Wednesday, October 31, 2007

Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste

Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste
Mar rahe thy bar bar zindaghi ke waste

Tha chopa rekha jab suraj ne chaira apna
Chaand tare jal gai raoshni ke waste

Her tarf thi mauosiya ro raha tha ye naseeb
sah rahe th her sitam bebasi ke waste

zindaghi hi loot gayi tu kyon pochta hai yaha
dhoondte hi rah gai her khoshi ke raaste

dost ayese bhi thy ham se lag ker woh gale
Maarte thy khnjer dil per dushmani ke waste

Aankh ka pani bhi ab dard se sookh gaya
nahi rote aaj ham kisi ki dosti ke waste

ham ne wafa ki thi bhut tu bewafa ham se kahe
Bhut milte hai aaj sanam aashiqi ke waste

ham andhero main bhi roye ager tu elzaam sab lagate thy Aag laga di aaj gher main raoshni ke waste

Aajizi se manga tha jab tu kuch nahi hame mila
zid main aye tu aasma bhi jhook gaya her khoshi ke waste

Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste
Mar rahe thy bar bar zindaghi ke waste

dua hai ki woh ab khwaabon mein na mile

dua hai ki woh ab khwaabon mein na mile
aur meri aankhon mein koi aansoo na mile
woh mere deedaar ke liye behad tadpe
aur usse mera saya bhi na mile
jo galat-fehmi hum dono mein hai
dhoondhne se bhi usko koi uska sira na mile
meri yaadon ki uljhan mein itna ulajh jaaye
ke yaadon se bhagne ka raasta na mile
meri baaton ke samunder mein itna doobe
ke bhool ke bhi usko koi kinara na mile
jis din milna usi din hi bichhadna
ab humein milane wala koi din na mile
band aankhein jab bhi kare sone ke liye
neendon ke desh ka koi raasta na mile
main durr uss se itni durr chahli jaaun
ke mera use koi bhi nishaan na mile
mere dil ko be-dardi se todne wale
ab tujhko mujh sa koi na mile
chahton ka mausam toh do din mein guzar gaya
mujh sa chahne wali ab use koi na mile
meri aankhon se khwaab chheen-ne wale
tere liye dua main maangu par tujhe mera pyaar na mile

Ab kya likhe kaghaz per

Ab kya likhe kaghaz per
ab likne ko kya baki hai
EK dil tha wo bhi toot gaya
ab tootne ko kya baqi hai
EK shakhs ko ham ne chaha tha
ek rait pe naqsh banaya tha
Wo rait to kab ki bikher gaye
wo naqsh kaha ab baqi hain
Ham jin ko apni nazmo ka unwaan banaya kerte the
Lafzo ka bana ke taaj mehal
kaghaz pe sajaya kerthe the
Wo ham ko akaila chor gaya
ab raste sare sunsaan hain
wo pyar kaha ab baqi hai
Ab kya likhe kaghaz per
ab likhne ko kya baki hai.......

Muddat se jis Kay waastay Dil beqaraar tha

Muddat se jis Ka waastay Dil beqaraar tha
Who laut kar na aaya magar intezaar tha

Jo humsafar tha chor gaya raah main mujha
Main phans gaya bhanwar main who darya Ka paar tha

Manzil qareeb aayee to tum door hogaye
Itna to tum batao Ka yeh kaisa Piyaar tha

Chilman giradi yeh kis na dono Ka darmiyaan
Na who sakoon se betha na mujh ko qaraar tha

Yeh mukhtaser as haal hai rukhsat Kay waqt ka
Ankhon main aansu or Dil beqaraar tha

Yeh baat umer bhar samjh na paya main
Kun Dil mera us ka talabgaar tha

Tuesday, October 30, 2007

MUJHE SOCHNA PARHEGA

MUJHE SOCHNA PARHEGA


Yeh wafa bhi kya khata hai mujhe sochna parhega
Usse mujh se kyun gila mujhe sochna parhega
Dil e muztarib hua hai teri yaad se
Yeh maqaam kon sa hai mujhe sochna parhega
Woh mile to beqaraari hai na mile to beqaraari hai
Mere Dil ko kya hua hai mujhe sochna parhega
Dar -e- Dil pe di hai dastak sahb -e- intezaar kis ne
Koi aashna sada hai mujhe sochna parhe ga

Mere dil ki kitab ko padhna kabhi


Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,
Sapno me aake mujh se milna kabhi
Maine duniya sazai hai tere liye,
Meri nazro ki ummed ban'na kabhi
Bahut dur hai sitaro se roshan jahan,
Jra humkadam banke mere sath chalna kabhi
Bahut najuk seene mai DIL hai mera,
Tum andaj mohabbat banke dha'rkna kabhi

Muhabbat ki dunia mai mashhoor ker doon

Muhabbat ki dunia mai mashhoor ker doon
Mere saada dil tujh ko maghroor ker doon

Tere dil ko milne ki khud aarzoo ho
Tujhe is qadar gham se ranjoor ker doon

Mujhe zindgi door rakhti hai tum sey
Jo tum paas ho to usey door ker doon

Muhabbat ke iqrar se sharm kab tak
Kabhi saamna ho to majboor ker doon

Too gar saamne ho to mai bekhudi mai
Sitaron ko sajdey pe majboor ker doon

Nahee zindgi ko wafa warna akhter
Muhabbat se duniya ko mamoor ker doon!

Aisa nahi hai ki hum dil beqarar nahi karte..

Aisa nahi hai ki hum dil beqarar nahi karte..

Wo nahi aayega.. jaante hai.. is liye hum intzaar nahi karte..

Ye aur baat hai ki tadpaya bahut hai mujhe apno ne..

Par hum apni nazro me kisi ko gunehgaar nahi karte..

Hum jante hai ki izhaare mohabbat zaruri hai..

Par kya kare... thodi see mazboori hai..

Ki log poochte hai ki mai kyo izhaar nahi karta..

Hum kehte hai.. Jo lafzo me baya ho.. mai utna pyar nahi karta

Aansu Jo Beh Rahe Hai Inhein Behne Do

Aansu Jo Beh Rahe Hai Inhein Behne Do,
Ye Keh Rahe Hai Dil Ki Baat Kehne Do,

Bahut Bewafa Ho Tum Ye Humko Hai Malum,
Tum Apni Wafa Ki Baat Apne Tak Hi Rehne Do,

Mila To Kya Mila Tumhe Chahne Ke Baad,
Bas Dukh Hi She Rahein Hai Hamein Sehne Do,

Tumne To Keh Dala Sab Haal-E-Dil Apna,
Ab Mujhko Apni Daastan Bhi Kehne Do,

Mar Hi Gaye Auron Ke Liye Hum,
Tum Apni Khatir Humko Zinda Rehne Do,

Teri Aas Hai Jo Zindagi Rakhe Hue Hai,
Warna Kahan Himmat The Hum Me Jeene Ki...

Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki

Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki,
Had Ye Ke Dhadakne Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki,

Use Dekhneki In Aankhon Ko Hamesha Talab Rahi,
Jisne Mere Khwabon Me Shirkat Bhi Nahi Ki,

Ulfat To Badi Baat Hai Humse To Sar-E-Sheher,
Logone Kabhi Dhang Se Nafrat Bhi Nahi Ki,

Aadab-E-Safar Ab Wo Sikhate Hai Jinhone
Do Chaar Qadam Tay, Ye Musaafat Bhi Nahi Ki,

Kya Apni Safayi Mein Bayan Dete Ke Hum Ne,
Na-Kardaa Gunaahi Ki Wazaahat Bhi Nahi Ki,

Khamosh Tamashayi Ki Maanind Sar-E-Bazm,
Sau Zakham Sahe Dil Pe, Shikayat Bhi Nahi Ki,

Is Ghar Ke Sabhi Log Mujhe Chhodne Aaye,
Dehleez Tak Usne Ye Zehmat Bhi Nahi Ki

Usne Bhi Ghulamon Ki Safon Mein Hamein Rakha,
Is Dil Pe Kabhi Jisne Hukumat Bhi Nahi Ki...

Aap Se Jab Jab Bhi Kuch Kahene Ka Kahayal Aya....

Aap Se Jab Jab Bhi Kuch Kahene Ka Kahayal Aya....
Bari Mushkil se Humne apane lafzo ko sajaya.....

rah main jab bhi ap nazar aate hai ....
hotho par jamaye sare bol bikhar jate hai....

halak par awaz anne par kuch dar to lagati hai....
magar jab kahene ko kuch hote hai to ap guzar jate hai...

u aaj tak to hum apase kuch kah nahi paye hai ........
har kar apane jazbat is kagaz par sajaye hai....

ye to kuch zayada hoga magar itani si farmiyesh hai.........
ek pak dillagi ki khawaish hai .......

ye eashan aapka hoga bhul hamari hogi ........
agar ye mohabbt hamari kabul hogi.....

Udaas Aankhon Se Aansu Nahi Niklate Hai

Udaas Aankhon Se Aansu Nahi Niklate Hai,
Ye Motiyon Ki Tarah Seepiyon Mein Palte Hai,

Ghane Dhuwein Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hai,
Tamam Raat Tamannaon Ke Ped Jalte Hai,

Main Phool Nahi Raaste Ka Patthar Hoon,
Yahan Se Sawaar Bhi Paidal Chalte Hai,

Unhein Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hoon,
Wo Log Phool Samajh Kar Mujhe Masalte Hai,

Ye Ek Ped Hai Aa Isse Milkar Ro Lein Hum,
Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hai,

Kayi Sitaron Ko Main Jaanti Hoon Bachpan Se,
Kahin Bhi Jaun Mere Sath Sath Chalte Hai...

Hai likhne wale bahut...

Hai likhne wale bahut...
Hai sunne wale bahut...
Har ek ashq main chupe...
Gam ke sagar bahut...
Jra chum loon...
Main tere daman ki khushiyan...
Teri chahat main chune...
Rasto se kante bahut...
Na rukna mere waste...
Pichhe reh jo jaoun kahin...
Jane kyoon hoon naraj...
Es tanha e-jindgi se bahut

Mohabbat na samajh hoti hai samjhana zaroori hai

Mohabbat na samajh hoti hai samjhana zaroori hai
jo dil main hai use aankhon se kehlaana zaroori hai

usoolon per jo aanch aaye tou takraana zaroori hai
jo zainda hai tou phir zinda nazar aana zaroori hai

bohot bebaak aankhon main talluq tik nahin sakta
mohabbat main kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai

saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos kerne ka
jo kehta hai khuda hai tou nazar aana zaroori hai

Ajeeb hota hai naa???

Kuch loga ka aisa bhee naseeb hota hai..

Pyar jisse hota hai.. wo unka raqeeb hota hai..

Gamo se unki dosti kyo hoti hai.. jante ho ??

Kyoki ek gum hee unke sabse kareeb hota hai..

Wo jo kisi apne ko kho kar ro na saka..

Wo shaqs mere jaisa badnaseeb hota hai..

Shayari bhee karte hai aur dard chupana bhee hai..

Aisi nakaam khwahish karma bhee ajeeb hota hai..

Monday, October 29, 2007

Aasmaan aaj phir se roya hai

Aasmaan aaj phir se roya hai
Naakaam Aashiqon ke haar mein ek aur moti piroya hai,
Koi to bataaye kahan mera mehboob khoya hai,
mohabbat ki kabr mein mera yeh pyaar soya hai.

Mohabbat ke naam se darte thhey
Dil ki dhadkan dhadka gaya koi
Hum anjaani raahon pe chal rahe thhey
Achaanak hi manzil dikha gaya koi

Mere saath tum ho ya meri parchhaai hai
Na jaane kis mukaam pe mohabbat humein le aayi hai
Bheed mein hoon phir bhi kyun tanhai chhai ha

Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty…..

Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty…..

Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
palkein bi chamak uthi hein sote hi hamari
aankho ko abhi khawab chupane nahi aaty
dil ujri hain ik saraye ki terha hain
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hein
ab yaad samje derd porane nahi aate
urdny do abhi parindo ko shoh hawa mein
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
is shehar ke badal teri zulfon ki terha hein
yeh aag lagate hein per bojane nahi aaty
ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gaye hein
aaty hein magar dil ko dukhane nahi aaty…

kabhi meri soch main aa ker to dekho

Meri shab-e-hijr main meri ankh ki nami main ho
kabhi mery angan main aa ker to dekho

mery khuwab-o-khayal main mery sapnon k jal main ho
kabi mery khuwabon main aa ker to dekho

mery dukh-o-dard main mery har tassavor main ho
kabhi meri soch main aa ker to dekho

meri tanhai sham-o-seher main mery din rat main ho
kabhi ak din guzar ker to dekho

mery jism-o-jan main meri her saans main ho
khud ko mujh main sama ker to dekho

mery rooh-o-jan main mery her andaz main ho
mery sang zindagi guzar ker to dekho

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono….

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono….

Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi Ki
Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se
Na Merey Dil Ki Dharhkan Larhkharhaaye Meri Baaton Mein
Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se
Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter
Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha
Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin
Usey Ek Khoob Soorat Morh De Kar Chorhna Acha
Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se
Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain
Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki
Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono…..

kabhi aana hamari basti


tukdon mein bikhra hua
kisi ka jigar dikhayenge
kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge

honth kaanp jaate hain
thar-tharaati hai zabaan
toote dil se nikli huii
aahon ka asar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge……..

aik pahunch paata nahin
aik aur chhalak jaata hai
palkon se daaman tak ka
ashqon ka safar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge………

kahin tasveer hai teri
kahin likhaa hai tera naam
mandir-masjid jitna paak
aik deewar-o-dar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge………

aksar takti rehti hai
sunsaan raahon ko sanam
darwaaze par baithi huii
sapno ki nazar dikhayenge

kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge………………..

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee


Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange

Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye
Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange

Kisi Ne Poocha Mohabbat Kiya Hai?

Kisi Ne Poocha Mohabbat Kiya Hai?

Samandar nay kaha
Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai
Jiss may chahat jessa anmol moti mojood hai

Baadal nay kaha
Mohabbat eik ~dhanak hai
Jiss may har Rang Nomaya hota hai…

Shairr nay kaha
Mohabbat eik esse ghazal hai
Jo har eik sunay walay kay dil may
uttar te chali jate hai

Saaz nay kaha
Mohabbat eik essa geet hai
Jo Dil may uttar jata hai

Malee nay kaha
Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash khusboo hai
Jiss may sara
gulshan mehak uttah hai

Ankhon nay kaha
Mohabbat ansoo ka samandar hai
jo kisse kay intezar may khamoshi say
behta hai

Dil nay kaha
Mohabbat kisse ko Khamoshi say chahay janay ka naam hai
kay aakhire
waqt bhee Izhar na kiya jay

Naseeb nay kaha
Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai
Aur jiss kay Dil may Mohabbat nahin
Woh duniya ka Badd Tareen shakhs Hai

Nafrat nay kaha
Aakhiri Jeet Mohabbat ki Hoti hai

Zakhmo ko na kuredo hare ho jayenge

Zakhmo ko na kuredo hare ho jayenge,
mil jaayenge gham aur vo bahut yaad ayenge

Kitne gehrey hain zakham is dil ke ,
milonge jo humse tu hum batayenge

Dar hai kahi ye zakham nasoor na banjayee,
karde unhey jo be asar , wo marham kahan se layenge.

Humdard nahi milta zamane main koi,
Mast~ ko mile jo koi , dard-e-dastaan sunayenge….

Gazal

Yaden jab dil me nahi rooh me bas jati hai,
Badalon ki tarah aankhe bhi baras jati hai !

Oh agar tum se khafa hain to khafa mat samjho,
Ladkiyan pyar me ladkon pe baras jati hai !

Roj mujhko tere aane ki khabar milti hai,
Roj mujhko meri tanhaeeyan das jati hai !

Tanha rahta hun to bimar nazar aata hun,
Sath rahte hain to bachhen meri khil jati hai !

Husnwalon ka bharosha nahi kijiye sahab,
Din badalte hai to nazaren bhi badal jati hai!

Mast hawa ka jhoka pagal achha lagat hai………..

Mast hawa ka jhoka pagal achha lagat hai………..

Mast hawa ka jhoka pagal achha lagat hai,
Bal khata lahrata aachal achha lagta hai !

Oh sarmai usko ek din aayeena yun bola,
Aap ki aankho me yah kajal achha lagta hai !

Bheegi palken bheega daman bhiga bhiga e aanchal,
Mausam e gam me jal thal jal thal achha lagata hai !

Sukhe labon pe duaa nami si jab jab aati hai,
Sawan ki rimjhim sa badal achha lagta hai !

Uski gali me maut mile to sau sau bar marun,
Ek janam me usko pana achha lagta hai !

O bachpan ke sair sapate holi id manane ke,
Binaa wajah uske ghar jana achha lagta hai !

Ab tak na bhule hamko o bag,khilaone mitti ke,
Uske bina ab aankh bahana achha lagta hai !

Mai apani masjid se aayun tu apane mandir se aa,
Sare masayeel ka aisa hal achha lagta hai !

Latest Shyari

Palko par dastak dene koi khwab aane wala hai,
khabar mili woh khwab sachhone wala hai,
hamne kaha uski palko par jaa,
jo dost mera abhi sone wala hai

In dooriyon ko meri bewafai na samajhna,
is khamoshi ko meri naaraazgi na samajhna.
Har haal mein denge saath tera,
meri is dosti ko tum kamzoor na samajhna.

Mujhse itna rishta banaye rakhna
meri dosti dil me basaye rakhna...
Waqt ko koi bandh nahi sakta
par is dosti ko palko me sajaye rakhna....!!

Kashish honi chaiye kisi ko yaad karne ki,
lamhe to apne aap mil jayenge,
waqt hone chaiye kisi ko milne ka,
bahane to apne aap mil jayenge.

Hamare Muskurane Ki Wajah Aap Ho,
Hamari Zindagi Ka Matlab Aap Ho,
Hame Milengi Jab Bhi Khushi,
Hum Sochenge Khuda Se Duwa Karne Wale Aap Ho.

Chahenge tumhe par kabhi ruswa na karenge.
Saye se bhi apni kavi shikwa na karenge.
Puchhenge hawaon se ghataon se tera haal,
milne ki kabhi dua na karenge.

Kisi ki yaad mere pass rehti hai
Bahut dino se tabiyat udas rehti hai,
Bichar gaya par dil nahin manta ,
Najane kyu milne ki abhi b aas rehti hai.

Behte ashko ki zuban nahi hoti,
Lafzo mein mohobbat bayan nahi hoti,
Mili hai dosti isko nibhana,
Kismat hamesha meherban nahi hoti..

Yu 'DIL' Se 'DIL' Ko Juda Na Kijiye,
Jara Soch Samajh Kar Ye "FAISLA" Kijiye.
Agar 'AAP' Jee Sakte Hai
'MERE' Bin to Fir 'MERE' Marne Ki 'DUA' Kijiye. . . .

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya,
main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun he sahi uske labon pe mera naam to aaya.

Sunday, October 28, 2007

Some of the Inspiring Quotes which tell not to

Some of the Inspiring Quotes which tell not to

give up in life so you can learn something from these Quotes

1) Never expect things to happen.. struggle and make them happen.
never expect yourself to be given a good value
create a value of your own


2) If a drop of water falls in lake there is no identity.
But if it falls on a leaf of lotus it shine like a pearl.so
choose the best place where you would shine..

3) Falling down is not defeat...
defeat is when your refuse to get up...

4) Ship is always safe at shore... but is is not built for it

5) When your successful your well wishers know who
you are when you are unsuccessful
you know who your well wishers are

6) It is great confidence in a friend to tell him your faults;
greater to tell him/her

7) "To the world you might be one person,
but to one person you just might be the world

8) "Even the word 'IMPOSSIBLE' says 'I M POSSIBLE' "

9) Effort is important, but knowing where to make an effort in your life makes all the difference.


Never take some one for granted,Hold every person
Close to your Heart because you might wake up one day and realise
that you have lost a diamond while you were too busy collecting stones."
Remember this always in life.

My Dard SMS Shayari Collections



Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati,
Bahut udas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati.

Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe


Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.


Mohabbat kar ke dekhi to,
Mohabbat ko pehchana hai
Wafa bus naam ki hai,
Be-wafaai ka fasana hai


Koi dhun mohabbat ki bajne lagi,
Wo aaye to mehphil ye sajne lagi,
Socha na tha mere dilne khabi
Yuin acha lagega koi ajanbee,


Kismat par aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch mazboorian hain mere dost,
Warna judai se pyaar kisko hai.


Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh chahte hain bas itna,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.

Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh chahte hain bas itna,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.


Bhigi palko ke sang muskurate hain hum
Pal pal dil ko behlate hain hum..
Tu dur hain humse to kya hua
Har saans me teri aahat paate hain hum?


Kisi ne hume aashiq kaha,
Kisi ne hume diwana kaha....
In aankhon me aansu tab aaye,
Jab apno ne hume begana kaha....

Saturday, October 27, 2007

Mujhe sa pehla uss gali ,mein meray afsaanay gaye....

Mujhe sa pehla uss gali ,mein meray afsaanay gaye....

Shamaa jab roshan huee milnay ko parvaanay gaye,

Hosh mein jab voh aaye tou voh ho kay divaanay gaye,

Ya tou kismat hee thee aisi, Baat hai ya waqt kee,

Voh nahin maaney agarchay log samjhaanay gaye,

Jab nazar aaya nahin Mandir mein bhi Ram unhein,

Ram dhoondhnay ko Swarg maikhaana gaye,

Unkay ghar pohunchaa tou main,pohuncha hun lekin deir say,

Mujh say pehlay uss gali , mein meray afsaanay gaye,

Meri Tanhai

Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai

Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai

Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai

Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai

SWEET SMS FOR U ALL

Anger is quelled by compassion, enmity is quelled by friendship,
hatred is conquered by love, and sins by good conduct


How many times i hav to tell you to not send messages to me..
See what happened now, all the ants came 2 my cell 2 take those sweet msgs.

Some of the best moments in life:-
Lying in bed listening to the rain outside...
Thinking about the person you love...
A long drive on a calm road...
Finding money in your old jeans just when you need it...
Giggling over silly jokes...
Holding hands with a friend...
Getting a hug from someone who loves u...
The moment your eyes fill with tears after a big laugh...
Wishing you these moments in your life always..!


Dont ever be angry on ur friends, Bcoz upto the last moments of our life,
what pains us is not the words of our enemies, but the silence of our friends!


Love is like
"missed call"
it stops when u try to catch,
But friendship is like
"sms"
bcoz it comes & stays inside ur inbox untill u delete it.



If work is carried out without being overly concerned with the result, then
even failure will not hurt



Its a nice feelin whn sum1 u luv luvs u in return. So whn u knw d 1 u luv has
special feelings 4 u, nvr let dem go coz its rare 2 find 2 hearts dat beat
as 1.


If at any time ur life is like a "candle in the wind"then i'll put my hands
around u so that all burns are mine and all light is urs. !


In d book cal'd life,d page ystrdy is ovr,d page future is blnk n page 2day
is bin writn.So rite d best u cn,coz on dis book ur eraser jst won't work :-)


My prescription 4 u
A cute little smile 4 breakfast
More laughs 4 lunch
And lots of happiness 4 dinner
My fee ?
An extra smile whenever u think of me.......

Friday, October 26, 2007

Yah Zaruri To Nahi.


Yahan sab ko mile pyar ye zaruri to nahi..

Ho kismat pe ikhtiyaar ye zaruri to nahi..

Jo har gharhi khate hain sung marne ki Kasme..
Ho sung jeene ko taiyyar ye zaruri to nahi..

Ummeed me jiski teri palke hui patthar..
Usse ho tera bhi intezar ye zaruri to nahi..

Thursday, October 25, 2007

Tum Kya Jaano Main Khuda Se Kya Maangti Hoon

Tum Kya Jaano Main Khuda Se Kya Maangti Hoon
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangti Hoon
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangti Hoon
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangti hoon
AiY KHUDA Meray Dost Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangti Hoon
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahti Hoon Aur Tumhari Khushi Maangti Hoon
Main Jaanti Hoon Ke Tum Mayray Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangti Hoon

Mujhko Shayar Hi Rahne Do

Mujhko Shayar Hi Rahne Do


Main shayar hoon khayalon ka
Mujhko shayar hi rahne do
kuch batein dabi hain dil mein mere
Unhe alfazon mein kehne do

Hai koi bahadur duniya mein
Hai koi yahan pe kayar bhi
Agar zulm karma dileri hai
To mujhko kayar hi rahne do

Jam jaye agar ye ankhon mein to
Ban jate hai dil ka dard kabhi
Pani kardo har zakhmo ko aur
Aankh se aasoon bahne do

Zindagi Mein Hai Dhoka Iske Siwa Kuch Nahi,

Zindagi Mein Hai Dhoka Iske Siwa Kuch Nahi,
Tamashayi Hai Ye Duniya Iske Siwa Kuch Nahi,

Meri Zindagi Se Puchhiye Zindagi Kya Hai,
Zindagi Hai Ke Khwaab Iske Siwa Kuch Nahi,

Khushiyan Hai Laakhon Is Duniya Mein Magar,
Udaasi Hai Mere Dil Me Iske Siwa Kuch Nahi,

Mujhse Jo Log Bhi Mile Hai Khush Hokar,
Inke Dilon Mein Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi,

Waade Karte Hai Log Magar Jaante Nahi Wafa Karna,
Bewafayi Hai Is Duniya Mein Iske Siwa Kuch Nahi,

Pal Mein Jise Chaha Use Pal Mein Bhula Diya,
Yeh Khel Hai Duniya Ka Iske Siwa Kuch Nahi,

Tum Ko Chaha Hai Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke,
Duniya To Hai Ek Dhokha Iske Siwa Kuch Nahi...