Friday, November 30, 2007

Hum tumhain bhuladen


Hum tumhain bhuladen
yeh mumkin nahi raha
Agar ho sake to tum hi
hamain bhuladena
Shikwa na karenge koi
Zingadi bhar tum se
Chaho to Dil se meri
tasweer bhi mita dena
Pyaar ki kahani jo kabhi
shuru hui thi darmiyan
Is kahani se agar hosake to
mera naam mita dena
Zindagi bhar tumhain
bewafa na kahenge hum
Chahe tum khud hi mujhe
Dil se bhula dena




jaanay aey dost ! kiya hua humko

jaanay aey dost ! kiya hua humko
tera gham bhi na ab raha humko


hum na aayn, kahin ye mumkin hay
aap den to sahi sada humko




khushk patay hain hum na jaanay kab
lay urray baawli hawa humko




kab se hain hum to gosh bar aawaaz
kuch to aey khamoshi sunaa humko




kisliye khuaar hon talaash main hum
khud hi ddhoondday ga raasta humko




yoonhi aa aa kay lipttay jaati hay
jaanay kehti hay kiya saba humko




hogaii door saare din ki thakan
"Sham" se wo sukoon mila humko





Aey dil tu us pyaar ko bhool ja


AEY DIL
U
SE

Aey dil tu us pyaar ko bhool ja
Aey dil tu us yaar ko bhool ja
Jo na maana kabhi tum ko apna
Aey dil tu us dildaar ko bhool ja


Diya hai zamaane mein us ne tumhe dhokha
Aey dil tu us makaar ko bhool ja
Andheri raaton mein tum aise roya na karo
Aey dil tu un raaton ke intizaar ko bhool ja


Kabhi aayi thi tere jeewan mein bahaar
Aey dil tu us mausame bahaar ko bhool ja
Us ke dil se mila tha kabhi mera yeh dil
Aey dil tu us deedaar ko bhool ja


Jo kiya tha kabhi tumne us se ikraar
Aey dil tu us ikraar ko bhool jaa