Wednesday, January 2, 2008

chali dard ki hawa

Us bewafa ka shahar hai aur ham hain doston
ashk e rawan ki nahar hai aur ham hain doston

Sham e alam Dhali to chali dard ki hawa
raton ka pichala pahar hai aur ham hain doston

Ankhon may ur rahi hai luti mahafilon ki dhul
ibrat bara e dahar hai aur ham hain doston

Ye ajanabi si manzilen aur raftagan ki yad
tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain doston

No comments: