Thursday, January 31, 2008

Barsoon ki chahat ko ek pal main

Barsoon ki chahat ko ek pal main badalte dekha hai maine

toot kar chahne waloon ko baat sai mukarate dekha hai maine

naaz karte thai jo apni wafaoun pai

unhi ko bewafai karte dekha hai maine

kaise sajja loon sapa apni udass aankhon main

har khuwaab ko toot kar bikharte dekha hai maine

karte thai jo wada hamesha sath chalne ka

phir unhi ko raasta badalte dekha hai maine

aitabaar na raha hai kissi par bhi kiya karain

is aitabaar ko bhi baar baar marte dekha hai maine

Tera Naam Likh-kha Hai Reth Per


Mere Dil Ki Raakh Khuredh Math, Usse Muskurake uda Na De
Ye Charaag Phir Bhi Charaag Hai, Kahii Tera Haath Jala Na De
Naye Dhaur ke Naye Kwaab Hai, Naye Mausamon Ke Gullab Hai
Ye Mohabbatho ke Charaag Hai, Inhe Nafratho ki Hawa Na De

Jara Dekh Chaand Ki Patthiyon ne Bhikher Bhikher ke Tamaam Shab
Tera Naam Likh-kha Hai Reth Per, Koyee Leher Aakhe Mita Na De
Mai Udaasiyaa na Sajha Sakhu Kabhi Jismo-jaa ke mazaar Per
Na Diye Jale Meri Aankho mein Mujhe Ithni Sakht Sajha Na De

Mai Gazal ki Shabnami Aankh Se, Ye Dukhon Ke Phool Chuna Karu
Meri Saltanath Mera Fun Rahe Mujhe Tajo-Takhth Khuda Na De....

Wednesday, January 30, 2008

Kaisey kahoon kia ho tum

Kaisey kahoon kia ho tum

Main bataon kia ho tum?
Merey liye meri Dunya ho tum
Choo ker jo guzray wo Hawa ho tum
Main nai jo maangi wo Dua ho tum
Karay mujh ko jo roshan wo Diya ho tum
Kia main nai jo mehsoos wo Ehsas ho tum
Meri nnazar ki Talash ho tum
Meri zameen ka Akash ho tum
Meray chehray ki Kashish ho tum
Meray sitaron ki Gardish ho tum
Meri zindagi ka Qarar ho tum
Meray her sawal ka Jawab ho tum
Main nai jo chaha wo PIYAR ho tum..........

Teri Yaad

Teri Yaad

Yuun Dubby Paon

Meri Tanhai Main

Mery Dil main

Yuun Chali Ati Hai Khamoshi Se

Jase Ik Raat Ka Khawab Ho Koi

Be Khaber Neend Se Jagati Hai

Main Usey Dhondhi Hi Rehti Hoon

Wo Kahan Hai

Wo Kon Hai

Wo Koi Aur Nahi

Ik Khawab Hai Mera!!



Kal jabse tera naam meri juba pe aaya hai
Yaado ka ek badal sa tabse mere jehen pe chaya hai..
Koi kare ya na kare yakeen meri baato ka..
Yaad rakha hai maine tujh nahi bhulaya hai..

Tuesday, January 29, 2008

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Banker








Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma BankerHum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki TarahPhool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki TarahMeray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Banker

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki ChamakRouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To LayJee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vada Banker

Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma BankerHum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

~~ *Maa ro Pari *~~

~~ *Maa ro Pari *~~

Aankho me apne aansuon ko rokti hui..

Maa ro pari maathe ko meray choomti hui

Aab kitney din raho gay, mere paas tum yahan

thakti nahi hai mujh se wo yeh, poochti hui

Rehti hai jaagti who, meri neend key liye

Mai theek to hoo har waqt yahi sochti hui

Kehti hai kaise kat-ti hai, pardes main teri

ankhon se behte ashqo ko poochti hui

Aankho me apne aansuon ko rokti hui..

Maa ro pari maathe ko meray choomti hui

Monday, January 28, 2008

Na Reh Paoge Tum Bhi Mere Bin



na reh paoge tum bhi mere bin
baut pachtaoge tum bhi mere bin
har waqt yaad aayegi tumko meri
soona paoge tum bhi mere bin
har dagar har jaga aaongi mein nazar
tarap tarap ke maar jaoge tum bhi mere bin
yaadein meri satayengi baatein meri rulayegi
roh roh ke thak jaoge tum bhi mere bin
intezar hai mujhe us lamhe ka
jab jee na paoge tum bhi mere bin

ab ke yoon dil ko sazaa di hum ne

ab ke yoon dil ko sazaa di hum ne
uski har baat bhulaa di hum ne

ek ek phool bahot yaad aayaa
shaakhn-e-gul jab woh jalaa di hum ne

aaj tak jis pe woh sharmaate hai
baat woh kab kii bhulaa di hum ne

shahar-e-jahaan raakh se adaab huwaa
aag jab dil kee buzaa di hum ne

aaj phir yaad bahot aayaa woh
aaj phir usko duaa di hum ne

koi to baat hai usmen
har khushee jis pe luTaa di hum ne

Saturday, January 26, 2008

Main Abb Dost Koi Banaata Nahin

Kehtey Hain, Kuch Log Zindagi Mein Aatey Hain Iss Tarah
Kab, Kaisey Jigar Jaan Dost Ban Jaatey Hain Kya Pata
Par Mairi Wiraan Zindagi Mein Ye Hota Nahin
Ke Main Abb Dost Koi Banaata Nahin

Kuch Log Miley Thay Mujhey Bhi Raah-e-Zindagi Mein
Saath Chalein Gey Woh Mairey Aisa Waada Tha Unn Ka
Koi Kisi Ke Liye Yahan Rukta Nahin
Ke Main Abb Dost Koi Banaata Nahin


Har Baar Mujhey Ekk Chott Lagi Hai Kuch Aisey
Ke Tukrrey Huwey Hai Kayi Aitbaar Ke Mairey
Bikhrey Unn Tukrron Ko Main Samet-ta Nahin
Ke Main Abb Dost Koi Banaata Nahin


Mairey Dil Ke Tukrrey To Har Koi Ley Gaya Mujh Say
Badley Mein Bas Ekk Soona Pan Dey Gaya Har Koi
Ke Maira Dil Bhi Abb Mairey Paas Nahin
Ke Main Abb Dost Koi Banaata Nahin

Raaz-e-mohobbat chhupaa ke dekh liyaa



Raaz-e-mohobbat chhupaa ke dekh liyaa
dil bahut kuchh jalaa ke dekh liyaa.
woh mere ho ke bhi mere na hue
un ko apana bana ke dekh liya.


aur kya dekhane ko baaki hai
aap se dil lagaa ke dekh liya.
Koi samajhta nahi kisi kee taqleefo ko..
Dosto ko aazamaa ke dekh liya..

Bas Aur nahi...

Friday, January 25, 2008

Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein

Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein

Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein

Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein

Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein

Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein

Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein...!!!

kabhi royegi meri yaad mein tanha



kabhi royegi meri yaad mein tanha
ujjad chuka hoga aashiyan ho jaungi mein fanaa
mere har baat ko tasvir banake rakhna
mera intzaar apni aankhon mein banake rakhna
tujhse maangi thi khushiyan maine
tune gumm bhi dene se inkaar kar dia
jaate hue yaaad karna mud mud kar
mere aansu teri awaaz ko taras rahe the
humein meffilon mein bhula dena lekin
bahut yaad aaungi mein tanhaiyon mein
kabhi royegi meri yaad meien tanha dekhna


Thursday, January 24, 2008

Deewane Ho Gaye Ham Jinki Yaad Me

Deewane Ho Gaye Ham Jinki Yaad Me

Deewane ho gaye ham jinki yaad me,
Wo hum hi se begaane ho gaye,
Shaiad unhe talash hai ab naye pyaar ki
Kyun ki unki nazar me hum purane ho gaye.

Apni kismat ke aage bebas hai Insaan,
Bebas hai khwaab haqeekat ke aage,
Koi ruki huyee Dhadkan se puche,
Kitna tadapta hai Dil Mohabbat ke aage.

Ek dil ka kaha mano ek ehsaan kardo,
Ek benam si moohabat mere naam kardo ,
Meri jaan per itna ehsaan kar do,
Ek subah ko milo aur shaam kar do,

Kuch pal hote hai kuch pal k liye,
Jee lo inhe har pal ke liye,
Ye waqt to ret ki tarha fishal jayenge,
De jayenge sirf kuch yaden umar bhar k liye.

Hum Aa Gaye Hain Khud Apni Nazar Ke Dhokey Mein

Galey Say Shab Ko Lagaaya Sahar Ke Dhokey Mein
Hum Aa Gaye Hain Khud Apni Nazar Ke Dhokey Mein

Idher Hai Aag Ka Darya, Udhar Lahoo Ki Nadi
Kahan Pohanch Gaye Hum Rehbar Ke Dhokey Mein

Kabhi Chaley Thay Jahan Say, Ussi Maqam Par Hain
Thay Daairon Mein Rawaan, Hum Safar Ke Dhokey Mein

Faraib-e-Husn-e-Nazar Hai Ke Saadgi Dil Ki
Hameisha Sang Chuney Hain, Guhaar Ke Dhokey Mein

Abhi To Zulmat-e-Shab Ka Talism Baaqi Hai
Abhi Na Shama Bujhaao, Sahar Ke Dhokey Mein

Fizayein Ajnabi, Be-gaana Soortein 'Bilal'
Kahan Ye Aa Gaye Hum Apne Ghar Ke Dhokey Mein !

Wednesday, January 23, 2008

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi
apne maathe ki woh tehreer mita li meine


har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai
teri chaahat mein to umr bita li meine
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine


ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu
teri yaadon se har ek saans saja li meine
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha
bas wohi ek ghazal sabse chupa li

Mujhey Aaram Karney Do

Mujhey Aaram Karney Do, Mujhey Abb Mat Sataao Tum
Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko, Mujhey Abb Mat Jagaao Tum

Mairi Khamosh Aankhon Say, Koi Qissa Na Kehna Tum
Mairey Khwaabon Mein Sehra Hain, Mujhey Abb Mat Rulaao Tum

Dukhon Ki Ikk Kahani Thi, Ussi Ka Aakhri Hissa
Bohat Arsey Say Jaari Tha, Ussey Abb Mat Dohraao Tum

Mairey Viraan Kamrey Mein, Teri Tasveer Abb Bhi Hai
Ye Abb Kamrey Ka Hissa Hai, Issey Abb Mat Hataao Tum

Mairey Jaaney Ki Baaton Per, Kabhi Woh Hansta Rehta Tha
Mairey Jaaney Ki Raaton Mein, Ussey Abb Mat Hansaao Tum

Tumhaari Diary Ke Aakhri Auraaq Mein Main Tha
Safhey Yoon To Na Phaarro Tum, Mujhey Yoon Na Mitaao Tum

Kahin Sehra, Kahin Saahil, Kabhi Mitti, Kabhi Paani
Mujhey Jo Cheezein Bakhseen Thi, Ussi Say Ghar Banaao Tum

Wahin Per Hoon, Main Waisa Hoon, Abb Aaey Ho To Ruk Jaana
Thakan Ki Dastaan Apni, Mujhey Abb Mat Sunaao Tum

Bohat Mushkil Say Sambhla Hai, Ikk Arsey Baad Abb 'Bilal'
Lo Abb Ye Jaam Ulta Do, Issey Abb Mat Pilaao Tum !

Tuesday, January 22, 2008

Mere dil ne ek raat mujhse poocha..

Mere dil ne ek raat mujhse poocha..

Nai dil mein koi to bata wo khat mein salaam kiska tha
Naa raqiib tha tera to wo naam kiska tha

Mujhse chupaoge to kya paoge akhir tera "dil" hu
Jo har roz bheja hai narzon se wo payam kiska tha

Hunar chaiye Ishq k rutbe ko chupane k liye
Chalo wo koi nai par tujhpar likha yeh kalaam kiska tha

Aj kal sajne lage ko niharne lage ho khudko aino mein
Teri ankho ko yeh bebq intezaar kiska tha

Kehdo mujhse to khud bhi karar paoge is se
Zehan mein yeh khayal subh o shaam kiska tha

Mujhse kehti ho k Ishq hota kaise hai aye "Dil"
Par ab bata tujhpe jaan yeh shumar kiska tha

ek nazar mein tujhe ghayal karke wo betabi inaam kargaya
Baal.i umar mein bata yeh nazr e katl ka kaam kiska tha

Hum pyar unhi se karte hai

Hum pyar unhi se karte hai

Ab ye bhee jatana chor diya

Hum unse kabhi roothe hee nahi

Aur usne bhee manana chor diya

Marna bhee mushkil sa hoga jiske bagair

Us saqs ne… khwabo me bhee aana chor diya

Rona to hume aata hee na tha

Ab humne muskurana bhee chor diya

Sab poochte hai kee hum kyo likhte nahi

Hum kaise kahe kee ab humne apne zakhmo ko

Kagaz pe sajana chor diya

Ha Maine chor diya hai

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai
Muskurana To Apni Aadat Hai

Roshni Ho Ke Ghup Andeihra Ho
Dil Jalaana To Apni Aadat Hai

Aap Kab Tak Sanbhaliye Ga Humein
Larrkharrana To Apni Aadat Hai

Hein Sitamgar Khafa To Honey Do
Sar Utaana To Apni Aadat Hai

Raah Chalti Hui Museebat Ko
Ghar Bulaana To Apni Aadat Hai

Uss Ki Aankhon Say Kya Gila Raahi!!
Doob Jaana To Apni Aadat Hai !

jinke roothne se tarap jati hai rooh apni
kaise mumkin hai unse khafa hona

jinki dehleez se wabasta hai zindagi apni
kaise mumkin hai unse juda hona

Chand ki had ek raat tak hoti hai

Chand ki had ek raat tak hoti hai
Suraj ki had ek din tak hoti hai
Hum dosti main raat din nahi dekhte
Kyunki meri dosti ki had AAKHRI SAANS tak hoti hai....

Hamare muskurane ki wajah aap ho
Hamari zindagi ka ek pyara sa khwab aap ho
Milti hai jab bhi khushi hamare dil ko
Hame laghta hai dua karne wale aap ho...


Aansuo k girne ki aahat nahi hoti
dil k tootne ki awaz nahi hoti
agar hota khuda ko ehsaas dard ka
to use dard dene ki aadat nahi hoti.

Monday, January 21, 2008

Tum ....... apni bhe koi pehchan rakhna ....

Tum ....... apni bhe koi pehchan rakhna ....

muskurahat ...... Dost ki pehchan hoti ha .......
khushboo.... ..... phool ki pehchan hoti ha .......
lehjaa...... ..jazbaat ki pehchan hota ha .......
alfaz ......... izhar ki pehchan hotey hain .......
surr........ . naghmey ki pehchan hotey hain ........
Raqss....... . khushi ki pehchan hotey hain ........
Aah ......... dard ki pehchan hoti ha ........
Dua ..........Jazbon ki pehchan hoti ha ........
zarf........ .. insaan ki pehchan hota ha ........
Boond....... .... barish ki pehchan hota ha .......
Qatra ........... darya ki pehchan hota ha .......
Dharkan ........ pyaar ki pehchan hoti ha .......
Hararat..... ..... Zindgi ki pehchan hoti ha ........
gharz key har shay .. kisi na kisi shey sey pehchani jati ha .....
laikin ye........ Aansoo...... .....???
Aansoo .. khushi key .. ghum key ... hotey hain aik jaise ....
Inn Aansoouon ki koie .. pehchaan nahin hoti ...??

Taqdir mein likhi ho Jiske Thokren khana

Taqdir mein likhi ho Jiske Thokren khana
Marta hai pathhar use ye sara jamana
Gam ke saath jeene mein apna hi maza hai
Haseenao se dil lagana to bas ek saza hai
Inse to achha hai yaro gam se dil lagana
Taqdir mein likhi ho Jiske Thokren khana
Marta hai pathhar use ye sara jamana
Aakhir khwaaish hai teri julfon ke saaye mein jeeun
Tere labo ke pyalon se tere roop ka jaam peeun
Tujhe pyar kroonga itana hoke sabhi seemaon se paar
Bas yahi gujarish hai hamesha yaad rakhna mere yaar
Mera lakdi ka ghar hai mat ismen aag jalana
Taqdir mein likhi ho Jiske Thokren khana
Marta hai pathhar use ye sara jamana


jinke roothne se tarap jati hai rooh apni
kaise mumkin hai unse khafa hona
jinki dehleez se wabasta hai zindagi apni
kaise mumkin hai unse juda hona

tu nahi hai, tere pyar ki nishani mere pas hai

tu nahi hai, tere pyar ki nishani mere pas hai
salon se bacha rakhi hai, chot ek purani mere pas hai

dard hai par neeend ki kami nahi hai mujhe
maan ki ek pariyon ki kahani mere pas hai

mushkilen hain abhi age behisaab to kya hua
hausala hai,josh-e-jawani mere pas hai

na chah kar bhi ho jate hain dil tujh pe fida
na jane kaisi subz ada-e-mastani tere pas hai......

Shaqi ne fir se mera jam bhar diya

Shaqi ne fir se mera jam bhar diya

Fir kyo bekhudi ka ilzaam mere naam kar diya..

Hosh bekhabar hue unke bagair

Hum jo unse keh na sake aankho ne keh diya

Koi tha jo meri aankho me raha karta tha

Wo shaqs ek ashq kee tarah aankho se beh gaya

Wok eh k chale kee wo nahi hamare

Ye Gum bhee dekho humne Hans ke she liya

Saturday, January 19, 2008

Kahan kahan se samaitoon shikasta khwaabon ko

Kahan kahan se samaitoon shikasta khwaabon ko
K zabt e gham ka saleeqa nahin hai Aankhon ko

ajab bahar e khizaan hai chaman main ab ki bahaar
hawa urraati phiri mere khushk patton ko

safar abhi to zara sa kiya hai tere baghair
abhi to rona buhat hai udaas aankhon ko

abhi to umr ka ye dasht paar kerna hai
charagh kerna hai kuch be charagh raaton ko

wo raasta bhi ajab tha wo humsafar bhi kamaal
jo mujh ko soanp gaya ser phiri hawaon ko

k jin ko kaat dain khud mouja e bahaar k haat
sajaye kon phir aisi bureedah shaakhon ko

chamakti jaati hain or bheegti bhi jaati hain
huner ye kis ne sikhaya hai meri palkon ko

main bhool jaati hoon her subah tera naam mager
main yaad kerti hoon her raat teri baaton ko

To Mujhay Tum Yaad Aaye


To Mujhay Tum Yaad Aaye

Jub Chand Nay

Chandni Se Sargoshiyan Ki...

Jub Phoolon Nay

Shabnum Ko Chooma...

Jub Samandar Nay

Lehron Ko Banhon Mein Samaita...

Jub Sooraj Nay

Kirnon Ko Chaha..

Jub Ankhon Nay

Kuch Adhooray Khuwab Sajaye...

To Mujhe Tum Yaad Aaye...

KISI KO ITNA NA CHAHO KEY BHULA NA SAKO

YAHAN MIZAJ BADALTAY HAIN MOUSAM KI TARAH...

KISMAT NAY YEH SOLOK KIA MERI ZINDAGI KEY SAATH
AATAY HAIN ANKH MAIN AKSAR ANSO HANSI KEY BAAD

Friday, January 18, 2008

Kehti Hai Yeh Hawa

Kehti Hai Yeh Hawa
Kehti Hai Yeh Fiza
Kal Koi Tha Yahin
Lekin Ab Woh Nahin
Woh Kahin Aur Hai
Dard Ka Daur Hai
Kitna Gehra Hai Gham
Kaisa Hai Yeh Sitam
Kehti Hai Yeh Hawa
Kehti Hai Yeh Fiza
Kitna Bhi Gham Saho
Utne Hi Chup Raho
KUCH NA KAHO KUCH NA KAHO

Arzoo So Gaiye
Har Khushi Kho Gaiye
Sunay Hai Raastay
Ab Mere Vaastay
Sirf Ik Yaad Hai
Ek Fariyaad Hai
Sirf Tanhaiyaan
Sirf Parchaaiyan
Ansuo Ki Naji
Dil Main Hai Bhe Rahii
Kehti Hai Zindagi
Tumhi Is Main Baho
KUCH NA KAHO KUCH NA KAHO

CHAHAT

CHAHAT

Behtay hoay pani ko rokon kaisay
Yeh safar chahton ka choron kaisay
tum bin nahi hai adat is dil ko dharknay ki
tum bin piyar ka ashiyan banaon kaisay
yeh duniya hai nafrat say bhari
her mor per hai mushkil khari
tum bin her mushkil ko sahon kaisay
her sapna sajh jata hai
aankhon kay band hotay hi
sapnay tote janay kay dar say yeh nigahyn kholon kaisay

Thursday, January 17, 2008

DERDE DIL GUME JUDAYE KA AHSAS NA KER



DERDE DIL GUME JUDAYE KA AHSAS NA KER
SEENE MEI CHUPAYE RAK KESE SE BAYA NA KER
TERA EK AANSU HI KAFEE HAI KESE KO HASANE K LEYE
OR AHSAS HEE KERNA HAI TO UN LAMEHO KA KER
JO ROKE NAHE RUKTA CHALTA CHALA JATA HAI
BEGDHE KISMAT BHI SAVER JAYGE JO TEREE KHUSHE
HAI TUM KO MILJAYE GEE
BUS INTEZAR KAR , INTEZAR KAR, INTEZAR KAR
INTEZAR KAR, INTEZAR KAR

Ek Pal Mai Ek Sadi Ka Maza Hum Se Poochhiye

Ek Pal Mai Ek Sadi Ka Maza Hum Se Poochhiye
Do Din Ki Zindagi Ka Maza Hum Se Poochhiye

Bhule Hai Rafta Rafta Unhai Mudato Mai Hum
Kisto Mai Khud Kushi Ka Maza Hum Se Poochhiye

Agaz-E-Ashiqui Ka Maza Aap Janiye
Anjam-E-Ashiqui Ka Maza Hum Se Poochhiye

Hasne Ka Shaouq Hum Ko Bhi Tha Aap Ki Tarha,
Hansiye Magar Hansi Ka Maza Hum Se Poochhiye

Woh Jaan Hi Gaye K Humein Un Se "PYAR" Hai
Ankho Ki Mukhbari Ka Maza Hum Se Poochhiye

Na Dil Lagao Huzeifa, Na Kareeb Lao Kisi Ko
Dil Walon Ki Bewafai Ka Maza Hum Se Poochhiye.......!

Wednesday, January 16, 2008

Kabhi Tanha Reh Jao To Mujhey Sochna

Kabhi Tanha Reh Jao To Mujhey Sochna

Kabhi Tanha Reh Jao To Mujhey Sochna
Kisi Morr Pey Ghabrao To Mujhey Sochna

Ajnabi Chehron Mein, Ajnabi Zameenon Pey
Kabhi Gair Kehlao, To Mujhey Sochna

Apney Haathon Pey Kisi Chaand Raat
Mehndi Jo Lagao, To Mujhey Sochna

Tumhein Haq Hai Chaaho To Bhool Jaana
Agar Bhula Na Paao To Mujhey Sochna

Mujhey Sochna Jab Main Na Rahoon
Jab Kabhi Gungunao To Mujhey Sochna

Abb Na Sahi, Kabhi Mairey Baad
Tum Lot Aao To Mujhey Sochna …

Tera Saath Nibhaoonga

Tera Saath Nibhaoonga


Wada hai Mera Janaa!!, Tera saath nibhaooga
Chahe parey Marjana, Tera saath nibhaooga

Haathon mai Haath lye Ae Hamdam-e-Dereena!
Ban ker Tera Pawana, Tera saath nibhaooga

Ruswai to hoti hai Ishq-o-Mohabbat mai lekin
Na ker Khauf, Hoon Tera Deewana, Tera saath nibhaooga

Baton hi Baton mai, Shairon ki Soorat mai
Inta hai batlana, Tera saath nibhaooga

Ishq Mera Sadiq hai, kardoonga yeh Saabit
Ban k Mai Parwana, Tera saath nibhaooga

Qaul-o-Qarar Mere jhootey hargiz nahi, Meri Janaa!!
Tum ko hai ye Samjaha, Tera saath nibhaooga

Tere Naam ka Dunya Ae Shayar Jee
Seh loonga her Tarhan Tera saath nibhaooga

Ankh Barasti Hai Tere Naam Pe Sawan Ki Tarha







Ankh Barasti Hai Tere Naam Pe Sawan Ki Tarha
JIsm Sulga Hai Teri Yaad Mien Eendhan Ki Tarha

Lorian Di Hein Kisi Qarb Ki Khawahish Ne Mujhay
Kuch Jawani Ke Bhi Din Guzray Hein Bachpan Ki Tarha

Is Bulandi Se Mujhay Tu Ne Nawaza Kion Tha
Gir Mein Toot Gaya Kaanch Ke Bartan Ki Tarha

Mujhse Milte Huye Ye Bat Bhi Sochi Hoti
Main Tere Dil Mein Sama Sakta Hun Dhrakan Ki Tarha

Ab Us Ko Na Badnam Karega Koi
Uska Daaman Bhi Dareeda , Mere Daaman Ki Tarha

Muntazir Hai Kisi Makhsoos Si Aahat Ke Liye
Zindagi Baithi Hai Dehleez Pe,Barhan Ki Tarha

Na Koi Rah Ujali,Na Shabastan Mein Jala
Timtamata Hun Chiragh-e-sar-e-madfan Ki Tarha

....................



.
.........

Friday, January 11, 2008

Milooga Ek Din Tujhse Kabhi



Abhi Waqt Nahi Hai Mere Paas Thoda Masroof Hoo Mai

Milooga Ek Din Tujhse Kabhi Milne Ke Liye Bhee

Ek Arse Se Jaag Raha Hoo Mai Zindagi See Kaali Raato Me

So-Uga Ek Din Mai Apni Aankho Me Tere Sapne Liye Bhee

Roothe Zamane Ko Manana Hai, Rote Dosto Ko Hasana Hai

Bahut Kaam Hai Par Jiyugaa Ek Din Mai Apne Liye Bhee

Issi Tarha Toot Kay Ussay Chahtay Rehna

Lakh Dukh Uthaoo, Tum Koshish Kartay Rehna

Issi Tarha Toot Kay Ussay Chahtay Rehna

Wo Yaad Na Karay Tum Ko, Ye Us Ka Amal Hai

Tum Khudh Say Ziyada,Ussay Yaad Kartay Rehna

Ye Jaan Loo,Kay Rona Uss Ko Aata Nahin Tum Pay

Khair, Tum Aisay Hi Aahad Nibhatay Rehna

Aansoon Kay Tumharay, Koi Qeemat Nahin Hai

Uss Ki Yaad Main Yunhi, Tum Ashk Bahatay Rehna

Kabhi Tarpay Gii Woh,Kabhi Too Beqarar Hoo Gii

Daastaan Tum Usko Apni, Yunhi Sunatay Rehna

Din Bohat Kam Hain, Tumharee Zindagi Kay

Agar Nafrat bi Karay,Tum us Say Muhabbat Kartay Rehna

Zindagi Ke Kissi Mod Pay Pachtaey Gii Woo Bhi

Tum Bhi Khuli Aankhoon Say Ussay Dekhte Rehna

Kyun Dil Lagaya Hai Maine, Us Bay Parwa kay Sath

Mar Jaoon Gaa, Nahin Hota Mujh Say Jeete Rehna

Thursday, January 10, 2008

Sochta hoon usy neend bhi aati ho gi


Sochta hoon usy neend bhi aati ho gi

ya meri tarhan faqat aashq bahati ho gi

wo meri shakal mera nam bholany wali

apni tasweer say kya aankh milati hogi

sham hoty hi chokhat par jala kar shameen

apny palkoon par kayi khowab sulati hogi

is nai silwa bhi liay hon gay siya rang libas

ab moharam ki tarhan Eid mnati ho gi

hoti ho gi mery bossy ki talab mein pagal

jab bhi zulfoon mein koi phol sjati ho gi

tere bin jee k dikha dunga mai

*Dikha dooga mai*…

tere bin jee k dikha dunga mai

ki bewafa ho ke dikha dunga mai

andar se toot jaau chahe mai

par ankho me ansu sukha lunga mai..

Khwahish nahi abb dosto kee ab mujhe dushman chahiye

Tum dekhnaa khud ko khud ka dushman bana looga mai

Dard guzarta hai hadd se to guzarne do

Sab she kar bhee muskura dooga mai

Tum Dekhna Dikha dooga main

Tuesday, January 8, 2008

Tumko jaante nahi, per chahate hain hum

Tumko jaante nahi, per chahate hain hum
Din bhar khojte nahi, per sochte hain hum

Tumhare dil mein rehte nahi, per tumhare hain hum
Tumko shayad paayenge nahi, per apnayen ge hum

Jeevan main shayad kabhi mil na paao,bas bichar jaao ge tum
Shayad humare na ban paao, per muskurao ge tum

Raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
Humein aur koi nahi, bas yaad aao ge tum

Dastak pay mere haath ki khul jaao kisi din

Dastak pay mere haath ki khul jaao kisi din

Chehre pay mere zulf ko phailaao kisi din

Kyaa roz garajte ho baras jaao kisi din

Raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab

Dastak pay mere haath kii khull jaao kisi din

Pedon ki tarah husn kii baarish mein nahaa loon

Baadal ki tarah jhoom kay ghar aao kisi din

Khushbuu ki tarah guzro mere dil kii gali say

Phuulon ki tarah mujh pay bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki

Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar say tou ruk jaayein sitaare

Iss tarah meri raat ko chamkaao kisi din

Main apnii har ikk saans usii raat ko dey doon

Sarr rakh kay mere siine pay so jaao kisi din

Monday, January 7, 2008

Unki har adda me izhaar sa kuch hai..



Unki har adda me izhaar sa kuch hai..
Door hai to kya humme pyar sa kuch hai..
Kaun kehta hai kee deedar nahi hota..
Dekho.. Us Chand me mere yaar sa kuch hai..

Neend kahan se aayegee mujhko
kee Aankho me meri intzaar sa kuch hai..
Pyar kitna hai ye batana to munkin hee nahi lekin
Itna jaan lo kee Beshumaar sa kuch hai

Ye dard mit gaya to phir?

Ye dard mit gaya to phir?
Ye zakhm sil gaya to phir
Bichhar kar sochta hoon main
Wo phir se mil gaya to phir
Main titliyon k shehar mein
Rahoon to mujh ko fiker hai
Wo phool jo khila nahi
Wo phool khil gaya to phir
Tujhe bhi kuch nahi mila
Mujhe bhi kuch nahi mila
Tamam umer k liye
Ye dard mil gaya to phir
Main is liye to aaj tak
Sawal bhi na kar sake
Agar mere sawal ka
Jawab mil gaya to phir€

Buht Pehly Kabhi Sunna Tha

Buht Pehly Kabhi Sunna Tha

Muhabat Majboor O Be Bass Hoti Hai

Diloon Ko Jalati Hai
Jaan Ley Lati Hai
Judai Ka Mosam Aye To
Dil Ki Dherkan Lay Lati Hai
Abb Agia Yaqeen Es Baat Per
Muhabat Buht Kuch Deti Hai
To
Sabb Kuch Cheen Bhi Lati Hai
Jabb Jabb Yeh Dard Deti Hai
Jabb Jabb Yeh Jaan Lati Hai
Tab wo Sunna Hua Jumla Yaad Ane Lagta Hai

Muhabat Majboor O Be Bass Hoti Hai

Jaan Baqi Na Rahe To
Rooh Ko Be Chain Rakhti Hia
Mahabt Majboor Hoti hia
Be Bas Hoti Hai
Be Ikhtiar Hoti Hai

Friday, January 4, 2008

Dard ke phool bhi khilte hain

Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain
Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain

Us dareeche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi
sir jhukaye hue chup chaap guzar jate hain

Raasta roke khari hai yahi uljhan kub se
Koi pooche tu kahein kya ke kidhar jate hain

Narm awaz bhali baatein muhazzab lehje
Pehli barish mein hi yeh rung utar jate hain

Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain
Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain

Kis tarah ye Gam bhuul jaayein ham

Kis tarah ye Gam bhuul jaayein ham,
Voh judaa huaa iss bahaar mein,

Din guzar gayaa aitbaar mein
Raat kat gayi intezaar mein,
Voh mazaa kahaan vasl-e-yaar mein,
Lutf jo milaa intezaar mein,
Un kii ikk nazar kaam kar gayi,
Hosh abb kahaan hoshiyaar mein,
Mere kaase mein kaayenaat hai,
Main huun aap kay iKhtiyaar mein,
Aankh tou uthii phuul kii taraf,
Dil ulajh gayaa husn-e-khaar mein,
Tum say kyaa kahein kitane Gam sahe,
Ham nay be-vafaa tere pyaar mein,
Fikr-e-aashiyaan har Khizaam kii,
Aashiyaan jalaa har bahaar mein,
Kis tarah ye Gam bhuul jaayein ham,
Voh judaa huaa iss bahaar mein,

MAIN BHI KITNI PAGAL HOON NA !

MAIN BHI KITNI PAGAL HOON NA !

Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na!

Chandni shab ko khunak hawa main
Chand nagar ko jana chahoon
Amber k ik ik taarey ko
Daman main bhar lena chahoon
Bhaag k sarey nanhey jugno
Muthi main band karna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na!

Kabhi kabhi un nazroon k main
Gongey sapney parhna chahoon
Uss ki sochoon k zeney per
Nangey pa'oon main charhna chahoon
Janti hoon na-mumkin hay ye
Phir bhi kitni pagal hoon main
Janey kya kya karna chahoon
Titli, khushbo, badal ban ker
sang hawa k urna chahoon

Unki har adda me izhaar sa kuch hai

Unki har adda me izhaar sa kuch hai

Door hai to kya humme pyar sa kuch hai

Kaun kehta hai kee deedar nahi hota

Dekho Us Chand me mere yaar sa kuch hai

Neend kahan se aayegee mujhko

kee Aankho me meri intzaar sa kuch hai

Pyar kitna hai ye batana to munkin hee nahi lekin

Itna jaan lo kee Beshumaar sa kuch hai

Yun dost saare apne apne raste badal gaye

Yun dost saare apne apne raste badal gaye
kuch peeche ruk gaey to kuch aage nikal gaye

Haalaat ki dhoop zaraa si deir ko tez kya hui
jitne wafaa k patthar the … saare pighal gaye

Aankhein khulee to khaaboo ko bura laga magar
kuch dair me wo haqeeqat kee siddat se jal gaye..

Pehle pehal to ajeeb lage badle huwe chehre
phir yun huwa k waqt kay saath hum bhi sambhal gaye

Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se

Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se

Gaye Dinoon Ki Rafaqtoon Main Be
Tum Yeh Keh K Bicher Gaye They
“Mujhe Muhabat Nahi Kisi Se”

Jo Aj Berson K Baad Phir Mily Ho
To Phir Usi Sukhan Per Aray Ho
“Mujhe Muhabat Nahi Kisi Se”

Humain Yeh Kase Yaqeen Aye
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se

Kaha Jo Tum Ne Wo Sab Sahi Hai
Ager Muhabat Nahi Kisi Se
To Ser Per Guzerny Wali
En Qayamtoon Se Pyaar Kion?

Humain Wo Yaad Hain Jo Kuch Pal
Tumahri Sangat Myn They Guzare
Tumahre Pahlu Ki Lazatoon Mian
Nishaat Bhi Hai Fasurdgi Bhi
Hayat Bhi Hai Sapurdgi Bhi

Tumhare Hontoon Mian Russ Buht Hai
Kah Jiss Ka Qatra Bhi Bas Buht Hai

Tumhari Ankhon K Jamm Pii Loon
Jo Ho Saky To Her Shaam Pi Loon

Per Humare Dil Mian Wo Jo Tum Ho
Tumhare Dil Main Wo Hum Nahi Hain


Thursday, January 3, 2008

NAHI KAT TA WAQT MERA

NAHI KAT TA WAQT MERA


Dard se kuch aisa rishta hai mera,
ansuoon ke dariya main dil thehra hai mera,
hota hai ye aksar he saath mere,
haste-haste bheeg jaata hai chehra mera,
chod jaatae hain beech raah main sab mujhe,
jo na gaya chodkar wo saya hai mera,
umr ka kya hai wo to kat he jaayegi,
bas jo nahi kat ta wo waqt hai mera…

Teri Yaad Nay Meray Dil Ko Saja Rakha Hai

Teri Yaad Nay Meray Dil Ko Saja Rakha Hai
Teray Pyar Main Sab Ko Bhula Rakha Hai

Kuch Acha Nahin Lagta Teri Judai Kay Baad
Ek Teri Yaad Ko Sinay Say Laga Rakha Hai

Tera Milna To Abb Aik Khawab Hi Lagta Hai
Najanay Abb Kyoon Dil Ko Bhula Rakha Hai

Tera Milna To Abb Aik Khawab Hi Lagta Hai
Najanay Abb Kyoon Dil Ko Bhula Rakha Hai

Muqadar Say Miltay Hain Bichar Kay Warna
Ajj Bhi Tera Naam Dil Main Saja Rakha Hai

Najanay Koi Nahin Basta Teray Siva Ankh Main
Aik Teri Tasveer Ko Dil Main Chupa Rakha Hai

Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa


Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa ///
Mumkin To Nahi Magar Chala jaa
Loti Nahi Taairon Ki Sangat ///
Jaagi Nahi Rah guzar Chala Jaa
Ab tak to Hawa Thami Hui Hai ///
Saakt Hain Abhi Shajar Chala Jaa
Kia Haal Bana Lia Hai Apna ///
Kuch Apna Khayal Kar Chala Jaa
Phir Koi Samait ta Nahi Hai ///
Aise Na Ho Darbadar Chala Jaa
Yaan Khaima-e-Aafiyat Nahi Hai ///
DUniya Hai Jidhar, Udhar Chala Jaa
Ye Saari Hi Khush Kharamiyan Hain ///
Koi Nahi Hum Safar Chala Jaa
Ab Aur Hawain Chal Rahi Hain ///
Ab Kon Hai Naamabar Chala Jaa
Maana Ke tu Jaanta Hai Sab Kuch ///
Phir Bhi Mere Be Khabar Chala Jaa
Aagay Bhi Hain Manzaron Ke Jhurmat ///
Jaa Aie Mere Khush Nazar Chala Jaa
Ab Jang Ka Jo Bhi Faisla Ho ///
Main Hoon Na Mahaaz Per Chala Jaa
Ab Jaa ke Hua Hai ishQ tujh se ///
Ab tu Mujhe Chod Ke Chala Jaa

Bus Ek Baar Humse Pyaar Karke To Dekho

Bus Ek Baar Humse Pyaar Karke To Dekho

Raat mein khayaalon mein aati ho tum
Kabhi saamne aakar bhi dekho
Hum se baatein to roz karte ho tum
Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho

Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamein nazaron se samjh kar to dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhara
Kabhi hum say dil laga kar to dekho

Humari baton ne tumhaara dil kai baar behlaya hai
Kabhi apni baton se hamein hasaa kar to dekho
Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho
Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar to dekho

Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho
Hum tumhein zindagi mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho

Tumhein apaane ke liye har imtihaan denge hum
Humein kabhi aazmaa kar to dekho
Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnana
Ek baar hamein apna banaa kar to dekho

Wednesday, January 2, 2008

Hamesha jaane ki baat karta hai koi

Hamesha jaane ki baat karta hai koi
Phir Mujhe azmaane ki baat karta hai koi

Baar baar main rokta hoon uski raahe
Hawain ban jaane ki baat karta hai koi

Main barasta hoon Roz barish ki tarah
Dhoop ho jaane ki baat karta hai koi

Main Chahti hu uski gheeli palkein
Ruth jaane ki baat karta hai koi

Kehta hai har roz sirf ek baar aa
Aake na jaane ki baat karta hai koi

Sirf ek baar apni awaz suna kar
Din guzarne ki baat karta hai koi

Apni neende mere sarhane rakh kar
So jaane ki baat karta hai koi..!!!

I Am Sorry My Tears....

I Am Sorry My Tears....

I am sorry my tears
Coz I have trapped you ,
Whenever you wanted to flow
I have always stopped you.

I know inside for you
It is very suffocating ,
But even if you flow
Nothing you will be getting .

You will flow
And get vanished somewhere ,
And till that time
People will show that they do care .

So better don't expect
Anybody's sympathy ,
You are true
You don't deserve false pity.

I know you wanna come out
To make me feel relieved ,
What you think ?
Will this make my wounds get healed?

Rather than you
Its more painful for me
My dreams getting shattered
Is what everyday I see .

Still I smile
And pretend to be carefree ,
But whats behind ?
Nobody ever tried to see .

Like a poison inside me
Still I wanna you to hold ,
Desperately I wanna breath
But my breaths have turned frozen and cold .

Through my body
Like blood you run ,
Now you are my night
And the only sun .

So don't feel hurted
And never do leave my eyes ,
A bond of love
Ours relation is so nice .

Whenever I smile - you glitter
And make my eyes glow ,
So please wait till my death
Mabbe then from every eye you will flow.

chali dard ki hawa

Us bewafa ka shahar hai aur ham hain doston
ashk e rawan ki nahar hai aur ham hain doston

Sham e alam Dhali to chali dard ki hawa
raton ka pichala pahar hai aur ham hain doston

Ankhon may ur rahi hai luti mahafilon ki dhul
ibrat bara e dahar hai aur ham hain doston

Ye ajanabi si manzilen aur raftagan ki yad
tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain doston

DIL KE TUKDE

DIL KE TUKDE

Hamesha muskura ke aansuno ko chupaya
Ghum ko chupane ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay dard-e-dil dil main kisne jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha,
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya


Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnone nay palat kay dekha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya


Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

Tuesday, January 1, 2008

Wo tha meri jaan kabhi ....

Wo tha meri jaan kabhi ...... or aaj kisi Zindagani ban gaya ....

Rehta tha mere dil me kabhi.... Par aaj kisi ki duniya ban gaya....

Na malum tha or naa jaana tha kabhi aisa bhi hoga...........

Wo mere he samne kisi ka ho jayega............

Haa hua aisa he main rahi wahi ki wahi orr wo ........

Kisi ka apna hokar mujhse bahut or bahut dur ho gaya ....

Wo kehta hai mujhse ki main tumhara hu ..........

Par wo mera nahi ab ye dil ko bhi gawara ho gaya......

Jis raah pe kabhi mera haath thama tha usne.........

Aaj har uss raste se wo anjaana ho gaya.............

Kyoun aaya wo mere itne karib .....

Ki aaj wo itna begana or ajnabi ho gaya................

Karu bhi to kya karu main............

Usse saja du .......... Du bhi to kaise ...............

Kyounki main to wahi hu naa............... Bewafa to wo ho gaya.............

~*~Zaroorat Nahin Rahi~*~



X Cuse Me



~*~Zaroorat Nahin Rahi~*~









Tum Hum Say Yah Kahtay Ho, Mohabbat Nahin Rahi
Tum Hi Badal Gay Ho, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi
Har Baat Pay Taana, Har Andaaz Main Gussa
Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat Nahin Rahi

Gheron Pay Karam, Apnoon Pay Sitam Kartay Ho
Phir Shaan Say Kahtay, Ho Qurbat Nahin Rahi

Sahra Main Tapish Main, Jab Tum Nay Humain CHora
Is Husan Kay Bazaar Main, Woh Qeemat Nahin Rahi

Maana Kay Hum Say, Bhee Buhat Galatiaan Howee
Shayad Kay Dar-Guzar, Ki Tumhain Aadat Nahin Rahi

Manzar Too Wohee Hai, Halat Hain Badlay
Shayad Kay Ishaq-E-Yaar, Ki Zaroorat Nahin Rahi