Thursday, January 31, 2008

Tera Naam Likh-kha Hai Reth Per


Mere Dil Ki Raakh Khuredh Math, Usse Muskurake uda Na De
Ye Charaag Phir Bhi Charaag Hai, Kahii Tera Haath Jala Na De
Naye Dhaur ke Naye Kwaab Hai, Naye Mausamon Ke Gullab Hai
Ye Mohabbatho ke Charaag Hai, Inhe Nafratho ki Hawa Na De

Jara Dekh Chaand Ki Patthiyon ne Bhikher Bhikher ke Tamaam Shab
Tera Naam Likh-kha Hai Reth Per, Koyee Leher Aakhe Mita Na De
Mai Udaasiyaa na Sajha Sakhu Kabhi Jismo-jaa ke mazaar Per
Na Diye Jale Meri Aankho mein Mujhe Ithni Sakht Sajha Na De

Mai Gazal ki Shabnami Aankh Se, Ye Dukhon Ke Phool Chuna Karu
Meri Saltanath Mera Fun Rahe Mujhe Tajo-Takhth Khuda Na De....

No comments: