Wednesday, February 13, 2008

Jo pyaar me haar jaiye,wo shayar ban jata hai


Jo pyaar me haar jaiye,wo shayar ban jata hai

jo haar k nasha karne lage,wo kayar kehlata hai

mere jaane ke baad tujhe meri yaad aiyegi

jub duniya tujh ko meri yaad dilayegi

tab sochogi kaash ikraar kiya hota

na maine inkaar kiya hota

tum na jahan se jaate

na hi mujhe rulaate

aaj duniya k taane sunkar jee rahi hun

din raat khoon k aansu pee rahi hun

tab jaakar tujhe meri yaad aiyegi

jub duniya tujhe meri yaad dilayegi

ek zara si bhool par tu bahut pachhtayegi

mur to jaaunga par hasrat dil me reh jayegi

jub koi nahi karega yaad tumhen

tub hi meri yaad bahut aiyegi

aaj kurbaan hote hain tumpar hazaaron

zara aane waale kal ki sooch

jo chehre par utar aiyegi

kalion par mandrate bhanware

har phool ki khushbo le udte hain

ek zaraa see bhool par

tujhe khud par sharam aiyegi

jab bhi{gareeb}ki murkad par aakar diya jalaogi

ashq bahenge ankhon se or meri yaad bahut aiyegi

No comments: