Monday, March 31, 2008

Us Ka Chehra Nazar Ata Hai

Dheerey Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Us Ka Chehra Nazar Ata Hai Jheel Mein Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Us Ko Dekhaa To Jism o JaaN Ko Yun Lagaa
Piyaasi ZameeN Pe Jesey Koi Baras Gaya Badal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seeney Pe Sir Rakh Ke Raat Bhar Sula'oun Ga
Sar-e-Shaam Hi Mujhey Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah

Us Ka Sharmaana Bhi Mujhey Maat De Jaataa Hai
Us Ki To Har Adaa Hai Kisi Khamosh Qatil Ki Tarah

Merey Hi Dil Ka MakeeN Nikla Wo Shakhs Aur Mein
Shehar Bhar Mein Dhoodnta Raha Usey Kisi Pagal Ki Tarah

Madhosh Sa Ho Jata Hun Jab Barish Ki Boondein
ChheRti Hain Koi Naghma Us Ki Chhanakti Payal Ki Tarah

Mera Sukhan Us Ki Zaat Ka Mehwar Na Ho Tab Bhi
Wo NaazneeN Wo Dil NasheeN Hoga Mehakti Ghazal Ki Tarah

Nahee Tha KhaarzaroN Pe Tanha Be Sabab Safar Mera
YaqeeN Tha Mil Jaye Ga Raah Mein Wo Manzil Ki Tarah .........!

1 comment:

Anonymous said...

wah wah wah . I wished to tlk to u ..