Saturday, February 2, 2008

woh sitara jo asmaan mein hai

woh sitara

woh sitara jo asmaan mein hai
meri palkon ke darmiyan mein hai
kis tarah hue dil ke tukde
teer to ab tak guman mein hai
koi surat nahi behlane ki
har ghadi woh jo mere dhayan mein hai
woh kahan qissa-e-mohabbat mein hai
jo maza apni daastan mein hai
isne jab se nasb-e-dil badla
zindagi apni imtehan mein hai
dil mein yoon to koi nahi
ek saya par makaam mein hai

No comments: