Wednesday, December 12, 2007

meri jindgi ka koi sahara nahi hai

meri jindgi ka koi sahara nahi hai
is jaha me ab koi hamara nahi hai
chua unka daman to woh hansakar kah gaye
aye dost ab ye daman tumhara nahi hai

anjane me bhi kabhi sachche dost mil jate hai
patjhad me bhi kabhi phool khil jate hai
kuch lasho ko kafan bhi nashib nahi hote
kuch pe tajmahal ban jate hai

gardis me duba ek tara hai
hame to kisi ki arzoo ne mara hai
hum unhe ab bhi apna kehte hai yaro
jinho ne hame maut se pehle mara hai

kashish dil ki har chiz bhula deti hai
bandh ankho me bhi sapne saja deti hai
sapno ki dunia jaroor rakhna
kyoki haqiqat to akshar rula deti hai

jan se bhi jyada jisko pyar kiya
unho ne hi mere dil pe var kiya
ab sambhal ne ki himmat nahi muhja me
jab dil hi dhadakane se inqar kiya

No comments: