Saturday, January 19, 2008

Kahan kahan se samaitoon shikasta khwaabon ko

Kahan kahan se samaitoon shikasta khwaabon ko
K zabt e gham ka saleeqa nahin hai Aankhon ko

ajab bahar e khizaan hai chaman main ab ki bahaar
hawa urraati phiri mere khushk patton ko

safar abhi to zara sa kiya hai tere baghair
abhi to rona buhat hai udaas aankhon ko

abhi to umr ka ye dasht paar kerna hai
charagh kerna hai kuch be charagh raaton ko

wo raasta bhi ajab tha wo humsafar bhi kamaal
jo mujh ko soanp gaya ser phiri hawaon ko

k jin ko kaat dain khud mouja e bahaar k haat
sajaye kon phir aisi bureedah shaakhon ko

chamakti jaati hain or bheegti bhi jaati hain
huner ye kis ne sikhaya hai meri palkon ko

main bhool jaati hoon her subah tera naam mager
main yaad kerti hoon her raat teri baaton ko

No comments: