Monday, March 24, 2008

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Or Jhaank Kay Meri Aankhon Mein Beetay Din Yaad Dilatey Ho

Mastana Hawa Kay Jhonkon Se Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko Pakarney Ki Dhunn Mein Do Ajnabi Haatoun Ka Milna

Aankhon Mein Dhunwa Cha Jana Sasoun Mein Sitarey Se Khilna
Rasty Mein Tumhara Mur Mur Kar Takna Wo Mujhe Jatey Jatey

Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana, Chilman Kay Kareb Aatey Aatey
Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana, Ek Aur Jhalak Paatey Paatey

Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir, Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi Kuch Sharmana, Kuch Bal Khaana

Humsayon Kay Dar Se Katrana, Ghar Walon Kay Dar Se Ghabrana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon, Aur Khud ParDh Kar Ro Lati Hoon

Halaat Kay Taptey Toufaan Mein Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch Tou Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey

No comments: