Monday, March 24, 2008

jo chand ka hai chandni se

Kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
dil kehta hai ke hai ye bahut purana rishta
vahee rishta
jo chand ka hai chandni se
sitaro ka hai aasma se hi



samunder ka hai gehraee se
jism ka hai aatma se
phoolo ka hai khooshboo se
suraj ka hai roshni se
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin
kuch hee dino kee ye mulakato ne
bechen kur dala hai dil ko


khayal rehta hai tumhara hur dum, hur pal, hur lumhah
chavi hai tumhari ankho mein
khooshboo hai tumhari sanso mein
tum duur ho tuo paas ho
pass ho to duur
ye kya hai ? kyu hai ? kaise hai ?

kuch maloom nahin
is rishte kee hud
mujhe maloom nahin
kya ye sahi hai ya galut
mujhe maloom nahin
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin.

No comments: