Monday, December 17, 2007

*jo keh na sake wo fasana yaad aata hai*


*jo keh na sake wo fasana yaad aata hai*

*guzra hua dilkash jamana yaad aata hai*

*jab husn se ishq takraya tha kabhi*

*ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai*

*dil se mohabbat ke tufaan uthe the*

*jab aankhon ka sapne sajana yaad aata hai*

*kasturi jaise din mehakte the*

*mere raaton ka gungunana yaad aata hai*

*aankhon ka mil kar jhuk jana nahin bhula*

*hothon ka thar_tharana yaad aata hai*

*mera usko kankhiyon se dekhna*

*baar baar aur uska wo muskurana yaad aata hai*

*raaton ko tanha yaad mein kisiki...*

*dhuan udata ek deewana yaad aata hai*

No comments: