Thursday, February 28, 2008

Ek nayi shuruaat



Rooth gaye hain jo saathi, un ko manaya jaaye,
Udaas hain jo dil, phir aaj unko hansaaya jaaye

Zindagi ka safar kaise katega ghamgeen ho ke,
Honton par phir se tabassum ko sajaya jaaye

Khwaabon main reh kar jeena nahin hai aasaan,
Zindagi ki haqeeqat chalo sab ko bataya jaaye

Jod len tukde dil ke, khushq kar len aansoo apne,
Dil pe lage zakhmon ko chalo ab miataya jaaye

Kya, jo na mile ek manzil, hain manzilain aur bhi
Ek naye safar pe chalo qadam badhaya jaaye !!








~*~*~ WO JO DIL MEIN TERA ~*~*~




~*~*~ WO JO DIL MEIN TERA ~*~*~



WO JO DIL MEIN TERA MUQAAM HAI
KISI AUR KO WO DIYA NAHI


WO RISHTA TUJH SE HAI BAN GAYA
KISI AUR SE WO BANA NAHI


WO JO RAAZ TUJH SE HAI JO KEH DIYA
KISI AUR SE WO KAHA NAHI


WO JO SUKH MILA TERI ZAAT SE
KISI AUR SE WO MILA NAHI

TU BASA HAI AANKHON MEIN JIS TARAH
KOI AUR AISE BASA NAHI


TU HUWA HAI JITNA QAREEB TER
KOI AUR ETNA HUWA NAHI


TERA NAAM DIL MEIN HAI JIS TARAH
KOI NAAM AISE LIKHA NAHI





Tarasti He Meri Aankhe

Tarasti He Meri Aankhe

Aapke Chahre Par Hasi Dekhne K Liye....

Taraste Mere Honth,

Aapke Labo Ko Chune K Liye....

Tarasti He Meri Suni Bahe,

Aapki Baho K Liye....

Tarasti He Meri Sanse,

Aapki Sanso K Milen Ke Liye....

Taraste He Ye Badal

Hum Dono Ko Bhigone K Liye....

Tarasti He Ye Hawa,

Hamari Ruh Ko Ek Karne K Liye....

Tarasti He Meri Ye Aawaj,

Tera Naam In Vadiyon Me Gujaane K Liye....

Tarasti He Meri Jaan,

Sirf Aap Ko Paane K Liye....

Mohobbat thee

Mohobbat thee

Jitni khud se nafrat thee

Utni unse ulfat thee

Unko kabhi bhee waqt nahi tha

Par humko aksar fursat the

Mana kee hum unke koi naa the

Par humko unki bahut zaroorat thee

Hum chahe jitna chupa le Aankho me to dikhta hai

Humko bhee kisi se mohobbat thee

Wednesday, February 27, 2008

My Best Shyari FOr U

















Ek aur koshish








Ek aur koshish, ummeed hai apko pasand aayegi.....

Gulistan-e-jeewan jane kyu, kaaton ko chunte jati hai,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…

Dhaage kuch aise bune gaye, jo sulajh nahi paye ab tak,
Kuch rang hai aise bhare gaye, jo theher nahi paye ab tak.
Koshish toh har pal sacchi hai, naakami lekin hath aati hai,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…

Har rishta saccha lagta hai, har aakhon mein sacchai hai,
Phir bhi har kadam pe dhoka hai, nafrat hi humne payi hai.
Aagaz toh pak kiya kar le, anjaam ki chinta khati hai,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…

Na chah kabhi thi galat kare, na ilm ki galti kab kyu ho,
Na samajh ki chuk kahan hoti, na pata hua kyu hua hai jo.
Hum toh seedhe hi chalte hain, par rahen mudti jati hain,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…

Aye khuda tu kar insaaf mera, tu hi ab mujhko rah dikha,
Iss tedhi dunia ke raste par, seedha chalna ab mujhe sikha.
Tere iss dunia mein toh khud, teri hansi udai jati hai,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…




zindagi hai aik aisi kitaab






Jo Imtehaan Humse


Leti Hai Zindagi
Uska Sila Bhi Humko
Deti Hai Zindagi

To Zindagi Se Kyon
Kar Shikwa Karein
Jitne Pe Jiska HaQ Hai
Wo Deti Hai Zindagi

her raat ke baad savera hota hi hai
thokar lagne se rasta dekhati hai zindagi

roone se bagra mukaddar
kabhi banta nahi hai
naam aankhon ko hi haasna
shikati hai zindagi

kabhi mile umeed se barkar to
kabhi kuch haath na aaye
iraadey ho jinke buland ussi ko
manzil dekhati hai zindagi

zindagi hai aik aisi kitaab
jaise koi samaj na paaya
jab chahe jise chahe
RANI apna banati hai zindagi