Wednesday, December 26, 2007

Lahro se dar kar noka par nahi hoti

Lahro se dar kar noka par nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti
Nanhi chiti jab dana lekar chalti hai
Chadti divaro se so bar fisalti hai


Man ka visvas rago me sahas bhar deta hai
Gir kar chadhna chadkar girna isiliye na akhrta hai
Mehnat uski khali har bar nahi hoti
Kosis karne walo ki kabhi har nahi hoti


Dubkiyan sindhu me gotakhor lagate hain
Jakar khali hath lot aate hain
Milte na sahaj moti gahre pani me
badhta duguna utsah isi herani me


muthi uski khale har bar nahi hoti
Mehnat karne walo ki kabhi har nahi hoti
Asafalta ek chunoti hai ise swikar karo
kya kami rah gai hai dekho or sudhar karo


jab tak na safal ho nind chain ki tyago tum
sangharso ka maidan chod mat bhago tum
kutch kiye bina hi jay jaykar nahi hoti
mehnat karne walo ke kabhi har nahi hoti.

No comments: