Saturday, March 1, 2008

Sabse chupa ke dard wo muskura diya

Sabse chupa ke dard wo muskura diya
Uski hansi ne to aaj mujhe rula diya

Lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuaan
Chehra bata raha tha ke kuch gawan diya

Awaaz me thahrao tha aankho me nami thi
Aur keh rahi thi ke maine sab kuch bhula diya

Na jane logon se kya thi use shikayatein
Tanhaiyon ke desh me khudko basa diya

hamse bichad ke wo khud bhi adhuri si ho gayi
Aur itne logo ke beech humko bhi tanha bana diya

1 comment:

Anonymous said...

Khoob likhi hai nazm dard ki, dard ko bhi dard ho jaye...

keep it up...