Wednesday, February 27, 2008

Ek aur koshish








Ek aur koshish, ummeed hai apko pasand aayegi.....

Gulistan-e-jeewan jane kyu, kaaton ko chunte jati hai,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…

Dhaage kuch aise bune gaye, jo sulajh nahi paye ab tak,
Kuch rang hai aise bhare gaye, jo theher nahi paye ab tak.
Koshish toh har pal sacchi hai, naakami lekin hath aati hai,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…

Har rishta saccha lagta hai, har aakhon mein sacchai hai,
Phir bhi har kadam pe dhoka hai, nafrat hi humne payi hai.
Aagaz toh pak kiya kar le, anjaam ki chinta khati hai,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…

Na chah kabhi thi galat kare, na ilm ki galti kab kyu ho,
Na samajh ki chuk kahan hoti, na pata hua kyu hua hai jo.
Hum toh seedhe hi chalte hain, par rahen mudti jati hain,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…

Aye khuda tu kar insaaf mera, tu hi ab mujhko rah dikha,
Iss tedhi dunia ke raste par, seedha chalna ab mujhe sikha.
Tere iss dunia mein toh khud, teri hansi udai jati hai,
Uljhan jitni bhi suljhao, utni hi uljhe jati hai…




No comments: