Monday, August 4, 2008

Jab raat ki naagin dasti hai

Jab raat ki naagin dasti hai
Nass nass main zehar utarta hai

Jab chand ki kirnain taizi say
Iss dill ko cheer kay aati hain

Jab aankh kay andarr hi aansoo
Zanjeeron main bandh jaatay hain

Sab jazbon parr chaa jaatay ho
Tab yaad bohat tum aatay ho

Jab dard ki jhanjharr bajti hai
Jab raqs ghamon ka hota hai

Khuwabon ki taal pay saaray dukh
Wehshat kay saaz bajatay hain

Gaatay hain khuwahish ki lae main
Masti main jhoomtay jaatay hain

Sab jazbon parr chaa jaatay hain
Tab yaad bohat tum aatay ho

Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney



Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney
Phir Bhi Khush Reh Kar Khood Ko Saza De Main Ney
Khushi Tu Na Mumkin Se Hai Mere Zindage Main
Phir Bhi Zindage Main Khusion Ko Panah De Main Ney
Dukh Sehney Ke Adat Se Par Gaye Hai Mujh Ko
Is Dukh Sey Jaisey Dosti Kar Le Hai Main Ney
Merey Dukhon Ko Aaj Tak Samjh Na Saka Koi
Phir Bhi Kise Sey Umeed Lagaye Hai Main Ney
Us Ney Merey Dukhon Ko Ek Bahana Samjha
Phir Bhi Us Ke Berukhi Ko Apna Liya Main Ney
Apney Ansu Or Gham Ley Kar Kahan Jaon Main ?
Jis Key Sath Yeh Sab Banta Tha Usey Hi Koh Diya Main Ney

Friday, August 1, 2008

Tere hothon pe main ek din

Tere hothon pe main ek din
Dewaanaa pyaar likh dungaa
Teri maoosom hichaki par
Kai uphaar likh dungaa

Tere bahake se kaalon par
Tere sharmaaye gaalon par
Tere khwaabon khayaalon par
Mera iqraar likh dungaa

Tere gardan ke dhaalon par
Ubharate sab sawaalon par
Main apane ishk ke gahare
Kai izhaar likh dungaa

Tere kaandhon ko thaamungaa
Tujhe khud main milaa lungaa
Teri dhadhakan ki har dhun main
Meri jhankaar likh dungaa

Teri in shokh saanson par
Chhupaa kar rakhi pyaason par
Teri dharati pe barasunga
Kaan kann pyar likh dungaa

Kabhi maawa na kaali ho
Teri har shab diwaali ho
Nassebon ki kitaabon main
nayaa sansaar likh dunga...!

KUCH SHAYARI APKE LIYE.........

Hum jee rahe the unka naam lekar,
woh guzarte the hamara salaam lekar,
Ek din vo keh gaye bhula do humko,
Humne pucha kaise?
woh chale gaye hath mein jaam dekar.......

Teri Bewafaee me dil bekarar hi na karoon..
Tu hukm De to tera Intazaar Hi Na karoon....
Tu Bewafa Hai to Kuch is kadar Bewafee Kar......
Ke Tere baad main Kisi Aur Se Pyaar Hi na Karoon...............

Muje dard-e-ishq ka maza malum hai,
Dard-e-dil ki inteha malum hai,
Zindgi bhar muskrane Ki dua na Dena muje,
Muje pal Bhar muskrane Ki saza malum hai...........

Judai ishq banti jaa Rahi Hai.
Meri yaad usko Tadpa Rahi hai.
Bahot Khush hoon main baazi haarkar bhi.
Mujko Thukrakar Ab Wo Pachta Rahi Hai.

Humari ankh me Paanee Bahot Hai.
Ke Is Duniya me Beimaani Bahot hai..
Mohabbt humne kee Hai,Humse Poocho...
Mohabbat me Pareshani Bahot Hai....

Juda Hone ko Nafrat ka Sahaara Le liya Usne...
Mohabbat Se bichadta to Dukh Itna Nahi Hota...
Us Bewafa Ka khwab aankhon me Liye chup-chap So jaao...
Zyada Sochna Pardes mein Achcha nahin hota...

Koi Nazre Churaye to badi taqleef hoti Hain..
Koi Daaman Chhuddaye To Badi Taqleef Hoti hai..
Kisise Pyar Kar per Ziyada bhi mat kar Aye Dost.. Kyoun ke....
Jab Dil ttutt at Hai to Badi Taqleef hoti hain.

Tere dard say dil abad raha
kuch bhol gai kuch yaad raha

naseba bhi kia rang laya
kahan ja kay ham ko milaya
apni wafa kay gul khil na paya
mil kay bhi tuj say ham mil na paya
dar e dil ham kesay sahieeeee
dor bhi ham kesay rahein
tera gham teray janay kay baad raha

jane wafa tujh ko kiya dein
dil keh raha hai dua dein
arman bhujay hain sapnay dhowa hain
mar mar kay ham tu zindah yahan hai
baykhudi mein ham kho gai
phir juda tuj say hogai
chahat ka jahan barbad raha
kuch bhol gai kuch yaad raha...

Mari mohabat hai wo, koi majboori to nahi.

Mari mohabat hai wo, koi majboori to nahi.
wo mujhe chahe, ya mill jaye zaruri to nahi..

yah kuch kam hai ke bassi he meri sansoon main.
wo samne ho meri ankhoon k zaruri to nahi.

jaan qurban meri, us ki har muskurahat pe.
chahat ka takaza hai yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.

ab to nikal ke ankhoon se yadoon main ja basi wo.
yahi hai qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.

us ke gar ki taraf utthate hi ruk jate hain kadam.
badnami se us ki darta hoon, koi mazburi to nahi.

kyo log madhoosh hote hain meri mahaq se.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.

dair karta hoon har kam main kahte hain dost mere..
kam aqali hei meri koi shaoori to nahi.

kyo sulgata hai apne aap ko aye Dil
dil bhi tera jan bhi teri, koi tan dori to nahi.

Itna Aasan To Nahi

Itna Aasan To Nahi

Pyar kerta hoon main tumse
Izhar kerna itna aasan to nahin

Samajhta hoon mushkil ko per
Samjhana itna aasan to nahin

Dil mein tu bahut kuch he par
Labon pe lana itna aasan to nahin

Khud wo sab dukh jante hue
Dusron ka dil dukhana itna aasan to nahin

Apnon ke zakhm dil mein chupa ke
Dil ka dhadkte rehna itna aasan to nahin

Umeedein to bahut hein shayed par
In umeedon ka poora hona itna aasan to nahin

Ankhon se sab jhalakta ho jab
Labon ka muskurana itna aasan to nahin

Pyar kya he janta hoon par
Dastan sunana itna aasan to nahin

Dil rota he zaar-o-zar par
Ankhon ka num na hona itna aasan to nahin

Logon ko umeedein hein mujh se per
Zamane ka ghulam hona itna aasan to nahin

Us ik sache din ko bhula kar
Duniya ke saath chalna itna aasan to nahin

Dil hi na raha ho jab phir
Dil ka toot jana itna aasan to nahin

Sanwaarna chahta hoon is zindagi ko mein bhi
par Is bhanwer ka sanwer jana itna aasan to nahin

Dua he k dil ko sakoon mile par
Derde dil ki dawa karna itna aasan to nahin..!

mohabbat main appka imitihaan lane kaa erdha nahi thaa



nancy

Meray dushmano say kaho koi

Meray dushmano say kaho koi
Kisi gehri chaal kay ehtamaan ka silsila hi fazool hai
Keh shikast yun bhi qabool hai
Kabhi hoslay jo missal thay, woh nahin rahay

Meray harf harf kay jism per
Jo ma’ani kay par-o-baal thay, woh nahin rahay
Kabhi titliyon, kabhi jugnu’on say sajay phirtay khayal thay
Woh nahin rahay

Meray dushmanon say kaho koi
Woh jo shaam sher-e-wisaal main
Koi roshni si liye huay kisi lub peh jitney sawal thay
Woh nahin rahay

Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamal thay, wo nahin rahay
Meray dushmanon say kaho koi
Woh kabhi jo ehd-e-nishat main
Mujhay khud peh itna ghuroor tha, kaheen kho gia
Woh jo fatehana khumar main
Meray saray kha’b nihaal thay
Woh nahin rahay

Kisi dasht-e-lashkar-e-sham main
Meray sur-khuroo mah-o-saal thay, wo nahin rahay
Keh bus ab to dil ki zuban per
Faqat aik qissa-e-haal hai ………
jo Nidhaal hai
Jo gaye dinon ka malaal hai
Meray dushmanon say kaho koi

Wednesday, July 30, 2008

Kabhi Khud Sey Bhi Bhar Kar koi Dekha hai

Batao Dil Ki Baazi Mein Bhala Kya Baat Gehri Thi
Kaha Youn To Sabhi Kuch Theek Tha Par Maat Gehri Thi

Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Bhar Kar koi Dekha hai
Jawab Aaya Un Aanhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi

Suno Tum Nay Holey Sey Kaha Tha Kya, Batao Gey?
Jawab Aaya Kaha To Tha Magar woh Baat Gehri Thi

Deya Dil Ka Sumandar Us Ney Tum Ney Kya Kiya Us Ka?
Humien Bus Doob Jana Tha Keh Woh Soghaat Gehri Thi

Waffa Ka Dasht Kaisa Tha Batao Tum Pey Kya Beeti
Bhatak Jana Hi Tha Hum Ko Wahan Par Raat Gehri Thi

Tum Us Key Zikar Par Kyun Doobey Jatey Ho Khyaalon Mein
Rafaqat Aur Adawat Apnii Us Key Saath Gehri Thi

Nazar Aaya Tumhien Us Ajnabii Mein Kya, Batao Gey ?
Suno Qaatil Nigaahon Ki Woh Zalim Ghaat Gehri Thi

Hum Ro Parey

Hum Ro Parey


Be atebaar waqt per jhinjila ke ro parre

Kho ker kabhi usse to kabhi Paake ro parre

Khushiyan humare paas kahan mustaqil rahin

Bahar kabhi hanse to Ghar Aa ke ro paree

Kab tak kisi ke sog main royenge beth ker

Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parre

Saturday, July 26, 2008

sochta hoon usy neend bhi aati ho gi


sochta hoon usy neend bhi aati ho gi

ya meri tarhan faqat aashq bahati ho gi
wo meri shakal mera nam bholany wali
apni tasweer say kya aankh milati hogi
sham hoty hi chokhat par jala kar shameen
apny palkoon par kayi khowab sulati hogi
is nai silwa bhi liay hon gay siya rang libas
ab moharam ki tarhan Eid mnati ho gi
hoti ho gi mery bossy ki talab mein pagal
jab bhi zulfoon mein koi phol sjati ho gi

Mujhe bahaar ke mausam se nahi kuch lena

Tumhara ishq Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamaam umr yehi aasra hi kaafi hai ...

Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura dena
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai ..

Mujhe bahaar ke mausam se nahi kuch lena
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai ..

yeh log kaun si manzil ki baat karte hain?
musaafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai.

Friday, July 25, 2008

is se pehle kee bewafa ho jaaye...

is se pehle kee bewafa ho jaaye...

kyo naa aae dost hum juda ho jaaye...

tu bhi heere se ban gaya pathar...

hum bhee jaane kya se kya ho jaaye...

hum gar teri manzile naa ban paaye too...

manzilon tak ka raasta ho jaaye...

dair se soch me hai parwana hum saa...

raakh ho jaaye tere ishq me ya Fanna ho jaaye...

Aisi bewafi karne ko jee chahta hai

Kee mera khuda bhee mujhse Khafa ho jaye..

bandagi hum ne chhor dee dekho...

kya kare. jab log khuda ho jaaye..

Thursday, July 24, 2008

Ae KHUDA tu mujhe jawab de

Ae KHUDA tu mujhe jawab de
kyon wo chala gaya mujhko chod ke

hum to uski jhalak ke deewane the
uske chand se chehre ke parwane the

uski baaton ko dil lagai bethe hen
uska naam bar bar kehte hen

wo, jo bine bole baat samjha de
aur hume humise chura le
uske saath hum apne sapne saja le

aaj is tanhai me rota hai ye dil
tujhko bulata hai ke ek dafa mil

tum na ae, ae gi tumari yaad hume
tumne chod diya, chodenge nahi ghum hume

tere bin zamane ka samana na kar paen gen
tere bin hum yun hi duniya se chale jaen gen

ye sun kar tum meri kabar pe mat aana
na hi koi phool lekar koi ansoo bahana

kyon ke hum tujhse apna rishta tod lenge
mera KHUDA tera saath kisi aur se jod denge...!

Aurat Dekhti Rah Jati Hai

Aurat Dekhti Rah Jati Hai
Aurat Ki sari zindagi ki Mehnat
Wafa Ki Putli Ka her Damm Razi Rehna
Aur Mard Ke Aik Lamha ki Ghalti
Aurat Dekhti Rah Jati Hai Aurat Ki Bewafa Se Muhabat

Uss Ki Aulaad Ki Khidmat
Aur mard Ke Aik Qadm Ki Larzish
Aurat Dekhti Rah Jati Hai
Aurat Ka Khamoshi Se Jeena

Mard Ki Zara Sii Khushi Ke Liay
Jeewan Tyaag Dena
Aur Mard Ka Aik Talakh Jumla Main
Sab Kuch Thukra Dena Aurat Dekhti Rah Jati Hai Lakin
Phir Ke Tersty Kanoon Mian
Mard Ka Aik Muhabat Bhara Jhuuta Julma Aur Wada

Janey kyon yeh saza khatam nahi hoti,

Janey kyon yeh saza khatam nahi hoti,

Meri aankhon ki yeh nami khatam nahi hoti,

Tere phool sey Aaraz ko chhona saza thehari,

Abhi bhi un kanton ki chubhan khatam nahi hoti,

DiL ko jo Aag lagaye teri judaai ney,

sawan mein bhi jalan os ki khatam nahi hoti,

Buhat lambi hain yeh gham ki kaali raat,

Roshni ko tarsa hoon yeh siyaahi khatam nahi hoti,

Talbe mout ki bhi intaha kar chuka hoon WaSeE,

Janey kyon yeh zindagi ki raah khatam nahi hoti

Tuesday, July 22, 2008

Mohabat ke bina zindagi fizool hai

Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai

Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai...


Mat kar mere dost hasino se mohabbat
vo aankho se waar karti hain

maine inhi aankho se dekha hai
ki vo kitno se pyaar karti hain


Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,

Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai ...


Nazar ne nazar se mulaqat kar li,
rahe dono khamosh par baat karli…

Mohabbat ki fiza ko jab khush paya,
in aankhon ne roh roh ke barsaat kar li…


teri har ada mohabbat si lagti hai,
1 pal ki judaai muddat si lagti hai,

pehle nahi soch tha ab sochne lage hai hum,
jindagi k har lamho me teri zarurat si lagti hai


Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,

afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..

Tarasti He Meri Aankhe

Tarasti He Meri Aankhe,
Aapke Chahre Par Hasi Dekhne K Liye....

Taraste Mere Honth,
Aapke Labo Ko Chune K Liye....

Tarasti He Meri Suni Bahe,
Aapki Baho K Liye....

Tarasti He Meri Sanse,
Aapki Sanso K Milen Ke Liye....

Taraste He Ye Badal
Hum Dono Ko Bhigone K Liye....

Tarasti He Ye Hawa,
Hamari Ruh Ko Ek Karne K Liye....

Tarasti He Meri Ye Aawaj,
Tera Naam In Vadiyon Me Gujaane K Liye....

Tarasti He Meri Jaan,
Sirf Aap Ko Paane K Liye....

Monday, July 21, 2008

Sawaal Puche Jaye To Jawaab Nahin Milta



Sawaal Puche Jaye To Jawaab Nahin Milta

Waqt Se Maango To Hisaab Nahin Milta
Hansino Se Maango To, Piyaar Nahi Milta
Binaa Husn Ke Ishq Ka, Khiitaab Nahi Milta
Dil To Miltey Hai, Dil-E-Betaab Nahi Miltaa
Andhero Main Jo Nikley, Vo Aaftaab Nahi Milta
Gam-E- Ishq Choopane Ko Nikaab Nahi Milta
Raat To Ho Jati Hai, Magar Khuwaab Nahi Milta
Dost Mil Jaatey Hai, To Umair Nahi Milta
Anjaam Mil Jaatey Hai, To Aagaaz Nahi Milta

Achhaa nahi ke mai use be-wafa kahoon


Muje Is baat khafa nahi hoo.. , shikwa nahi mujhe
Mere qareeb reh ke bhee wo samjha nahi mujhe
Achhaa nahi ke mai use be-wafa kahoon
Uss ne to mohabbat se bhi dekha nahi mujhe

jaisey kee mai mil gaya tha use rah mai para
pathar tha kee heera kabhi parkha nahi mujhe
Wo humko dhoondte rahe € ’¥ Gairo kee bheer me..
Kee mai to uske apno me tha.. Usne jaana nahi mujhe..

Jaane uski talaas me, mai usko mila nahi
ya uss ne jaan boojh ker payaa nahi mujhe
Ab roote hai wo€ ’¥ Jab mujhko hai kho diya
Jab thaa uske paas to ne kabhi sanbhal ke rakha nahi mujhe

Thursday, July 17, 2008

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe hum ne pukara nahin

meri nockamixon ka itna bhi gham na kijiye
agar aap jeete hain to main haar nahin

ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
Maine abhi aapka gam dil se utaaa nahin

tere bin youn Kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai aaj bhi hai,kinaara nahin

kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansoo hai mera ye koi toota hua taara nahin

kisco gale laga ke rooyen na-murad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin

mareez-e-ishq hai tamanna khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin

wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin

itna hai bad-naseeb "Dill" ka ye jaha.n
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin

*Mila Wo Bhi Nahi Karte *…**

*Mila Wo Bhi Nahi Karte *…**


Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte
Wafa Wo b nahi karte, zafa Hum b nahi karte
Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte
Kisi Morr pe dikh jaate hai wo aksar
Tehra Wo b nahi karte, Ruka Hum b nahi karte
Jab b dekhte hain Unhe, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
Lekin!!! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya

"Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

Pass reh ker Juda si lagti hai

*Pass reh ker Juda si lagti hai
Zindagi Aab bewafa Si Lgti Hai*

*Mein Tumhare beghair hi Jee Loon Ga
Ye Dua bad,Dua si Lagti Hai*

*Naam Is ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon ki Khata Si lagti hai*

*Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai*

*PYAAR Karna hi Jurm Hai Shaid
Aaj DUNYA khafa Si Lagti Hai*

*Zindagi Pay Aik Khauf Sa Taarri Hai
Teri Yadoon Ka Aik Azaab Sa Jarri Hai*

*Bhullana Tujhay Iss Qadar Nahi Hai Aasan
Aik Umer Tere Naam Pay Guzaari Hai*

*Thakk Kar betha Hai Yahan Kaun bhaala
Khwahishon Ka Safar Abhi Jaari Hai*

*Lagg Kar Deewar Say Nidhal Sa betha Hai
Woh Jiss Nay Ro Ro Kar Raat Sarri Guzarri Hai*

*Ashako Nay Ab Aankho Ka Saath Choor Diya Hai
Itna Rooya Hoon Main K Aan*

*Ye sab Teri Mohabbat Ka Kasoor Hai
Sab khoo Kay bhie Dil teri Yaad mai Tarri hai*

Tuesday, July 15, 2008

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !
Pooch kar mera pata, waqt bekaar na karo,
Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !

Har taraf dhund hai, jugnu hai na chirag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !
Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !

Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaaoonga !
Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga ...!

dard ko lafzon me dhaal kar har nagma bana lete hai

Raat ki khamoshi mein kuchh gunguna lete hai
dard ko lafzon me dhaal kar har nagma bana lete hai

ashq toh aakhon se yunhi nahi behte hai
hawa ke anchal se unko dil mein utar lete hai

tanhaai ki roshni hai itni mash-hoor
ke hum saare diye bhuja lete hai

ban baithe the unke pyaar mein itne deewane
ke ab baat be-baat muskura lete hai

poochhta hai jab koi wajah iss dard ki
toh reit mein tera naam likh likh ke mita lete hai

ki jisne bewafai woh toh ho chuke kisi aur ke
aur bewafai ka ilzaam hum par laga lete hai.

Mein ne Poocha

Mein ne Poocha kesey ho
Badley Ho ya wesey ho
Roop wohi, Andaaz wohi
ya phir is mein koi kami

Hijr ka kuch ehsaas to hoga
koi tumharey pass to hoga
mein Bichra ye majboori thi
kab manzoor mujhey Doori thi

saath Humara kab choota hai
Rooh ka Rishta kab Toota hai
Aankh se jo aansu Behtey hain
Tum ko khabar hai kia kehtey hain

mein ne kaha aawaz tumhari
aaj Bhi hai Humraaz Hamari
Phool wafa k khil jaain ge
ik Din Phir Ham mil jaain ge

Apne chehre se in julfo ko hatao to zara..

Apne chehre se in julfo ko hatao to zara..

Mai kaun hoo tera... mujhe batao to zara..

Rootha hua hoo to kya hua... Mai maan jaauga..

Bus ek baar hume dekh ke muskurao to zara..



Mai chala gaya to kya.. Door nahi hoo abhi bhee..

Mai fir laut ke aauga.. Tum bus ek baar bulao to zara...

Mai pyar ka pyasa hoo.. mujhe pyar chahiye..

Jhoota hee sahi.. ek baar.. Bus ek baar .. Jatao to zara..

Monday, July 14, 2008

Wo poochte hai mere na rone ka shabab

Badi muddat se maine apne dil ko samjhaya hua tha..

Wo phir yaad aane lage.. Jise badi mushkil se bhulaya hua tha..

Wo poochte hai mere na rone ka shabab....

Maine Ek Shaqs ko aankho me chupaya hua tha...



Unse milne ki ummeed to mujhe pehle hee na thee...

Aaj wo bhee toot gaya.. jo khwab maine barso se sajaya hua tha..

Tumhee batao.. kaise bachate hum apne dil ko...

Toda bhee usne... wo apna jo mere dil me samaya hua tha....

Apni aankho me unko chupane ki hum koshis karte rahe..

Apni aankho me unko chupane ki hum koshis karte rahe...
Par wo the ki roz meri aanko se ashq ban ke ubharte rahe..
Unse bichar ke aaj bhee saanse chalti hai magar...
Hum Roz jeete rahe roz hum marte rahe...



Us ek mohabbat ne tadpaya hume kuch is kadar dekho....
Ki umar bhar hum Nafrato se nahi... mohabbato se darte rahe...
Khud se waada kiya unhe bhool jaane ka kitni baar humne....
Aur roz khud hee apne wade se mukarte rahe..

Pa ke daga aur fareb zamane me reh gaye


Pa ke daga aur fareb zamane me reh gaye

Hum dosti ka farz nibhaane me reh gaye
Palak jhapkte duniya humse aage nikal gayi
Hum dosto se haath milaane me reh gaye
Dekhte dekhte ho gaya wo aur kisi ka, aur
Hum apne dil ko samjhane me reh gaye,
Duniya apni ujaad li unko paane ki chah me
Aur woh apna ghar basaane me reh gaye,
Hamare saare rishte unse shuru unpe khatam
Wo hamari dosti ko aazmane me reh gaye
Chhor diya unko unki khusi ki khatir dosto
Hum phir gumnaam veeraane me reh gaye..

Haath choote bhi to rishte nahi chora kerte



Haath choote bhi to rishte nahi chora kerte

Waqt ki shaakh se lamhe nahi tora kerta
Jis ki awaz mein silwat ho, Nigahon mein shikan
Aisi tasweer ke tukre nahi jora kerte
Lag ke saahil se jo behta hai use behne do
Aise dariya ka kabhi rukh nahi mora karte
Jagne per bhee nahi aankh se girte sapne..
Is tarah khwabon se saanse nahi joda kerte
Saza jeene ki mila kerti hai thori thori
Jane walon ke liye dil nahi thora kerte...

Sunday, July 13, 2008

Manzur Nahi Thi Tumse Judai

Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Bankar Chali Thi Tere Aangan Mein,

Chhor Aaye Tha Saari Khushiyan Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Ek Anmol Rishta Tha Tumse Bikher Diya Tumne Bewafa Iss Duniya Mein,

Aur Kya Mange Hum Khuda Se Dard Ke Bhwar Mein Dubo Diya Tumne
Kuch Farq Nahi Hai Humhe Jab Tumne Bikar Di Meri Jeevan Ki Khushayan,

Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Banker Chali Thi Tere Aangan Mein
Saaton Vachan Tak Saath Na Diya Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein,

Dekhkar Chup Zuban Na Kahi Aankhon Ki Ehsaas Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Main
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein

Thursday, July 10, 2008

hum bhi dil laga ke dekhenge

ek baar yeh gunah karke dekhenge
hum bhi dil laga ke dekhenge

suna hai mohabbat zindgi tabah karti hai
hum bhi khud ko mita ke dekhenge

suna hai ishq ek aag ka dariya hai
hum bhi khud ko jala ke dekhenge

suna hai raaten karwaton me guzarti hain is pyar me
hum bhi apni neende uda ke dekhenge

suna hai ek ajeeb sa nasha hai yeh chahat
hum bhi apne hosh gavaan ke dekhenge

suna hai kho jate hain aksar pyar karne wale
hum bhi khayalon ki mehfil saja ke dekhenge

Sittam yeh hai vohi deta rahaa sadaa mujh ko

Sittam yeh hai vohi deta rahaa sadaa mujh ko,
Voh aik shakhs pathar banaa gya mujh ko,
Thakey badan kay kinaaron mein qaid hoon varna,
Na rok sakta pahaadon ka silsilaa mujh ko,
Voh main sahi koi nazar aaye tou mujh jaisaa,
Gubaare waqt kabhi aaina dikhaa mujh ko,
Ghirey rahe merey atraaf nitt naye baadal,
Fareb deti rahi ummar bhar havaa mujh ko,
Banaa rahaa hoon har aik rukh se sham ka manzar,
Padaa hai doobtey ranggon se vaasta mujh ko,
Kahin yeh na ho bikhar jaoon tere daaman par,
Main khaak hoon tou zaraa dekh kay udaa mujh ko,

Tuesday, July 8, 2008

Tum Bin Na Sanam Rah Paaungi

Main Lakh Khafa Ho Jaun Magar Tum Bin Na Sanam Rah Paaungi !!
Kahin Door Aagar Tum Chale Gaye Main Jeete Jee Marr Jaaungi !!

Tum Aksar Mujhse Kahte Ho, Main Pyaar Tumhen Kyun Karti Hun !!
Teri Har Dhadkan Hai Saans meri, Bus Itnaa Hi Kah Paaungi !!

Meri Duniyaa Hai Teri Chaahat, Mujhe Dard Kabhi Na Dena Tum !!
Joh Choat Lagi Is Seene Pe, Main Ashkon Main Bah Jaaungi !!

Mere Dil Ki Gahraai Main Tu, Mere Jism Ki Parchai Main Tu !!
Main Jee Na Saki Tere Liye Agar, Tere Liye Sanam Mar Jaaungi !!

Mere Sath Hamesha Rahna Tu, Mujhko Toh Hai Teri Aadat !!
Kahne Ko Saath Jahan Hai Par Teri Doori Naa Sah Paaungi !!

Tu agar bewafa hai to

Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai...
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai'
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai...

...................................

Dil mein ek dard liye jiye ja raha hoon,
Teri mohabbat ka jaam piye ja rahan hoon,
Na chahte huye bhi ye kaam kiye jaa raha hoon,
Na jane khud ko kaun si manzil par liye ja raha hoon.

...................................

Teri judai bhi hamein pyaar karti hai,
Teri yaad bahut bekrar karti hai,
Woh din jo tere sath guzare the,
Talash unko nazar bar bar karti hai.

...................................

Agar jindagi mein judai na hoti,
Toh kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Sath gujara hota har lamha,Toh sayad risto mein itani gahrai na hoti.

Monday, July 7, 2008

*Dil Mein Kya Hai Tere Yeh Jaanta Hoon*

*Mujhe Kyon Doori Ka Ehsaas Dila Rahi Ho,
Kyon Door Jaa Rahi Ho, Kyon Muskura Rahi Ho,
Kya Khush Ho Tum Bhi Ya Meri Tarah Aansoon Baha Rahi Ho,*

*Dil Mein Kya Hai Tere Yeh Jaanta Hoon Main Bhi,
Par Lagta Hai Ke Tum Bhi Meri Tarah Kuch Chhupa Rahi Ho,
Pyar Hai Humari Zindagi Par Chhod Ke Ja Rahi Ho,
Kyon Aaj Mujhe Is Gam Mein Ab Aur Tadpa Rahi Ho,*

*Aajaana Jaldi Se, Ke Dil Lagta Nahi Hai Tere Bin,
Hume To Tum Udaas Karke Jaa Rahi Ho,
Pyar To Hai Magar ,Is Pyar Mein Tadpa Rahi Ho.*

*Rula diya aaj humein suraj ne dhalte huye*



*Teri talaash me nikle the hum haath malte huye

Rula diya aaj humein suraj ne dhalte huye*
*Zamana guzar gaya seene me dard palte huye
Kisi ghata se kaho hum ko ab utha le jaaye*
*Ke umar beet gayee hum ko jalte huye
Yahan to kuch bhi nahin hai siwaye kaanton ke*
*Kahan tak aa gaye hum is raaste par chalte huye
Sikha rahi hai zamane ko zindagi ka chalan
Guzarti hai rail deewane patrian badalte huye*

*** Jab Tum Sharmaati Ho ***

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,

Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,

Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,

Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,

In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
" Tum mere HUMSAFAR ho", jab keh kar jaati ho.

dosti pehli baarish ki boondo mein hai

dosti pehli baarish ki boondo mein hai

dosti khilte phool ki khushbu mein hai

dosti ugte suraj ki kirno mein hai

dosti har naye rishte ki umeed hai

dosti khwaab hai, dosti jeet hai

dosti pyaar hai, dosti geet hai

dosti do jahan ka sangeet hai

dosti har khushi, dosti zindagi hai

dosti roshni, dsti bandagi hai

dosti sang chalti hawaaon mein hai

dosti in barasti ghataaon mein hai

dosti doston kiwafaaon mein hai

haat utha kar jo maangi hai dua,

dosti ka asar in duaaon mein hai......

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga

Tuesday, July 1, 2008

Dil Me Lagi Tasveer Aapki Hata Nahi Sakte.

Dil Me Lagi Tasveer Aapki Hata Nahi Sakte.
Aape Saath Beete Lamhe Ko Bhula Bhi Nahi Sakte.
Jitna Hak Hai Mera Aap Per, Utna Hak Jata Bhi Nahi Sakte.
Bahut Taklif Bada Dard Hota Hai Diltutne Per,
Tute Dil Ki Aawaz Aapko Suna Bhi Nahi Sakte.
Aapke Sang Jeena Hai, Aapke Sang Rehna Hai.
Sab Sapne Hai Jinhe Haquiqat Bana Nahi Sakte.
Aap Dil Me Dil Ki Har Dhadkan Me Rehte Ho,
Isliye Dil Cheerkar Aapko Dikha Nahi Sakte,
Aap Aao Aur Samjhao Is Nadaan Dil Ko,
Hum To Lakh Chahkar Bhi Samjha Nahi Sakte.
Bahut Ehshaan Hai Aapke Meri Is Jindgi Per,
In Ehshaano Ka Karz Kabhi Chuka Nahi Sakte.
Her Saans Ke Saath Apko Hi Yaad Kartein Hain,
Ab Kitna Yaad Karte Hain Gina Bhi Nahi Sakte.

Hum dosti ka farz nibhaane me reh gaye

Pa ke daga aur fareb zamane me reh gaye

Hum dosti ka farz nibhaane me reh gaye

Palak jhapkte duniya humse aage nikal gayi

Hum dosto se haath milaane me reh gaye

Dekhte dekhte ho gaya wo aur kisi ka, aur

Hum apne dil ko samjhane me reh gaye,

Duniya apni ujaad li unko paane ki chah me

Aur woh apna ghar basaane me reh gaye,

Hamare saare rishte unse shuru unpe khatam

Wo hamari dosti ko aazmane me reh gaye

Chhor diya unko unki khusi ki khatir dosto

Hum phir gumnaam veeraane me reh gaye

Tuesday, June 24, 2008

Best SmS

  1. Har taraf har jagah besumar aadmi, Fir bhi tanhaio ka sikar aadmi, Har taraf Bhagte dodte raste, Har taraf Aadmi ka sikar aadmi, Subah se sam tak roz dodta hua apni hi las ka khud mazar aadmi, Aap ki dil ke dhadkeno me rahne wale ko kahte hai aadmi.

  1. Tum bilkul "Pagal" ho…. Are Pagal means…. P-Pyari, A-Attractive, G-Genius, A-Active, L-Lovely…. Ab to Khush Ho….

  1. Aao saath me duniya bant le, Samundar aapka Lahre hamari, Aasman aapka Sitare hamare, Suraj aapka Roshni hamari, Chalo aaisa kare…. Sub kuch aap ka Aur… Aap Hamare….

  1. People say friends are made in heaven and they come in your life, But I made a friend like you in this world and made my life a Heaven…..

  1. A candle may melt & It's fire may die, But the love U have given me will always stay as a flame in my Heart….

  1. Being near is not the meaning of Being dear….., I may be far from U but this Msgs is a Bridge ##________## To make U feel that I always Rememeber You…..

  1. Mat pyar karo us pyar ko jo pyar tumhe pyar n kare, Jo pyar tumhe pyar kare, us pyar ko tum utna pyar karo ki vo bhale kisi aur K sath jiye, par kisi aur se pyar n kare…..

  1. Fursat kise hai roothne manane ki, Nigahe badal gayi apne or begane ki, Tum na chhod na haath dosti ka warna, Kahi aadat hi na choot jaye dost banane ki…

  1. Har shabd me arth hota hai, Har arth me tark hota hai, Sab kehte hai K hum haste bahut hai, Lakin hasne walo k dil me hi gehra dard hota hai….

  1. Moon is UPSET….. And… Sun is HAPPY….., U know Why..?? Because… Moon is Missing U…. &.. Sun is Going to be with U… for the whole day…!! Good Morning… J

  1. Hamari muskurahat dekh kar duniya ne socha ki hum gum se khali hai, Par unko kya pata ki jis gum k baag me duniya rehti hai, hum us baag k mali hai…

  1. Ae dil tu dhadkana bandh kar… Jab jab tu dhadakta hai Unki yaad aati hai.. Woh to khush hai apni duniya me…. Jaan to pal pal Hamari chali jati hai…

  1. Aaj ujalon me 1 kami si rahne de, aankhon me 1 katra nami si rahne de, reh na jaye mahobbat adhuri meri, intzaar hai…., Intzaar hi rehne de…..

  1. Life is more strict than a teacher, A teacher teaches a lesson and takes an exam…. But life takes an exam and then teaches a lesson…..

*My Heart Touching SMS.....*

*Kis qadar khoob hai dillagi aapki,
Aaj bhi dil mein basi hai mohabat aapki,
Jab bhi fursat k lamhay miley humein,
Dil ne mehsoos hi hai kami aapki....*



*Koi dukh na ho koi ghum na ho,
Koi aankh kabhi num na ho,
Koi dil kisi ka tore na,
Koi sath kisi ka chore na,
Bas piyar ki nadiyan behti ho,
Kaash k Duniya aisi ho.....*



*Hum nazuk nazuk dil waley
Kabhi hastey hain kabhi rotey hain
Kabhi dil mein khwab parotey hain,
Kabhi mehfil mehfil phirtey hain,
Kabhi zaat mein gum ho jatey hain,
Kabhi chup ki mohar sajatey hain,
Kabhi geet labon par atey hain,
Kabhi sab ka dil behlatey hain,
Kabhi khud tanha ho jate hain,
Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain,
Kabhi lambi taan k sotey hain,
Hum nazuk nazuk dil waley
Bas apney aap mein rehtey hain...*



* **Jin rahon pe ik umer tere sath raha hun,
Kuch roz se wo raste sunsan bohat hain..
Mil jao kabhi laut k phir aon na shayed,
Kamzor hun mein rah mein tufan bohat hain..
Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan,
Hum bhi tu teri chah mein veeran bohat hain..
Ik tark-e-wafa pe mein usay kaise bhula dun,
Mujh per abhi os shakhs k ehsan bohat hain..
Bhar aaien na aankhein tu mein ik bat bataon,
Ab tujh se bicher jane k imkan bohat hain....*

*Jo aansoo na hote aankhon mein,
Tu aankhein itni haseen na hotin..
Jo dard na hota dil mein,
Tu khushion ki qeemat pata na hoti..
Jo bewafai na ki hoti waqt ne,
Tu wafa ki kabhi chahat na hoti..
Or aggar sochne se poori ho jatin muradein,
Tu duaon ki kabhi zaroorat na hoti....*


* **Meri aankhon ka noor tha ek shakhs,
Paas reh ker bhi durr tha ek shakhs,
Zamane ki hawaon ne badel diya ho shayed,
Pehley tu na itna maghroor tha ek shakhs,
Jatey huay us ne palatt k bhi na dekha,
Khuda jane kis qadar majboor tha ek shakhs,
Zamana chahey jo bhi kahey mujhko,
Mein tu yehi kahonga 'mere dil ka saroor tha ek shakhs'...***


*Humare aansu ponch k woh muskurate hain,
Isi aada se woh dil ko churate hain,
Hath unka chhu jaye humare chehre ko,
Isi umeed pe hum khud ko roz rulate hain... *


*Khwab bann k koi ayega tu neend ayegi,
Ab wohi aa k sulayega tu neend ayegi..
Dil ki wo bat jo aankhon se bayan hoti hai,
Koi honton se sunayega tu neend ayegi....*

------------------------------

------------------------------

*Ishq mohabat tu sab kerty hain,
Ghum-e-judai se wo sab dartey hain,
Hum tu na ishq kerty hain na mohabat,
Bas doston ki ek muskurahat k liye sms kerty hain...*


*I am not 'Shakespeare' 2 Write about U,
I am not 'Shelley' 2 Sing about U,
I am not 'Piccaso' 2 Paint U,
I am ur 'Friend' who just want 2 say..
I am Always with U..!!!*


*The worst thing in life is 'attachment'.
It hurts when u loose it..
The best thing in life is 'lonliness'.
Bcoz,
It teaches u everything
& so,
when u loose it,
U get everything....!*

*Chahat mein kisi ka imtehan mat lena,
Jo nibha na sako wo wada wafa na dena,
Jise tum bin jeenay ki aadat na ho,
Usay kabhi jeenay ki dua na dena... *



*Baat rakhi dil mein, baat keh na sakey..
Yaad kiya aapko tu saans le na sakey..
Poocha kisi ne dil ko k, tu ne sachi dosti kis se ki..
Jantey thy phir bhi aapka naam le na sakey...*

------------------------------

*Meri har wafa pe aap bhi wafa kerna,
Na kabhi dosti mein dagha kerna,
Apni dosti ka sooraj kabhi ghuroob na ho,
Aey dost khuda se bas yehi dua kerna...*

------------------------------

------------------------------

*Humne mangi hai mohabat na wafa mangi hai,
Humne tu sirf dosti ki inteha mangi hai,
Khuda se kuch nahin manga humne,
Bas dost ki khushiyon bhari zindagi ki dua mangi hai...*


*Ajeeb shakhs tha kaisa mizaaj rakhta tha,
Paas reh ker bhi mujhse ikhtelaf rakhta tha,
Usay shayad kisi aur se mohabbat thi,
Humse se tu bas yunhi mazaq rakhta tha...*

*Hum ek bar jeetey hain,
Ek bar martey hain,
Ek bar piyar kartey hain,
Dil bhi ek bar daitey hain,
Jab hum har kam ek bar kartey hain
Tu aapko miss kiyun bar bar kartey hain...??*

* *


*Kuch es tarhan se wafa ki missal deta hun,
Sawal kerta hai koi tu taal deta hun,
Usi se kehta hun aksar fareeb manzil ka,
Mein jis k paon se kanta nikal deta hun... *

------------------------------

*Dil torna saza hai mohabat ki,
Dil jorna adaa hai dosti ki,
Manngay jo qurbaniyan wo hai mohabat,
Aur jo bin manngay qurban ho jaye wo hai dosti...*



*Zindagi se poochiye ye kiya chahti hai,
Bas ek aapki waffa chahti hai,
Kitni masoom aur nadan hai ye,
Khud bewaffa hai aur waffa chahti hai...*


*Bicher jana tu os k liye maenay nahin rakhta,
Jafaon ka apni hissab wo zabani nahin rakhta,
Rota nahin ya osay rona nahin aata,
Sungdil hai ya phir aankhon mein pani nahin rakhta....*

------------------------------

*Aashna hotey huay bhi aashna koi nahin,
Jantey hain sab mujhy pehchanta koi nahin,
Mukhtasir lafzon mein ye hai mizaj-e-dosti,
Rabta beshak hai sab se wasta koi nahin...*

------------------------------

*Janey kiyun log doston ko bhula detey hain,
Kuch pal sath rehney k baad durr chaley jatey hain,
Sach hi kehti hai ye duniya k,
Saagar milney k baad log barish ko bhula detey hain...*

------------------------------

------------------------------

*Bari koshish k baad osay bhula diya,
Oski yadon ko dil se mita diya,
Ek din phir oska paigham aya likha tha mujhy bhul jao,
Or mujhy bhula hua har lamha yad dila diya...*

Teri tasveer banai hai

 ek-ek tara jod teri tasveer banai hai
koi dekh na le isliye dil me chhipai hai
dil se tu meri nas-nas me samai hai
iss liye teri tasveer hum ne dil me basai hai

dard to humne intezar me dekha hai
chaahat ka asar pyaar me dekha hai
log dhundte hai mandir mazid me jis khuda ko
use humne aapne pyaar me dekha hai

tum dost meri ho nat khat si

tum dost meri ho nat khat si

kuch ziddi ho kuch pagal si

dil ke kone me rehti ho

sab se achchi dost meri ho

tum se "hi" kehelwana hai bahut asan

"eco notebook" ya "french fries" se ho jaye ga kam

batau me tum mahir ho par lagti abhi ho bachchi

"business" me tum mahir ho "accounts" me thodi kachchi

waise tum ho badi simple with a sweet little dimple

lekin jab baat ajaye sports ya annual day ki

sab ajata hai chehre par powder, lali, kajal

"rani" ki tum fan ho par ho nahi kuch kam

uncle "shahrukh" ko chodo look for someone young

us bewafa ka kya kehna

Na dost hai koi na yaar hai mera
logou sun lo na koi dil dar hai mera

us bewafa ka kya kehna jo chod ke chala
sare wadau qasmau ko wo tod ke chala

dosti ki azmat ko jhinjod ke chala
bich rah me zinda dargor kar ke chala

kehta tha dosti apni hai samandar ki si gehri
aj usi samandar me hum ko duba ke chala

wo yaar mera yaari ko badnam kar chala
wafa ke naam par sab kuch neelam kar chala

Monday, June 23, 2008

Best Shyari



Pyar Kiya To Unki Mobabbat Nazar Ayi,

Dard Hua Hame To Palke Unki Bhar Ayi,

Do Dilo Ki Dhadkan Me 1 Baat Nazar Ayi,

Dil To Unka Dhadka Par Awaz Is Dil Se Aayi...

Friday, June 13, 2008

Ek Dil Se Hi Pyar Hota Nahi



Dharkano Ki Tarhan Meri Har Saans Main

Pyar Apna Basane Ka Waada Karo
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hain
Mere Dil Main Sajane Ka Waada Karo
Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahi
Ek Dil Se Hi Pyar Hota Nahi
Main Tumhen Yaad Rakhne Ki Khaon Qasam
Tum Mujhe Na Bhulane Ka Waada Karo

Teri yaad se rishta kal bhi tha

Teri yaad se rishta kal bhi tha
teri yaad se rishta aaj bhi hai,,

Dil apna dukhta kal bhi tha
dil ye udaas aaj bhi hai,,

Jo pyar hum tum karte they
woh pyar to zinda aaj bhi hai,,

Hum bichad gaye is doori mein
tum door ho majboori mein,,

Kabhi waqt mile to chali ana
khula dil ka darwaza aaj bhi hai,,

Na sataao, na tadpaao...... .
na mehfil mein yu tanha chodo,

Teri yaad me jaage kal bhi they,
teri yaad me jaage aaj bhi hain......

SmS Shayari

taare raat mein jagmagate hain
subha ko jane kaha woh gum ho jate hain,
andhere mein asman ka rang woh dekhte hain
neeli chadar par woh sare timtimate hain,

raat hai andheri or sunsan si
charo tarf chhayi hai ek virani
khamosh ho kar bhi ye hava kuch hai keh rahi
andhere mein rasta kisi ka jaise dhundti
taare apni roshni se raah hain dekhte
subha ko jane kaha woh gum ho jate

taare kitne pyare lagte hain sang hamare
chand to hai adhura akash mein
sang na hon agar ye sare
dekho to asman mein chamkile phool bikhre huye
lagta hai phoolo mein bhi deep jal rahe
Kaffi hai Sapne Dil Ko Behlane Ke Liye,
Mohabbat Kar Lo Dil Ko Dukhane Ke Liye,
Bhale Pade Gum Se Wasta,
Par Ik Dost Humsa Rakhna Gum Ko Bhulane Ke Liye


Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,
Aur sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge,
Agar teri yaad mein main mar bhi jau ay dost,
Tum dilse pukaar lena hum kafann chod denge

Zamana kya chahta hai humse

*Hai koi???*

Zamana kya chahta hai humse

Hume aa kar batay koi..

Hum muskurate hai sabhi ke liye..

Hamare liye bhee muskuraye koi...

Sare jahan ke gum humne apna liye hai..

Are hamari khushiya hee apnaye koi...

Bahut taqleefe uthai hai pyar kar ke humne..

Ab bas aur nahi,,, Ab hume nafrat karna bhee sikhaye koi....

Friday, June 6, 2008

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko



Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko
Tumko Aankhon Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko
Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko
Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko

Patni Chalisa.......


Namo-namo patni maharani
tumhri mahima koi na jani
Hamne samjha tum abla ho
par tumto sabse badi bala ho
Jis din haath me Belan aawe
Us din PATNI khub chillave
Sare bed pe PATNI sove
Pati baith farsh par rove
Tumse hi ghar MATHURA KASHI
aur tumshe ghar Satyanashi
Patni Chalisha jo nar gave
sab such chhod param dukh paave

Zara tham tham k barsa kr


Zara tham tham k barsa kr
Abi itna na roya kr
Abi to door he manzil
Abi khud ko na tanha kr
Teri ankhein smandar hein
Smandar ko na sehra kr
Mera dil doob jata he
Mjhy aisy na dkha kr
Hawa mjh se kahe pagal
Na youn rastoon me betha kr
Wo aik din chohr jay ga
Usy itna na yad kia kr……



Aansu aa jate hain aankhon mein,
par labon pe hasi lani padti hai,
yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaro,
jisse karte ho usi se chupani padti hai.

Thursday, June 5, 2008

Humari Ankhain

Humari Ankhain

Ao Dekho
Humari Ankhain Sulg Rahi Hain
Humari Ankhain Tumhari Rahoon Ki Muntazir Hain
Hazar Jugno Utter Rahy Hain
Hum Apny Ander Bikher Rahy hain
Daleel Kasi?
Jawaz Kaisa?
Tumhari Yadoon Ki Khushboon Se Mahak Rahy Hain
Khial Apny Sisk Rahy Hain
Laboon Pe Kasi Yeh Muskurahat Si Chaa Rahi Hai?
Tumhari Yadoon Ke Silsiloon Se Guzr Rahy Hain
Qareeb Aoo
Humain Bhi Jano
Humain Bhi Mano
Hum Apny Furqat Ke Ansuon Ko Chupa Rahy Hain
Tumhain Hum Itna Bata Rahy Hain
Humari Chahat Ka Koi Aisa Jawab Do Na
Hussn Ko Apni Muhabaton Ke Gulab Do Na
Aoo Dekho
Humari Ankhain Sulag Rahi Hain

Ishq Ka Matlab

Ishq Ka Matlab



Uss nay Khat main
Ishq ka Matlab Pooch liya hai
Mein nay Likha hai
Jab Koi Chehra
Dhiyaan Mein Akar
Maan Angan mein Phool Khila day
Jab Koi Naam Labon ko Choo kar
Dharkano ki Tarteeb Bhula day
Jab koi Jazba Kar-e-Junoon se
Atish ko Gulzar bana day
Laikin Itna Dhiyaan mein Rakhna
Koi Siraat-e-Ishq se Guzry Tab Khulta hai
ISHQ se Pehlle ISHQ ka Matlab kab Khulta hai

Wednesday, June 4, 2008

Latest SmS

Rone de aaj humko TU aansooo bahane de
Baaho mein mujhe Le Le aur khud ko TU bheeg jaane de

Hai iss dil mein itna dard, ki tera daman bhi bheeg jaayega
Monday se intzaar me hoon... Yeh Saturday kab aayega....



~~~~~~~~~



TERI DOSTI KI ROSHNI ITANI HAI KE
HAR TARAF UJALA HI UJALA HAI......

SOCH TA HOON KI.....

SOCH TA HOON KI .......

GHAR KI BIJALI KATWADU AUR
TUJE DIWAR PE LATKA DU.....



~~~~~~~~~



1 purani haveli ke band kamre me Dhool se bhari tasveer ke peechhe lage jaale me Phansi makari ki dum par baithe machchhar ki Kasam.


.."I miss u"..



~~~~~~~~~



Chand pe ghata chaati to hogi,
Sitaroon ko bhi nind aati to hogi...

Tum lakh chupao duniya se magar,
Akele me apni surat pe hansi aati to hogi....

Dil To Kahta Hai Zamaane Se Chhupa loon Tujh Ko

Dil To Kahta Hai Zamaane Se Chhupa loon Tujh Ko
Dil Ki Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basa loon Tujh Ko...

Koi Ahsaas Judaai Ka Na Rahne Paaye
Iss Tarah Khud Mein Meri Jaan Samaa loon Tujh Ko...

Tu Jo Roothhey Kabhi Mujh Se Mere Dil Ke Maalik
Saari Duniya Se Khafa Ho Ke Manaa Loon Tujh Ko...

Jab Bhi Dekhoon Tere Chehre Pe Udaasi Ka SamaaN
Yehi Chahoon Ke Kisi Tarha Hassa loon Tujh Ko...

Tu Jo Thhak Haar Ke Loutay To Yahi Khwaahish Hai
Apni Palkon Ki Chaaon Main Sula loon Tujh Ko....

Kachchi deewaar hoon thhokar na lagana mujhko

Kachchi deewaar hoon thhokar na lagana mujhko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !

Tumko aankhon mein tasavvur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dhadkan ki tarah tum bhi basaana mujhko !

Baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron se bataana mujhko !

Waada utna hi karo jitna nibha sakte ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhaana mujhko !

Apne rishte ki nazaaqat ka bharam rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujhko !

Kachchi deewaar hoon thhokar na lagana mujhko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !!

Tanhai

Tanhai
Her rooz Subhu Uthti Hoon
Dua Mangti Hoon
Tujh Se Milny Ki
Aur Tanhai Se Bicherny Ki
Lakin Na Jany Kya Baat Hai
Meri Duaain be Aser Hain
Ya Main
Jisey Kisi Ne Chaha Hi Nahi
Tanhai Mujh Per Ashiq Ho Gai Hai
Keh Tuu Mujhe Milta Nahi
Aur Tanhai Mujh Se Bicherti nahi

Tuesday, June 3, 2008

Tohfa kya doon tumhe duaao ke siwa

!! Meri duaa hai ke khush raho tum !!
!! Mile na koi gum jaha bhi raho tum !!

!! Samundar ki tarha dil hai gehra tumhara !!
!! Khushiyon se bhara rahe daman tumhara !!

!! Tum jo kaho woh har khawaish puri ho tumhari !!
!! Khuda se bhi bus yahi dua hai humari !!

!! Tohfa kya doon tumhe duaao ke siwa !!
!! Ke khuda humesha rahe razi tumse sada !!

Hum Safar Ki Talash

Tanha hai dil, na ko pass hai, na koi hum dum

U to chali ja rahi hai jindagi meri,Fir bhi kisi

Hum safar ka intzar hai, jo humare safar ko apne

Jindagi ka khubsurat hum safar bana sake, meri

Kaanto bhari tanhaiyo ko gulistan me badal sake.

Mere jindagi ke safar ko apne dil k manjil ka safar bana

Sake or voh koi nahi tum ho meri Jaan Anu

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai
Didaar e- mohabat ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karata nahi hai

Duwa yeh aati hai honton pe bar bar
Maut aane se pahle bas ek bar
Meri jaan ka didar hojaye
Dil hai ke koi aur sapna sajata nahi hai


Woh aayegi zaroor dil yeh kahta hai
Usi ki yaad mein khoyaa yeh rahta hai
Ab ruk ne ko hai yeh saanse meri
Aur yeh waqt hai ke ruk jata nahi hai

Monday, June 2, 2008

Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai

Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai
Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai

Mai Teri Rooh Mai Uttra Tha Kahan Kab Kaise
Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai

Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakta Hon
Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai

Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hon
ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kiya Hai

Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe
Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai

Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil
Tum Ho Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai

Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi
Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai

Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya
Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai

Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si
Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai

To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch
Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Fasana Kiya Hai

Kis se kahon...

Kis se kahon...




Kis se kahon....
Aur kon sunay ga?...
Jo haal tumharey baad huwa....
Iss jheell si neeli ankhon main...
Ek Khawaab bohut barbaad huwa..
Iss shehr main kitnay chehray thay...
Sub bhool gayey....
Kuch yaad nahin,,,,
Ek shakhs kitabon jesa tha..
Woh shakhs zubaani yaad huwa...

Friday, May 30, 2008

Barbaad Kar Daitey ...

Barbaad Kar Daitey ...

Mujhe is zindagi se qabal hi nashaad ker detey
Abhi tanha kiya hai to tabhi berbaad ker detey

kabhi terey dayaar-e-ishq mai abaad na hota
Dil-e-mehtaab ko aisa dil-e-berbaad ker detey

Her ek rabt khatam aur saari aas bhi tooti
Adhoorey khawab se ankhon ko bhi Azaad ker detey

Mujhe tum kuch bhi kertey mujh se faqat pyar na kertey
Jala ker raakh kertey zindagi berbaad ker detey

Kiye wadey nibhatey aur mujhe abaad ker detey
Sabhi wadey jo torey mujh ko bhi berbaad ker detey

Hamein maloom ager hota ke hona wasta gham se
To hum is dil ki nermiyon ko bhi folaad ker detey

Ager sab kuch mere naseeb ka likha nahi hota
To hum duniya ko bhi dil ki tarah berbaad ker detey

kahan ansoon ki yeh sohat ho gi

kahan ansoon ki yeh sohat ho gi
naye loog hoon gay nayi baat ho gi

main har haal mian muskurata rahoon ga
tumhari muhabat agar sath ho gi

chargoon ko ankhoon main mehfooz rakhna
bari door tak raat hi raat ho gi

parishan hain hum bhi parishan ho tum bhi
chaloo mehkaday main wahein baat ho gi

chargoon ki lo say sitaroon ki zo tak
tumhain main miloon ga jahaan raat ho gi

jahan wadiyoon main naye phool aye
humri tumhari mulqat ho gi

sadaoon ko alfaaz milnay na payein na badal
ghirein gay na barsat ho gi

musafir hain hum bhi muafir ho tum bhi
kisi more per phir mulaqat ho gi

Thursday, May 29, 2008

!! Dil ko todkar haste ho !!




!! Dil ko todkar haste ho !!
!! Dil ko tadapakar haste ko !!
!! Zindagi kum pad gayi mohobbat ke liye !!
!! Is mohabbat ka anjaam dekh kar haste to !!
!! Hum to ek pal na jee sake bin aapke !!
!! Aap hume ruswa karke haste ho !!
!! Har kadam par aa**pka sath diya dil ne !!
!! Aap to humari is nadaan mohabbat par haste ho !!*