Tuesday, March 4, 2008

Koi hume yaad kiya karta hai

Koi hume yaad kiya karta hai
Yuhi din raat kiya karta hai

Teseveer bana kar hamari apne dil mai
Use sapno me sakar kiya kerta hai

Apni tanhaiyon mai khud ki parchayi ko
Aks samajh kar hamara hamesha baat kiya karta hai

Mil jaye shayad kisi mod par hum use
Ye soch kar humara intjaar kiya karta hai

Bas itana hi pata hai ki
koi hume Yaad kiya karta hai
Yuhi din raat kiya karta hai

No comments: