Saturday, March 29, 2008

***KOI WAHA TAK NA JA SAKA***

Khawabon Ka Ek Jazeera Ho
Jugnu"on ka jaha Basera ho

Koi waha tak jaa na sake
Aana jaana sirf Tera Mera ho

Zulfon se Teri main Khela karoon
Teri Palkon ka Mujhpe Pehra ho

Chand Sitare dekha kare
Us Nagar jab bhi Hamara Phera ho

Na Khatam hone wali ho Baate
Aisi Raat ka kabhi na Sawera ho..!!!

No comments: