Wednesday, October 31, 2007

Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste

Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste
Mar rahe thy bar bar zindaghi ke waste

Tha chopa rekha jab suraj ne chaira apna
Chaand tare jal gai raoshni ke waste

Her tarf thi mauosiya ro raha tha ye naseeb
sah rahe th her sitam bebasi ke waste

zindaghi hi loot gayi tu kyon pochta hai yaha
dhoondte hi rah gai her khoshi ke raaste

dost ayese bhi thy ham se lag ker woh gale
Maarte thy khnjer dil per dushmani ke waste

Aankh ka pani bhi ab dard se sookh gaya
nahi rote aaj ham kisi ki dosti ke waste

ham ne wafa ki thi bhut tu bewafa ham se kahe
Bhut milte hai aaj sanam aashiqi ke waste

ham andhero main bhi roye ager tu elzaam sab lagate thy Aag laga di aaj gher main raoshni ke waste

Aajizi se manga tha jab tu kuch nahi hame mila
zid main aye tu aasma bhi jhook gaya her khoshi ke waste

Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste
Mar rahe thy bar bar zindaghi ke waste

No comments: