Tuesday, October 30, 2007

Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki

Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki,
Had Ye Ke Dhadakne Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki,

Use Dekhneki In Aankhon Ko Hamesha Talab Rahi,
Jisne Mere Khwabon Me Shirkat Bhi Nahi Ki,

Ulfat To Badi Baat Hai Humse To Sar-E-Sheher,
Logone Kabhi Dhang Se Nafrat Bhi Nahi Ki,

Aadab-E-Safar Ab Wo Sikhate Hai Jinhone
Do Chaar Qadam Tay, Ye Musaafat Bhi Nahi Ki,

Kya Apni Safayi Mein Bayan Dete Ke Hum Ne,
Na-Kardaa Gunaahi Ki Wazaahat Bhi Nahi Ki,

Khamosh Tamashayi Ki Maanind Sar-E-Bazm,
Sau Zakham Sahe Dil Pe, Shikayat Bhi Nahi Ki,

Is Ghar Ke Sabhi Log Mujhe Chhodne Aaye,
Dehleez Tak Usne Ye Zehmat Bhi Nahi Ki

Usne Bhi Ghulamon Ki Safon Mein Hamein Rakha,
Is Dil Pe Kabhi Jisne Hukumat Bhi Nahi Ki...

No comments: