Monday, March 31, 2008

Itna toota hoon ki

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !

Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo,
Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !

Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !

Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaaoonga !

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga ...!

Kon Kehta Hai Woh

Kon Kehta Hai Woh Mere Bagher Tanha Hoga
Woh Ik Chiragh Hai Kahin Aur Jalta Hoga

Yeh To Hum Hain Ek Saakin Si Jheel
Woh To “Bikhra“ Huwa Ik Dariya Hoga

Woh To Rehta Hai Mohabbaton Ke Des Main
Usay Kiya Khaber Koi Us Ko Sochta Hoga

Woh Mere Dard Se Be-Khaber Nahin Tha Magar
Usay “Dukh“ Baantney Ka Na Saleeqa Hoga

Itna Naadan Nahin Ke Samjh Bhi Na Sakey Hamko
Usi Ka “Tazkara“ Meri Har Ghazal Main Huwa Hoga

Banaya Gaya Tha Hamein Khulus Ki Miti Se
Hamein Khaber Na Thi Woh Bad Gumaan Hoga

Main Ne Usay Chaha To Chaata Hi Gaya
Meri Shiddton Se Ghabra Ker Woh Chal Diya Hoga ..!

Us Ka Chehra Nazar Ata Hai

Dheerey Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Us Ka Chehra Nazar Ata Hai Jheel Mein Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Us Ko Dekhaa To Jism o JaaN Ko Yun Lagaa
Piyaasi ZameeN Pe Jesey Koi Baras Gaya Badal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seeney Pe Sir Rakh Ke Raat Bhar Sula'oun Ga
Sar-e-Shaam Hi Mujhey Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah

Us Ka Sharmaana Bhi Mujhey Maat De Jaataa Hai
Us Ki To Har Adaa Hai Kisi Khamosh Qatil Ki Tarah

Merey Hi Dil Ka MakeeN Nikla Wo Shakhs Aur Mein
Shehar Bhar Mein Dhoodnta Raha Usey Kisi Pagal Ki Tarah

Madhosh Sa Ho Jata Hun Jab Barish Ki Boondein
ChheRti Hain Koi Naghma Us Ki Chhanakti Payal Ki Tarah

Mera Sukhan Us Ki Zaat Ka Mehwar Na Ho Tab Bhi
Wo NaazneeN Wo Dil NasheeN Hoga Mehakti Ghazal Ki Tarah

Nahee Tha KhaarzaroN Pe Tanha Be Sabab Safar Mera
YaqeeN Tha Mil Jaye Ga Raah Mein Wo Manzil Ki Tarah .........!

~~*~~*~~*Zindagi~~*~~*~~*~~*

*~~*Zindagi*~~*



Parindoon ne kaha Zindagi azadi hai
Gulshan ne kaha ZIndagi Khoobsurti hai

Sehra ne kaha Zindagi thandey pani ka chasma hai
Shehad ki makhi ne kaha Zindagi mithaas hai

Gareeb ne kaha Zindagi dukhoon ka ghar hai
Ameer ne kaha Zindagi eesh-o-ishrat ka naam hai

Mein ne kaha Zindagi pyar-o-mohabbat ki kiran hai
Mujahid ne kaha Zindagi apney mulak ki amanat hai

Shayar ne kaha Zindagi sirf aur sirf shayari hai
Majnoon ne kaha Zindagi sirf Laila ka naam hai

Chand ne kaha Zindagi tareeki mein rasta dikhai deti hai
Suraj ne kaha Zindagi roshnee hai jo andheeroon ko khatam karti hai

Gulab ne kaha Zindagi khushboo hai
Samandar ne kaha Zindagi josh aur jazba hai

Saturday, March 29, 2008

***KOI WAHA TAK NA JA SAKA***

Khawabon Ka Ek Jazeera Ho
Jugnu"on ka jaha Basera ho

Koi waha tak jaa na sake
Aana jaana sirf Tera Mera ho

Zulfon se Teri main Khela karoon
Teri Palkon ka Mujhpe Pehra ho

Chand Sitare dekha kare
Us Nagar jab bhi Hamara Phera ho

Na Khatam hone wali ho Baate
Aisi Raat ka kabhi na Sawera ho..!!!

Meri sansoN mein

Meri sansoN mein teri khushboo to basee aaj bhi hai


Meri sansoN mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhooN

faaslay itney bhi ho jaaiN gai sochha hi na tha
teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhooN

kaisey dorahey per kharee hooN ke aqal sakit hai
der hai pyaroN se judai ka, khud ko tarapta dekhooN

tera ehsase janoon mujh ko bhi pyara hai mager
ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhooN

dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
teri aankhoN mein wohi pyar mein phir se dekhooN

mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
mein teray pyar ka mausam sada hi dekhooN..........!

Monday, March 24, 2008

Jab tu dil main tha...

Jab tu dil main tha...
us waqt ki ye baat hai'

teri her ek sans mere sath hai
meri ankhoun main wo piyaar hai..

jis ki tum ko talash hai
us waqt ki ye baat hai...

jab tu dil main tha...

Na jan ekyun meri zindagi main
jab tu tha guzar rahi thi main...

mgr udas hoon main
nahi janti main...
us wqt ki ye baat hai

jab tu dil main tha...

nahi lagta ab kahin dil...
main hameshaaa tere he sawaloun main ghiri rehti hon
appne app selarti rehti hon
shyd us waqt ki ye baat hai

jab tu dil main nahi tha........

!!*!!~* Koi Mere Saath Chala Hai Abhi Abhi *~!!*!!


Kuch tumne kaha jo baaton baaton mai
Bekaraar dil ko sukoon aaya hai abhi abhi
Is dil mai ek phool khila hai abhi abhi
Mujhko tera payaam mila hai abhi abhi


Kis roshni se jagmaga raha hai ghar mera
Ummeed ka chirag jala hai abhi abhi
Khilti hui kali ne mujhe di hai yeh khabar
Dil ka haseen raaj khula hai abhi abhi

Rahon mai mere phool bichaye bahaar ne
Yun koi mere saath chala hai abhi abhi
Aaya hai chaand aasmaan se dil mai utar ke
Ankhon main tere pyaar paya hai abhi abhi

Tum mai apni duniya dekhi hai is dil ne
Ki bahut dino mai sukoon paya hai abhi abhi



jo chand ka hai chandni se

Kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
dil kehta hai ke hai ye bahut purana rishta
vahee rishta
jo chand ka hai chandni se
sitaro ka hai aasma se hi



samunder ka hai gehraee se
jism ka hai aatma se
phoolo ka hai khooshboo se
suraj ka hai roshni se
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin
kuch hee dino kee ye mulakato ne
bechen kur dala hai dil ko


khayal rehta hai tumhara hur dum, hur pal, hur lumhah
chavi hai tumhari ankho mein
khooshboo hai tumhari sanso mein
tum duur ho tuo paas ho
pass ho to duur
ye kya hai ? kyu hai ? kaise hai ?

kuch maloom nahin
is rishte kee hud
mujhe maloom nahin
kya ye sahi hai ya galut
mujhe maloom nahin
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin.

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Or Jhaank Kay Meri Aankhon Mein Beetay Din Yaad Dilatey Ho

Mastana Hawa Kay Jhonkon Se Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko Pakarney Ki Dhunn Mein Do Ajnabi Haatoun Ka Milna

Aankhon Mein Dhunwa Cha Jana Sasoun Mein Sitarey Se Khilna
Rasty Mein Tumhara Mur Mur Kar Takna Wo Mujhe Jatey Jatey

Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana, Chilman Kay Kareb Aatey Aatey
Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana, Ek Aur Jhalak Paatey Paatey

Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir, Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi Kuch Sharmana, Kuch Bal Khaana

Humsayon Kay Dar Se Katrana, Ghar Walon Kay Dar Se Ghabrana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon, Aur Khud ParDh Kar Ro Lati Hoon

Halaat Kay Taptey Toufaan Mein Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch Tou Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey

Thursday, March 20, 2008

Kabhi nam aankhe





Tere har soch AshFaq ko kuch de jaati hai
Kabhi nam aankhe to kabhi dard de jaati hai,

Labo se hansi chin le jaati hai
Kabhi kapkapate honth chor jaate hai,

Takte the jin aankho se rahe tari
Un aankho ko suna ker jaati hai,

Kehna chahte hai bahut kuch
Lakin mere Awaz ko suna ker jaati hai,

Zakhmo ka hisab kya denge
Zakhm pe zakhm de jaati hai,

Tere har soch AshFaq ko kuch de jaati hai
Kabhi nam aankhe to kabhi dard de jaati hai....





Wafaa k sheesh mahal main


Wafaa k sheesh mahal main sajaa liyaa mainey
Wo eik dil jisey pather bana liyaa mainey
Ye soch ker k na ho taak main khushii koi
Gamon ki oT main khud ko chupaa liya mainey
Kabi na khatm kia mainey roshanii ka muhaaz
Agar chiraagh bhujaa, dil jala liya mainey
Kamaal ye hai k jo dushman pe chalanaa thaa
Wo teer apney kalejey pe khaa liya mainey
'QATEEL' jiskii adaavat main ek pyaar bhii thaa
Us aadamee ko galey se laga liya mainey

Wednesday, March 19, 2008

ZAMANE BEET JATE HEIN

ZAMANE BEET JATE HEIN


Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hein
Kabhi nazrein churane mein zamane beet jate hein

Kisi ne ankh bhi kholi to sone ki nagri mein
Kisi ko ghar banane mein zamane beet jate hein

Kabhi kali seyah raatein humein pal pal ki lagti hein
Kabhi ik pal bitane mein zamane beet jate hein

Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko aane mein zamane beet jate hein

Ik ik pal mein toot jate hein umr bhar ke woh rishtey
Woh rishtey jo banane mein zamane beet jate hein

Chalay Wo Kadam Kadam Jo Saath Mere

Chalay Wo Kadam Kadam Jo Saath Mere
To Us Kay Saath Say Pyaar Ho Jaye

Thamay Jo Pyaar Say Haath Mera
Tu Apnay Hi Haath Say Pyaar Ho Jaye

Jis Raat Aye Khuwabon May Wo
Us Suhaani Raat Say Pyaar Ho Jaye

Jis Baat Main Aye Zikar Us Ka
Tu Ussi Baat say Pyaar Ho Jaye

Jab Pukaray Pyaar Say Naam Mera
Tu Apnay Hi Naam Say Pyaar Ho Jaye

Hota Hai Itna Khubsurat Ye Pyaar Ager
Tu Kaash !!
Usay Bi "IMMI" k Pyaar Say Pyaar Ho Jaye..

Tuesday, March 18, 2008

Shayari..... Jo Likh Diya Hai

Jo Likh Diya Hai Aapne, Khoone Jigar Se
Hum To Kahenge Yahi, Hume Apana Bimaar Kijiye
Wada Raha Ye Aapse, Nibhayenge Dosti
Rahe Wafa Main Hai Khare, Didaar Kijiye
Jo Khwaab Dekhe Aapne, Pura Karenge Hum
ApaniDiwangi Ka Jara, Ikraar Kijiye
Hone Na Denge Kabhi, Rooswa Hum Aapko
Apani Inayato Se Hume, Sarobaar Kijiye
Ab Maan Bhi Jayiye, Sarkar Aap To
Ab Aur Hume Yu Na, Bekarar Kijiye


Nakaamiyon se apni tung aake maine khud he
Usool upna ik toda hai, Dekha nahin palatke
Deta sabhi ko Rub hai Sab usse mangte hain,
Chahat mery yahi hai, Hisse main aaye sabke
Sone de mujhko tanha, na chher mere dil ko
Ye neend bhi aayee hai muddat ke bad abke

Tumhara Khaat Mila Janaan

Tumhara Khaat Mila Janaan
Wo Jis Mai Tum Ne Pocha Hai

K Ab Halaat Kesy Hain
Mere Din Raat Kesy Hain

Meharbani Tumhari Hai
K Tum Ne Es Tarhan Mujh Sy
Mere Halaat Pochay Hain
Mere Din Raat Pochy Hain

Tumhay Sab Kuch Bata Doonga
Mujhe Etna Bata Do K

Kabhe Saagar Kinary Par
Kesi Machli Ko Dekha Hain
K Jis Ko Lehrain Pani Ki
Kinaray Tak Tu Laati Hain
Magar Phir Chor Jati Hain

Mere Halaat Aisay Hain
Mere Din Raat Aisay Hain....!

Saturday, March 15, 2008

Meri wafaaon ka sila deta koi

Dua nahin tau gila deta koi
Meri wafaaon ka sila deta koi

Jab muqaddar hi nahin tha apna
Deta bhi tau bhala kiya deta koi

Hasil-E-Ishq faqat dard hai
Aey kash pehlay hi bata deta koi

Taqdeer nahin thi gar aasmaan chhoona
Khaak mein hi mila deta koi

Bewafa bhi humain bewafa keh deta
Is se ziyada kiya deta koi

Gumaan hi ho jata kissi apnay ka
Daaman hi pakarr kar hila deta koi

Arsay se atka hai hichkiyon par dum
Achha hota jo bhula deta koi

Yeh tau ro ro k kat gayee Saagar
Kiya hota jo hansa deta koi...!!!???

Iss Khamoshi pe mat jana

Iss Khamoshi pe mat jana
ToofaaN sae guzar k aaya hun main
Cheen le gaya mujhko mujhse hi
Ya shayad khud ko hi bhool aaya hun main
Be sabab-Be wajah ab lagein mehfillen
Wajah ae Ishrat shayad luta aaya hun mein
Mehazur iss duniya sae ya huN khoya khoya
Shayad issar ae zindagi chorr aaya huN mein
Jo leke aaya, wo hai khamoshi
ab bass kh’mush, kavish ae mehzoozi gavaaN aaya huN mein

Friday, March 14, 2008

Mohabbat Ke Anokhe

mohabbat ke anokhe thi sabhi andaaz kya karte
rahe hum bhi gurezaan aap bhi naraz kya karte

sanam tujhse mohabbat ka bhala aagaaz kya karte
labon par baat aayi par na thi aawaaz kya karte

dil-e-nazuk humara usne pal mein tod dala tha
use bhaati thi toote kaanch ki aawaaz kya karte

hum uske samne chup saadh kar baitha kiye phir bhi
jafa-kaari se pesh aaya woh heela-saaz kya karta

sajakar sau tabassum ek gam tum se chhupati thi
magar mere tum jaan kar woh saare raaz kya karte

Zindagi ke liye uski yaad bahut hai



Zindagi ke liye uski yaad bahut hai
Maut ke liye uski judai ka ehshas bahut hai
Log shikayat karte hai kee mai baate nahi karta
Kee chupane ke liye mere paas raaz bahut hai
nazron se agar door hai to kya hua
dharkan ki tarha dil ke paas bahut hai
wo akshar meri tanhai me karta hai mujh se baate
us ko meri tanhaai ka ehsaas bahut hai

Thursday, March 13, 2008

Chaand ki baatein


Chaand ki baatein hum bhi karte hai..
Roz tukdo mein jeete marte hai………

Jab kabhi liya jata hai naam tumhara..
Hum to bas sir ko jhuka liya karte hai..

Aaj bhi akele mein muskuraate hai..
Mehfil mein log teri kasam dekar pilaate hai..

Jab poochte hai wajah akelepan ki………..
Hum khud ko BEWAFA bataate hai…



aaj ki raat bahut khubsurat nazar aati ho
duur ho itni magar kareeb nazar aati ho
dekh kar khud ko tum khud se sharmaa jaao
aisi tum chaand ki chandni nazar aati ho

Ek Dil Ko Dil Lage Se Bachaaya Na Jaa Sakka
Qismat Se Apna Aap Chhuraaya Na Jaa Sakka
Hairat Hai Ke Lowg Kaise Khuda Ko Bhool Gaye
Hum Se Toh Ek Insan Bhulaaya Na Jaa Sakka



Sirf Itna Nahi DiL Dukha Ker Gaya

Sirf Itna Nahi DiL Dukha Ker Gaya
Sara Jewan Wo Mera Saza Ker Gaya

Jis Ki Too Rah Takta Hay Shaam-o-Saher
Sub Hawalay Wo Tere Bhulaa Ker Gaya

PhOol, KhushbOo, Chaman, ChanD, Taree, SaBa
Saray Sathi Woh Hum Say Khufaa Ker Gaya

Too Kahan Aur Ye Bewafae Kahan?
Ye Zamana Tujhy Bewafa Ker Gaya

Sub DarkhtOon Pey Kuch Kuch Likha Rah Gaya
Naam Aisay Woh Mera Mitaa Ker Gaya

YaaD Meri SataEy Gi Shub Bher Ussay
Aaj Din Bger Hamain Jo Sata Ker Gaya

Ye Bhi Mumkin Hay ArshaD Na Louty Kabhi
Jo Hamain Chaar Din Ka Bata Ker GayA !!!

Wednesday, March 12, 2008

Ek shararat kertay hain

Ek shararat kertay hain
Aao mohabbat kertay hain
Hansti aankhon se keh do
Dareya hijrat kertay hain
Kuch dil aisay hain jin per
Hum bhi hakumat kertay hain
Koi baat too hai mujh mein
Dushman bhi izzat kertay hain
Zinda rehna hai dushwaar
Acha to himmat kertay hain
Waisay hotay nahi hain loog
Jaisi chahat kertay hain
Aksar apnay aap se hum
Teri shikayat kertay hain

Aah dil se nikli he abhi abhi

Aah dil se nikli he abhi abhi
Koi phaans chubhi he abhi abhi

Kuch der to sog manane do yaron
Akhir chot khaayi he abhi abhi

Rukte nahi hain ye beqarar aansu
Koi sathi bichra he abhi abhi

Samjha ke bhi nahi samajhta ye dil
Jese koi qayamat giri he abhi abhi

Dard ki hawa chal rahi he har su
Jese gham ki andhi uthi he abhi abhi

Mana ke ayegi phir nayi subah Magar,
Ye to koi raat charhi he abhi abhi;

Teri bhi sunu ga lekin kal mere dost,
Aaj jese khud se maat khayi he abhi abhi;

Kyun KHAMOSH he har gali sheher ki?,
Kya koi anhoni ghati he abhi abhi….!

Tuesday, March 11, 2008

Ek taraf aag thi aur ek taraf pani



Ek taraf aag thi aur ek taraf pani
Ek chota sa dil tha aur uss ki kahani
Na aag ka dariya paar hua na pani peh chal sake
Yeh kiss manzil par le aaye hai zindagani
Yah aisi hai prem kahani, jahan raja tha na rani
Ek masoom sa dil tha aur uss ki duniya veerani
Ek lardki tha jisse chahata tha jisse karte the pyar
Yeh kahani hai uss ladki ki jisse kehte thei log dewani
Chaha tha ussne beshumar ussko, par woh na chah saka
Chor diya ussko de kar toota hua dil aur usski kahani

Roshan roshan ujle ujle khat uske aate aate hai

Roshan roshan ujle ujle khat uske aate aate hai
Jitne lafaz bhi ho kagaz par sab ban jate hai

Badal ghire to maine tera khat utha liya
Fir chikhti darijo par barsaat reh gaye

Qasid ke aate khat or likh rakhu
Main janata hu woh likhnege jawab me

Khoon se likhe hue alfaz koi na chikhe
Dosto uss ne jale the mere khat par ke

Leke khat unka jabat kia bhut kuch lekin
Thehrte thehrte hue hatho ne behram khol diya

Unko de aaye khud apne mohabbat ki khatoot
Gum-khusharo ki jara naama bari to dekho

Chaand se komal Phool se nirmal lamho me
Usko maine khat likhe hai raat gaye

Monday, March 10, 2008

Tum Udaas Na Hona

Tum Udaas Na Hona

Zindagi Ki Rahoon Main
Oonch Neech Hoti Hai
Faslay Bhi Berhty Hain
Chahtain Bhi Lut_ti Hain
Raet Ke Toofanon Main


Sansain Bhi Rulti Hain
Yeh Bhi Aain Mumkin Hain
Aaj Hum ikhathay Hain
Kal Ko Saath Hoon Na Hoon
Chahe Kuch Bhi Hoo Janaan!!
Hosloon Ko Na Khona
Be_Wajah Bhi Na Rona



Meri Ankhon Pe Marta Tha

Meri Ankhon Pe Marta Tha
Meri Baton Pe Hansta Tha
Najaney Shakhs Tha Kesa??
Mujhe Khoney Se Darta Tha
Mujay Jab Wo Milta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha
Suno!!
Agar Mein Bhool Jaon Tu??
Agar Mein Rooth Jaon Tu?
Kabhi Wapis Na Ahon Tu?
Bhula Pao Gay Ye Sab Kuch??
Yunhi Hansty Rahoo Gay Kia??
Yunhii Sajty Rahoo Gay Kia??

Friday, March 7, 2008

ACHI LAGTI BHALA KYON YE FIZA SHAAM KE BAAD

ACHI LAGTI BHALA KYON YE FIZA SHAAM KE BAAD
HO GYA ISHQ TO YE HAM PE KHULA SHAAM KE BAAD

DIN MEIN TO HAM PE KOI SHER UTARTA HEE NAHIN
HAM NE TO JAB BHI, JO BHI LIKHA SHAAM KE BAAD

AA KE DEKHO TO SAHI KITNE NIKHAR JAATE HEIN
TUM KISSI ROZ MILO HAM SE ZARA SHAAM KE BAAD

ROOH TAK SHAAMIL-E-AAWAZ HOOA KARTI HEI
TUM KABHI MAANG KE DEKHO TO DUA SHAAM KE BAAD

AAJ TAK AISE PARENDE NAHIN DEKHE HAM NE
BHOOL JATE HON JO GHAR KE PATA SHAAM KE BAAD

MERI NAZRON MEIN WO BA ZOQ NAHIN HO SAKTA
BE SABAB JO BHI KOI GHAR MEIN RAHA SHAAM KE BAAD

Pehle main chain se soya karta tha

Pehle main chain se soya karta tha,
ab raaton ko karwatein badalne laga hoon

pehle main sabse bohat baatein kiya karta tha,
ab chup chaap rehne laga hoon.

pehle main mehfilon main raha kartee tha,
ab akeli rehne laga hoon.

Un se mulaqaat hone ke baad,
jaane kyun us ke baare main hi sochne laga hoon.

zindagi ke safar main akele chalte chalte achanak,
us ke saath chalne kee khuwahish karne laga hoon

bhale hee woh mujh se door hai par,
har gharri us ki aahat mehsoos karne laga hoon.

pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhta tha,
par ab woh sab samjhne laga hoon.

Main apni khud ki haalat pe hairaan hoon,
Main aise kyun hone laga hoon?

mujhe aisa lagta hai keeeeeeee ????.!!!!!
shaayad main us se pyaar karne laga hoon..!!!!

Thursday, March 6, 2008

Best SmS Shayari

Kyun kisi se itna pyar ho jata hai
Ek din ka intzar bhi dushwar ho jata hai
Lagane lagate hain apane bhi paraye
Aur ek azanbi pe aitbar ho jata hai

Kabhi naa bhule aapke honth muskarana
Kabhi khatam na ho aapki khushiyon ka khazana
Aap ko janha ki har khushi mile
Chahe khuda ko pade dharati par anna

Tamnna karate ho jin khusiyo ki
Duwa hai who khusiya aapke kadamo main ho
Khuda who sab aapko haqikat main de
Jo kuchha aapke sapano main ho

Log mohabbat ko khuda kahate hain
Magar koi kare to use ilzaam dete hain
Kahte hain ki pathar dil roya nahi karte
Phir phado se hi jharane kyun bahate hain

Gujar gaye who chaman se bahar ki tarah
Ankho main bas gaye intazar ki tarah
Kaise bhula de hum unhe apni yando se
Unhone inkaar bhi kiya izahar ki tarah

Hum hawa nahi jo kho jayenge
Hum waqt nahi jo gujar jayenge
Hum mausam nahi jo badal jayenge
Hum to who aansu hai jo
Khushi/Gum dono main nazar aanyenge

Chahe kitni bhi door hum rahe
Par dosti ka silsila kabhi kam naa honge
Tum jahan bhi raho zara palat kar dekhana
Tumhare saye ki jagah hum honge

Khamosh raat ke pahalu main sitare naa hote
In rukhi ankho me rangin nazare na hote
Hum naa karate parwah aapki
Gar aap jaise DOST hume itane pyare na hote

Taqdir ne chaha, Taqdir ne bataya,
Muqadar ne tumhe aur hame milaya
Kushanasib the HUM ya woh PAL
Jaab aap jaise anmol sa DOST zindgi main aya

Duao ki bhid main ek duwa hai hamari
Jisme mangi hai humne har khushi tumhari
Jab bhi muskaraoge aap DIl se
Samnjhenge dua abul huai hamari

Sajha do aapani yando ko
Who bin bulaye paas aaya karati hai
DOST to dur rahakar satate hain magar
Who paas aakar rulaya karati hai

Chup rahate hain ki koi khata na ho jaye
Hum se koi rusawa na ho jaye
Badi mushkil se koi apna banta hai
Milne ke pahle hi juda na ho jaye

Zindagi ki tapti dhoop main

Zindagi ki tapti dhoop main ek thanda saaya paaya hai maine
Jab kholi aankh to apni maa ko muskurata huapaaya hai maine

Jab bhi maa ka naam liya
uskabeshumaar pyaar paaya hai maine

Jab koi dardmehsoos hua, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo meinapni maa ko paaya hai maine

Jaagti rahi woh raatbhar mere liye
Jaane kitni raatein, use jagaaya haimaine

Zindagi ke har modh par, jab hua gumraahmai
Iski hidaayat par, pakadhli seedhi raah maine

Jis ki dua se har museebat laut jaaye
aisafarishta paaya hai maine

meri har fikr ko jan'newali
mere jazbaaton ko pehcan'ne wali
aisi hastipaayi hai maine

Meri zindagi sirf meri maahai
Isi ke liye to Is zindagi ki shama jala rakkhihai maine...

Wednesday, March 5, 2008

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya

Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehnay diya

Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya

Main samjhta tha khushi degi mujhay
Isliyeymainay gamon say Naata rehnay diya

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya
Jaanay kyonrusvaion ka silsila rehnay diya...

Mujhay aur kahin le chal

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan raat kabhi b soi na ho
jahan subah kissi pe roi na ho
jahan hijer ne wehshat boi na ho
jahan koi kissi ka koi na ho

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan shaher hoon sare wairane
jahan loog sabhi hoon baigane
jahan sab k sab hoon dewane
jahan koi humain na pehchane

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko duss na sake
jahan koi kissi pe hunss na sake
jahan koi b gunjal kuss na sake !

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo bass na ho
jahan too b ziada pass na ho

Mujhay aur kahin le chal sanwal

Tuesday, March 4, 2008

Koi hume yaad kiya karta hai

Koi hume yaad kiya karta hai
Yuhi din raat kiya karta hai

Teseveer bana kar hamari apne dil mai
Use sapno me sakar kiya kerta hai

Apni tanhaiyon mai khud ki parchayi ko
Aks samajh kar hamara hamesha baat kiya karta hai

Mil jaye shayad kisi mod par hum use
Ye soch kar humara intjaar kiya karta hai

Bas itana hi pata hai ki
koi hume Yaad kiya karta hai
Yuhi din raat kiya karta hai

Hai likhne wale bahut...

Hai likhne wale bahut...
Hai sunne wale bahut...
Har ek ashq main chupe...
Gam ke sagar bahut...
Jra chum loon...
Main tere daman ki khushiyan...
Teri chahat main chune...
Rasto se kante bahut...
Na rukna mere waste...
Pichhe reh jo jaoun kahin...
Jane kyoon hoon naraj...
Es tanha e-jindgi se bahut

Monday, March 3, 2008

ZINDAGI KI HER SHAAM TERE NAAM KER DON!

ZINDAGI KI HER SHAAM TERE NAAM KER DON!


Apni zindagi ki har shaam terey naam kar doun
Teri hi ankhoun ka jaam terey naam kar doun,

Main doubh jaoun teri in jheel si gehri ankhoun main
Phir apni barbadi ka ilzam terey naam kar doun,

Main apni Rouh ko terey Wajood main bhar doun
Phir apni zaat apna har peyaam terey naam kar doun,

Tu mujhey muhabbat ka aghaaz dey sanam
Main apney payar ka anjaam terey naam kar doun,

Muhabbatun key qaseeday likhoun teri sanaa main
Hazaron payar key paygham terey naam kar doun,

Ho jis ka zikar muhabbat ki har kahani main
Ek aysa payar ka paygham terey naam kar doun,

Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai Mitaoon Kaisey


Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai Mitaoon Kaisey
Abb Tum Hi Bataao Ke Tumhein Bhulaoon Kaisey

Log Kehtey Hain Ke Main Jo Hoon Woh Tum Hi To Ho
Terey Honey Ko Main Sab Say Chupaoon Kaisey

Jaagti Aankhon Say Bhi Daikhoon To Tera Sapna Daikhoon
Apni Aankhon Mein Kissi Aur Ke Khwab Sajaoon Kaisey

Main Jo Chaahoon Bhi To Keh Na Paaoon Kuch Bhi Tum Say
Mairi Jo Halat Hai Woh Main Tujh Ko Sunaoon Kaisey !

Saturday, March 1, 2008

Meine Us Ko Salaam Likh Bheja

Meine Us Ko Salaam Likh Bheja
Haal-e-Dil Tamaam Likh Bheja

Mein Ne Pocha Tere Hont Kaise Hain.
Us Ne Ek Lafz Jaam Likh Bheja

Mein Ne Pocha Tere Baal Kaise Hain.
Us Ne Qudrat Ka Inaam Likh Bheja.

Mein Ne Pocha Kab Hogi Mulaqaat.
Us Ne Qayamat Ki Sham Likh Bheja.

Mein Ne Pocha Itna Tadhpati Kyon Ho.
Us Ne Jawani Ka Intiqaam Likh Bheja

Mein Ne Pocha Tere Khad-o-Khaal Kaise Hain.
Us Ne Husn e Tamaam Likh Bheja.

Mein Ne Pocha Tujhe nafrat Kisse Hai.
Us Ne Faqat MERA Hi Naam Likh Bheja

Sabse chupa ke dard wo muskura diya

Sabse chupa ke dard wo muskura diya
Uski hansi ne to aaj mujhe rula diya

Lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuaan
Chehra bata raha tha ke kuch gawan diya

Awaaz me thahrao tha aankho me nami thi
Aur keh rahi thi ke maine sab kuch bhula diya

Na jane logon se kya thi use shikayatein
Tanhaiyon ke desh me khudko basa diya

hamse bichad ke wo khud bhi adhuri si ho gayi
Aur itne logo ke beech humko bhi tanha bana diya

Dil he jub jaan say juda ho ga

Dil he jub jaan say juda ho ga
u jeay bhe tu jee ke kia ho ga
lamha lamha teri judai main
kis qadar sabr aazma ho ga

kam na ho ge teri paristari
hum na hon gain tu dosra ho ga
moujzan dil main hai laho ki tarha
dard dil say kahen juda ho ga

teri yadon k bhool janay tak
zehra-e-ghum kaam kar choka ho ga
us na hum say he jub nibha na ki
woh kise aur ka bhe kia ho ga

aaj pher zalzala sa hai dil main
ab khuda janay aur kia ho ga
Fursat ke kuch lamhe nikal kar
the kuch sapne sajaye maine

Bedardo ki iss duniya se chun kar
the kuch rishte apnaye maine
Magar waqt ko raas na aayi wafa meri aur
Ho gaye Paraye woh mujhse
thhe kabhi jo apne banaye maine