raaton ka gungunana yaad aata hai*

*aankhon ka mil kar jhuk jana nahin bhula*

*hothon ka thar_tharana yaad aata hai*

*mera usko kankhiyon se dekhna*

*baar baar aur uska wo muskurana yaad aata hai*

*raaton ko tanha yaad mein kisiki...*

*dhuan udata ek deewana yaad aata hai*

Sunday, December 16, 2007

Waqat Se Waqat Ki Kya Shikayat Karein

Waqat Se Waqat Ki Kya Shikayat


Waqat Se Waqat Ki Kya Shikayat Karein
Waqat Hi Na Raha Waqat Ki Baat Hai
Uss Ney Dekha Muje Ussney Chaha Muje
Ussnay Thukra Diya Waqat Ki Baat Hai
Koi Mushkil Parri Koi Kaam Aa Gaya
Zehan Mein Usskay Jo Mera Naam Aa Gaya
Baad Muddat Ke Woh Doston Ki Tarrah
Hum Se Huss Ke Milla Waqat Ki Baat Hai
Zindagi Hum Say Anjaan Tu Ho Gai
Ek Rishtay Ki Pehchaan Tu Ho Gayi
Koi Chahat Na Thi Bas Murrawatt Thi
Woh Khud KO Samjha Liya Waqat Ki Baat Hai
Apna Rang-e-Muhabbat Hai Sab Se Juda
Koi Pochhay Tu Rashid Kahon Or Kya
Jiss ko Payaa Nahi Ussko Kho Ker Bhi Main
Kiyon Ussi Ka Raha Waqat Ki Baat Hai

Sham ne lipat kar pyar ka ijhar kiya

Bachpan ke dukh bi kitne ache the,

tab to sirf khilone tuta karte the.

Wo khushiyan bi na jane kaise khushiyan thi,

titli ko pakad ke uchhla karte the.

Paoon maar ke khud barish ke pani mae,

apna aap bhigoya karte the.

Ab to ek aansu bi rusva kar jata hai,

bachpan mein to dil khol ke roya karte the.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Sham ne lipat kar pyar ka ijhar kiya,

Chandani ne bikharkar Yaar ka satkar kiya.

Main khada bas dekhta raha Roop ki jalti agan,

Dil lagi ne Dilkashi se waqt ko guljar kiya.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Success is measured not so much

by the height that one has achieved in the life

but by the difficulties that one has overcome

while achieving success.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Zindgi ki kitab k kuch panne hote hai,

Kuch apne,Kuch begane hote hain.

Pyar se savwar jati hai zindgi,

Bas Pyar se rishte nibhane hote hai.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Arz kia hai

Soch samajh ke na ki shaadi jisne,

Usne jeevan bigaad liya.

Aur chaturai se ki shadi jisne,

Usne bhi kya ukhad liya.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Fact of classroom:

Jab professor apko class se bahr nikale

TO SAMAJ LO K TARAKI KR RHE HO.

He might be afraid dat u know more than him...!!


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*

Every life in dis world has been paintd

by God's own hands.

Dats y I m thankful

b'cos wen He paintd my life,

He included 1 Lovely color!

Dat's u.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Tum se khafa hokar hum jayenge kahan,

Tum sa saathi hum payenge kahan.

Dil ko to kaise bhi samjha lenge lekin ,

ANKHON se aap ki tasvir chupayege kahan.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


A fantastic quote 4 life:

Satisfy the person who expect from u

rather than Surprising the person

who never expected anything from you !


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Appreciate life itself even if

it's not a bed of roses.

Contentment is not fulfillment

of what u wish 4

but appreciation of what u have.

Gud Mrng!


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Never walk away frm true relations

wen u c some faults.

Be patient n realize

dat nobdy is perfect.

Its affection dat maters not perfection.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


I'l wak wid u in evry step of Life,

bt jst promse me u'll hide ur wings

evrytim v walk together

coz i dn't wnt the world 2knw

tht my Frnd is an angel.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Impossible does not mean

that it is not possible.

It actually means

that nobody has done it so far.

We are born 2 break the limits.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Sama Ki Dhara K Sath HUM Chalte Hain,

Isi Ada Pe To Log HUM Pe Marte hain.

sms Ki Duniya K HUM BAADSHAH Hain,

Isliye AAP Humko sms Karne Se Darte Hain.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


A smile givs red color 2 ur cheeks,

White color 2 ur teeth,

Pink color 2 ur lips,

Silver color 2 ur eyes.

So keep smilin

&enjoy D colors of LIFE.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*


Apni dosti ki gaddi kuch aise chal padi,

jaise KICK marte hi Bike ud padi.

Dua hai na lage isme koi BREAK,

speed itni ho ke na kar sake koi OVERTAKE.


*~*~*~*~*~*~*~*~*

*~*~*~*~*~*~*~*~*

Log Kehte hein "Hum tum se pyar hai

Bikhre hue jazbaat hein
Toote hue khwaab hein

Ye jazbaat meri daulat hai
Yeh khwaab meri saughaat hai

Lamha lamha behlaati rahi
Teri yaad is dil ko

Is liye shaayad aaj bhi
Log Kehte hein "Hum tum se pyar hai

Saturday, December 15, 2007

Mukarke bewafai ko itrata hai koi

Mukarke bewafai ko itrata hai koi.
Anjaan banke berukhi jatata hai koi.

Bebason ka fayda bhi uthata hai koi.
Jazbaton ka mazak udhata hai koi.

Hansa ke dobara yun rulata hai koi.
Mohre tarha kisi ko phirata hai koi.

Samne ho koi to dil mein nazar ata hai koi.
Kisi ke dard se maza uthata hai koi.

Mohabbat ko khota to pata hai koi.
Koi banta hai to banata hai koi.

Aage nikalke bhi peechhe rehjata hai koi.
Na samajh kisi ko samjhata hai koi

Latest............... SMS Shayaris II

Tumko, tumhare pyar ko aftab kehte the,
ashiqee me hum bhi kitne betab rehte the,
haqeqat me to hum hi pagal the 'jani'
aap to hamare liye sirf khwab jaise the.

*******
Tum har taraf
pyar se dekha na karo,
har taraf pyar ki ek kahani banegi'
nazar jo zuki to sayari nayi 'jani' banegi,
nazar jo uthi to gazal dil ki zubani banegi.

*******

bas ek ehsaan humpe sanam kardo,
sirf ek nazaar dekhkar reham kardo,
phir aur kuch na mang sakege hum 'jani',
us ek nazaar me humko khatam kar do.

*******

Puchha hai kai baar kisi ne pata mujhse meri taqdeer ka
Meri Mohabbat ke kore kagaz par bani huee tasveer ka
Na bata saka hun aur na hi khud jaan saka hun mai
Rang un gore hathon mai mere ishq ki laqeer ka

Friday, December 14, 2007

Kabhi apne pe gussa aata hai

Kabhi apne hee pe gussa aata hai,
to kabhi Khudai pe,

Kabhi gum mohabbat pe hota hai,
to kabhi judai pe,

Nafrat se bahr jata hai dil kabhi,
to kabhi bohaat pyar aata hai,

Na-jaane teri mohabbat mein,
mujhe kya-kya khayal aata hai

Kabhi dil jala kabhi jaan bhe

"Kabhi dil jala kabhi jaan bhe
Kabhi kho gaye muskan bhe
Me apno ka kabil nahi raha
Ya jantay ha anjan bhe
Meray sath aksar rahtay hay
Katil meray mehman bhe
Dharte per zulam dakh kar
Roota ha asman bhe
WO badal gaya Kuda sa jo
Farishta tha bana shaytan bhe
bas zara zara se ranjishay
na bhola saka insan bhe

Thursday, December 13, 2007

21 Rules of Life

21 Rules of Life


1. Marry the right person . This one decision will determine 90% of your happiness or misery.

*********

2. Work at something you enjoy and that's worthy of your time and talent.

*********

3. Give people more than they expect and do it cheerfully.

*********

4. Become the most positive and enthusiastic person you know.

*********

5. Be forgiving of yourself and others.

*********

6. Be generous.

*********

7. Have a grateful heart.

*********

8. Persistence , persistence, persistence.

*********

9. Discipline yourself to save money on even the most modest salary.

*********

10. Treat everyone you meet like you want to be treated.

*********

11. Commit yourself to constant improvement.

*********

12. Commit yourself to quality.

*********

13. Understand that happiness is not based on possessions , power or prestige , but on relationship with people you love and respect.

*********

14. Be loyal.

*********

15. Be honest .

*********

16. Be a self-starter.

*********

17. Be decisive even it it means you'll sometimes be wrong.

*********

18. Stop blaming others. Take responsibility for every area of your life.

*********

19. Be bold and courageous. When you look back on your life, you'll regret the things you didn't do more than the ones you did.

*********

20. Take good care of those you love.

*********

21. Don't do anything that wouldn't make your Mom proud.

*Marne** se pehle…*

*Marne** se pehle…*

Kyu rakhu main ab apni kalam mein syahi,

Jab koi arman dil me machalta hi nahi ,

Na jane kyu sabhi shak karte hai mujh par,

Jab koi sukha phool meri kitab mein milta hi nahi ,

Kashish to bahaut thi mere pyar mein magar

Kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi ,

Agar khuda mile to us se apna pyar mangunga

Par suna hai wo marne se pehle milta hi nahi......

Khamoshi se Dosti kar liye

Khamoshi se Dosti kar liye


Zindagi mein baatein bahut kar liye...
Sun liye hai zawab bhi...kabhi Dosto se, Kabhi Dushmano se,
Lavso ke is bhir mein ghutan si hoti hai ab to....
Mujhe sannata chahiye........
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye.....
Baaton ki tanashahi bardasht karne ki taaqat na rahi........
Viraane mein sar chupane ki jagah chahiye.........
Alfaazon ki koi matlab hi nahi milta........
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye.....
Rahegi tamannaye, tamannaye to rahti hai.......
Par halaat yeh hai ki ab saare Hosh'o'Hawas kho chuke........
Is Bedardi ko kab tak jhel sakti hai yeh Dil'o'Dimaag......
Armaano se tang aa chuke hai hum bhi......
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye.....
Musquraahaton se roshan hoti rahegi yeh Duniya........
Mujhe roshniyon se dar lagne laga hai......
Mujhe Andhera Chahiye.....
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye.....

Wednesday, December 12, 2007

Nahin samajhti thi jo samjha rahi thi

Nahin samajhti thi jo samjha rahi thi

Ab uljhi hoon to khilti ja rahi hoon

Bohat gehri hai ise ki khamoshi bhi

Main apne kad ko chota pa rahi hoon

Umanda aya hai shor oron ke ghar se

Dareeche khol kar pachhta rahin hoon

Hajoom itna ke chehre bhool jaon

Basat zaat ko phela rahi hoon

Ye manzer manzer puchte hain mujh se akser

Kahan se aai hoon kiyoun ja rahi hoon

Ager such hai to phir sabit karo tum

Main apne aap ko jhutla rahi hoon

Dil kee deewaar pe zakhmon ko siyaa hai maine

Dil kee deewaar pe zakhmon ko siyaa hai maine
Dard uthtaa hai to usko bhee piyaa hai maine

Gham kee vaadee men ye toofaan jab bhee aataa hai
Apnee yaadon ko hee ilzaam diyaa hai maine

Meree DhaDkan men vo rahte hain jaise sadiyon se
Par zubaan se na kabhee naam liyaa hai maine

Berukhee unkee ye kis moD pe le aayee hai
Aansuon ko bhee to chupke se piyaa hai maine

Bezubaan dil ye bhalaa kaise koyee baat kahe
Isko nagmon men hee izhaar kiyaa hai maine

Saans chaltee hai to jeenaa bhee paDegaa mujhko
Meree tanhaayee ko aise hee jiyaa hain maine

meri jindgi ka koi sahara nahi hai

meri jindgi ka koi sahara nahi hai
is jaha me ab koi hamara nahi hai
chua unka daman to woh hansakar kah gaye
aye dost ab ye daman tumhara nahi hai

anjane me bhi kabhi sachche dost mil jate hai
patjhad me bhi kabhi phool khil jate hai
kuch lasho ko kafan bhi nashib nahi hote
kuch pe tajmahal ban jate hai

gardis me duba ek tara hai
hame to kisi ki arzoo ne mara hai
hum unhe ab bhi apna kehte hai yaro
jinho ne hame maut se pehle mara hai

kashish dil ki har chiz bhula deti hai
bandh ankho me bhi sapne saja deti hai
sapno ki dunia jaroor rakhna
kyoki haqiqat to akshar rula deti hai

jan se bhi jyada jisko pyar kiya
unho ne hi mere dil pe var kiya
ab sambhal ne ki himmat nahi muhja me
jab dil hi dhadakane se inqar kiya

Mar kar bhi dikha denge tumhe
















kyun kehte ho ke mujhse mohabbat nahi hai tumko


kyun dil ko mere tum beemar karte ho





jo baat nigaahein keh rahi hai khud-b-khud


kyun use lafzon mein tum inkaar karte ho






darte ho kis se,hai parwaah kiski

kis fikr mein yeh aalam bekaar karte ho




duniya tou parayi hai ruswaai hi karegi
kyun uski khatir khadi tum yeh deewaar karte ho



hai pyar ka mausam yahan fizayein bhi jawaan si
kyun durr se tum inka deedaar karte ho



gar mohabbat hai tumhe keh kyun nahi dete
kyun tadpate ho apne dil ko,lachaar karte ho



iqraar kar bhi lo ab,guzaarish hai meri tumse
kyun mere iss dil ko beemar karte ho



mar kar bhi dikha denge tumhe,ek baar tou keh do
kyun har pal bhala iss dil pe vaar karte ho