Wednesday, April 30, 2008

Aajkal har shaks hamein

Aajkal har shaks hamein
Ye sikha kar jaata hai
Are kuchh khwab abhi adhure
hain hamare
Varna jeena to hamein bhi aata hai
Maante hain ki zindagi ko apni
Us had tak to hamne swara nahin Lekin
Un khwabon ko adhura chod kar
Hame jeena shayad gwara hi nahin
Jeete waqt ae mere dost
Apno ke khwabon ka khayal
ham rakhte hain
Sirf apne liye hi jeena ho to
Hum Aaj bhi jee sakte hain
Har wo shaks jo aaj apne
Jeene par itna itraata hai
Waqt aane par batayenge use
K jiya kis tarah se jaata hai

Meri taswir main rang aur kisi ka to nahi

Meri taswir main rang aur kisi ka to nahi
gher len mujhko sab ak main tamasha to nahi


zindagi tujhse har ik sans pe samajhuta karun
shauq jine ka hai mujhko magar itaa to nahi


ruh ko dard mila dard ko ankhen na mili
tujhko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahi


sochte sochte dil dubne lagta hai mera
zahan ki tah main 'Muzaffar' koi dariya to nahi


zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi


uski raftar se lipti rahi meri ankhen
us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi


waqt ki tarah dabe panw ye kaun aya hai
main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi


ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
hath to main ne uthaye the dua kis ki thi


meri ahon ki zaban koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi


ag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur khata kis ki thi


main ne binaiyan bo kar bhi andhere kate
kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi


chor di kis liye tu ne "Muzaffar" duniya
justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi.......

Tuesday, April 29, 2008

Zara si baat per

Yeh mumkin hai humare dermiaan koi
Ghalat fehmi bhi na rehti
Jo apny dil main choti si
Khalish hai khatam ho jati
Bata deta keh mujh ko aj bhi us ki zarurat hai
Jo es jewaan ko hasil hai to bas us ki muhabat hai
Bata deta keh logoon ki sabhi batin fasaney hain
Sabhi qisay puraney hain
Main keh deta
Zara si baat per yuun ruthna acha nahi hota
Muhbat kerny waloon main
ghalat Fehmi to ho sakti hai
Per jhagra nahi hota
Main her ik baat keh deta
Khalish bhi duur ho jati
Main us ka haath pakrey yuun hi us ka humqadam rehta

Monday, April 28, 2008

Kabhi Yuun b Hota Hia

Kabhi Yuun b Hota Hia



Do Ajanbi Dil
Achanak Kisi Khushnuam Mor Per
Ik Doojy Se Milty hain tu aik Lamha
Achana Kehin Se Ubharta hai
Aur Un ki aeiynda Umron k Sary Maah-o-Saal
Par Phailty Phailty un k Charoon Trf
IK Bzahir Dikhai Na deta Hoa Daeyra Sa bnata Hai
JIs ki Haddain Ghair Leti Hian Ik Din
Azal Se Abad Tak sab Faaslon ko
Kabhi Yuun Bhi Hota Hai
Vo Hamsafar Jo ,
Zamano Pe Phaili Hoi Ik Musafat
Ko Chahat k Badilon k Saay Taly
Qadam dar Qadam Kaatety Ja Rehy Thy
Achanak Kisi Mor per Ik Lamhy KO Rukty Hain
Tu Dekhty hi ------------
Tu Najany kidhar SE Havva-e-Judai ka ik Tez JHonka
TalluQ k Saary Deion Ko BHujata
Dillon Mian Gillon ki Faseelian Uthata , Barha Aa Raha Hai
Aur Us ki uri Hoi Garrad --------
Lamhon Main Beshakal kerti
Hai Umeron k FAISLLON Ko -------- !!!!!

MOUT HAR DUKH KO MITA DETI HAI



MOUT HAR DUKH KO MITA DETI HAI



APNAY HONAY KA EHSAAS DETI HAI


ZINDAGI YUN BHI SAZA DETI HAI





DIL SULAGNAY KA PATA CHALTA HAI


YAAD JAB RAAKH GIRA DETI HAI

YEH HUNAR MAA K SIWA KIS KA HAI


BHOOKAY BACHON KO SULA DETI HAI





YUN URAAO NA MOHABBAT KA MAZAAK


YEH TOW BANDAY KO KHUDA DETI HAI



MEIN SULA DETA HON ZAKHAMON KO MAGAR


EK NAYA DARD HAWA DETI HAI



ZINDA REHNA HAI TOW SHIKWA KAISA


MOUT HAR DUKH KO MITA DETI HAI




My Best ShaYari....

*Dosti*
Pag pag me phool khile
khushiyan aapko itni mile
kabhi na ho dukhon ka samna
hai aapke liye dosti ki shubh kamana

------------------------------
*Tum banke*
Tum banke dost aise aaye zindagi me
ke hum yeh zamana hi bhool gaye
tumhe yaad aaye na aaye hamari kabhi
par hum toh tumhe bhulana hi bhool gaye

------------------------------


*Apne dil*
Apne dil ki baat hum unse keh nahi sakte
Bin kahe bhi jee nahi sakte
Aye khuda aisi takdeer bana
Woh humse khud aakar kahe
"HUM AAPKE BINA REH NAHI SAKTE"

------------------------------


*kabhi kabhi*
Kabhi kabhi dil udas hota hai
halka sa aankho ko ehsas hota hai
chhalakte hai meri aankh se aansu
jab aapke dur hone ka ehsaas hota hai

------------------------------


*woh dillnashi hamara imtehan*
* *
woh dilnashi hamara imtehan kya legi
nazre mili to nazre jhuka legi
use hamari kabr pe diya jalane mat dena yaaro
abhi woh nadan hai kahi apna hath jala legi

------------------------------


*Duniya me***
Duniya mein bahut gham milenge
Sachh maano ache dost kam milenge
Jis modh par sab saath chodh denge
Us mod par intezar karte hum aapko milenge

------------------------------


*Dur rehkar*
Dur rehkar kareeb rehne ki aadat hai
yaad bankar aankhon se behne ki aadat hai
kareeb na hote hue bhi kareeb paoge
mujhe ehsaas bankar rehne ki aadat hai

------------------------------


*kuch rishte*
Kuch Rishte upar wala banata hai
Kuch Rishte Log banate hain Par
kuch Log bina koi Rishte ke hi Rishte
Nibhate hain, Shayad wohi Dost kehlate hain

------------------------------


*shikayat kaun kare*
hame apno ne luta
gairo se shikayat kaun kare
hamne phoolo se zakhm khaye hain
gairo se shikayat kaun kare
Dil sheesa samajh kar tod diya
manzil par la kar chod diya
yeh pyar nahi ek sapna tha
sapno se shikayat kaun kare

------------------------------


*Mujhe Aitbar Ki Adat Nahi Rahi*
Kuch main bhi thak gaya hoon use dhoondte dhoondte
Kuch zindagi ke pass bhi mohlat nahin rahi
Us ki ek ek ada se jhalakne laga hai pyar
Jub mujhe aitbar ki adat nahin rahi

Sunday, April 27, 2008

~~~Abhi Wo Ashk Likhany Hain~~~

mujhe jo kuch bhi kehna tha
abhi me keh nahi paya
Meri Tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya
abhi to Qarab likhna hai
jissay mehsoos karta hon
abhi wo khawab likhnay hain
jo ankhon me paltay hain
mujhay un ko bhi likhna hai
jinhain me dhoondh na paya


abhi wo log likhnay hain
jo khoo kar haath maltay hain
abhi wo ashk likhnay hain
kabhi jo beh nahi paye
mere tehreer ki zad me
abhi bhi kuch nahi aya
abhi to mausmon ki
shokhyan tehreer karni hain
abhi Jo phool kaliyan aur
sehe-e-shabnam bhi likhni hai


Uthaanay hain abhi darya say
mujh ko pyaas k pehray
abhi to khushk pairon pe
mujhay rim jhim bhi likhni hai
kahin pe dhoop likhni hai
kahin pa teergi chaaya
mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya



abhi to mujh ko likhni hai
kisi ki reshmi zulfain
kisi ki surmagii palkain
kisi ki ankh ka kajal
kisi ka tootta badal
kisi ki pyar ki qasmain
kisi ki unkahi batain
macha dain dil me jo hulchul
abhi woh sub likhna hai
jo mera ishq keh laye



mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya
abhi to wo safar likhna hai
jo darpaish hai mujho
abhi to tum ko apni
pyass ka sehra dikhana hai
abhi to hijr ki likhni hain
sari matamii Ratain
abhi to aisay lamhon ka bhi
tum ko lutf sunana hai
keh jin say ashk ankhon me
magar iss dil ko beh laye
mere tehreer ki zad me
abhi to kuch nahi aya

Saturday, April 26, 2008

MUJH KO EK HAMDAM MILLA

MUJH KO EK HAMDAM MILLA THA EKSAFAR KI RAAT MAIN
MAIN BUHAT BEKHUD HOA THA EK SAFAR KI RAAT MAIN

JANAY KIS KI YAAD THI EK MUNZAR KO DEKH KAR
TOOT KAR MAIN ROO PARA THA EK SAFAR KI RAAT MAIN

WHO KAY JISS SAY EK UMMER BHAR KI DOORIYAN MANSOOB HAIN
MEREY SEENEY SAY LAGA THA EK SAFAR KI RAAT MAIN

HER TARAF PHALAY HOEY THAY YAAD-E-GHAM KAY SILSILAY
KITNA HI MUSHKIL RAASTA THA EK SAFAR KI RAAT MAIN

GHAR SAY BAHIR PAON RAKHTAEY HI LARAZ UTHTA HAY DIL
HADSA KUCH AISA HOA THA EK SAFAR KI RAAT MAIN

AAJ BHI GUNGUNATA HOON USAY TANHAI MAIN
GEET JO HUMNAY SUNNA THA EK SAFAR KI RAAT MAIN

Friday, April 25, 2008

kya karen








dil gaya tum ne liya ham kya karen
jane wali chiz ka gam kya karen
pure honge apne arman kis tarah
shauq behad waqt hai kam kya karen
baksh den pyar ki gustakhiyan
dil hi qabu main nahin, ham kya karen
tund khu hai kab sune vo dil ki bat
aur bhi baraham ko baraham kya karen
ek sagar par hai apni zindagi
rafta rafta is se bhi kam kya karen
kar chuke sab apni-apni hikmaten
dam nikalta hai ai mere hamadam kya karen
dil ne sikha sheva-e-beganagi
aise namuharim ko muharim kya karen
mamala hai aj husn-o-ishq ka
dekhiye vo kya karen ham kya karen
kah rahe hain ahal-e-sifarish mujhse
teri qismat hai buri ham kya karen

Mera Zikar Na Kerna

Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...
ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna...

woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
tum raah guzaron se mera zikar na kerna...

phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...
dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna...

shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
ab chaand sitaron se mera zikar na kerna...

woh meri kahani ko galat rang na de dein...
afsana nigaaron se mera zikar na kerna...

shayad woh mere haal pe besakhta rodein...
is baar baharon se mera zikar na kerna...

le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker...
darya ke kinaron se mera zikar na kerna....

woh shakhs mile to usey har baat batana...
tum sirf isharon se mera zikar na kerna...!

Sula Dai Mujh Ko

Gungunatey Hoay Aanchal Ki Hawa Dai Mujh Ko
Ungliyaan Phair Ker Baloun Mein, Sula Dai Mujh Ko

Jiss Tarah Faaltu Guldaan Parey Rehtay Hein
Apnay Ghar Kai Kisi Koney Sai Laga Dey Mujh Ko

Yaad Kar Kai Mujhay Takleef He Hoti Ho Gi
Eik Qissa Hoon Purana Sa, Bhula Dai Mujh Ko

Dubtay Dubtay Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sai Sada Dai Mujh Ko

Mein Teray Hijar Mein Chup Chap Na Mar Jaoun Kahein
Mein Hoon Saktey Mein, Kabhi Aaa Kar Rula Dai Mujh Ko

Dekh Mein Ho Gaya Hoon Badnaam Kitabon Ki Tarha
Meri Tashheer Na Kar, Ab To Jala Dai Mujh Ko

Roothna Tera, Meri Jaan Liye Jata Hai
Aisay Naraz Na Ho,Hans Kai Dikha Dai Mujh Ko

Log Kehtay Hein Kai Yeh Ishq Nighal Jata Hai
Mein Bhi Is Ishq Mein Aya Hoon,Duaa Dai Mujh Ko

Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzor Sa Lamha Hoon,Bhula Dai Mujh Ko

Aur Kuch Nahien Manga Meray Maalik Tujh Sai
Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dai Mujh Ko....!

Thursday, April 24, 2008

Chand bhi tanha hai, Meri tareh

Chand bhi tanha hai, Meri tareh
Is virani raat mein, Qatil ki tareh

Ankho mein neend nahi Aati
Bistar par parhi hoon, Kafir ki tareh

So gaya jag sara
Phir bhi jaag rahi hoon, Saki ki tareh

Dil ki Dhakane, Badhne lagi hai
Kahi tarapkar na toot jaye, Ghungro ki tareh

Kitni mushkil hai zindgi
Phir bhi kat jayege, Jugnoo ki tarah

Manzil jitni door hai
Chahat bhi adhoori hai, Armano ki tarah.

Jitna khudko samjha maine
Tanha thi, Tanha reh gayi, Khawish ki tareh....!

Ek din, main Delhi pahuncha

Ek din, main Delhi pahuncha,
Station pe ek coolie se bahar jane ka rasta pooncha.
Coolie ne kaha: "Bahar jaake poocho."

Maine khud hi rasta dhundh liya,
Bahar jaake taxiwale se pooncha:
"Bhai saab Lal Kile ka kitna loge?"
Jawab mila: "Bechna nahi hai."


Taxi chod, maine bus pakad li,
Conductor se pooncha: "Ji, kya mein cigarette pi
sakta hoon?"
Wo gurrra kar bola: "Hargiz nahi, yaha cigarette
pina mana hai."
Maine kaha: "Par wo janab to pi rahe hai!"
Phir se gurrrraya: "Usne mujhse pooncha nahi hai."


Lal Kile pahucha, hotel gaya.
Manager se kaha: "Mujhe room chahiye, satvi manzil
pe."
Manager ne kaha: "Rahane ke liye ya koodne ke liye?"
Room pahucha, waiter se kaha:
"Ek paani ka gilas milega?"
Usne jawab diya: "Nahi sahab, yahan to saare kanch
ke milte hain."


Hotel se nikla, dost ke ghar jaane ke liye,
Raste me ek sahab se pooncha:
"Janab, ye sadak kaha ko jaati hai?"
Janab hans kar bole: "Peechle bees saal se dekh
rahan hoon,
Yahi padi hai... kahin nahin jaati."


Dost ke ghar pahucha, to mujhe dekhte hi chownk
pada,
Usne poocha: "Kaise aana hua?"
Ab tak to mujhe bhi aadat pad gayi thi,
Maine bhi jawab diya: "Train se."


Meri aaobhagat karne ke liye dost ne apni biwi se
kaha:
"Areeee sunti ho... mera dost pehli baar ghar aaya
hai,
Uuse kuch taja taja khilao."
Sunte hi bhabhiji ne ghar ki sari
khidkiya aur darwaje khol diye.
Kaha: "Taji hawa kha lijiye."


Dost ne phir se baday pyar se! ! biwi se kaha
:
"
Areeee sunti ho, inhe jara apna chalis saal purana
aachar to dikhana."
Bhabiji ek baatli me rakha aachar le aayi.
Maine bhi apnapan dikhate hue bhabiji se kaha:
"Bhabhiji, aachar sirf dikhayengi, chakhayengi
nahi?"
Bhabiji ne taak jawab diya: "Yuhi agar sab ko
chakhati
To aachar chalis saal purana kaise hota?"


Thodi der baad dekha, bhabiji apne potey ko sula rah
thi,
Saath me lori bhi ga rahi thi:
"Diploma so ja, diploma so ja."
Lori soon mein hairan hua aur dost se poocha:
"Yaar, ye diploma kya hai?"
Dost ne jawab diya: "Mere grandson ka naam,
Beti bambai gayi thi, diploma lene ke liye
Aur saath mein ise le aayi,
Isiliye hamne iska naam Diploma rakh diya."
Phir maine pooncha: "Aajkal tumhari beti kya kar
rahi hai?"
Dost ne jawab ! ! diya: "Bambai gayi hai, degree lene ke
liye..

Tu hi mil ja.........

Chand Kaliyo ke muskurane se
Zakhum jaage kai purane se

Do kadam me to chal nahi sakta
Tu mil ja kisi bahane se.....


xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Ye Kasak Dil Ki Dil Me Chubhi Reh Gayi
Zindagi Me Tumhari Kaami Reh Gayi

Ret Par Ansuo Se Tere Naam Ki
Jo Kahani Likhi Be-Padi Reh Gayi
Zindagi Me Tumhari Kami Reh Gayi...

Kal Raat Yu Bhigi Bhigi Chato ki Tarha
Meri Palko Pe Thodi Nami Reh Gayi
Zindagi Me Tumhari Kami Reh Gayi...

Wednesday, April 23, 2008

!*!!~* Have A Cool Cool SmS!!*~!!*!!




MANGO ki khushbu,
WATERMELON ki bahar..
GARMI ka mausam ane ko taiyaar..
Thodi masti, Thoda pyar..
HAPPY SUMMER mere yaar!!


Miss Meena!
Miss Meena?
Miss Meena,
Now Ur Thinking That
Who Is Miss Meena,
Arey Dear!
I M Just Asking U That..
U Miss Me Na ?

Arz kiya hai.
SMS dosto ko itne kiye ki
hum jeet gaye sMs ki
RACE.
Mobile bhi unka
pareshaan hoke kehne
laga :


NO SPACE
NO SPACE

In the walk of life, Do not worry of people moving ahead of U.
Take your own time, but once U r ready to run,
make sure U r the best of All.
! Have A Nice Day !

Why do gals look beautiful ?

Is it real or due to makeup ?

Al false_

gals look beautiful bcoz....

Boys have good IMAGINATION !

Love is like a bird
You hold Tightly,It Dies
You hold Lightly,It Flies
You hold it Nicely,It Shits on ur Hands
So forget Love & live life happily.
Have A Nice Day.

Chubby Cheeks,
Dimple Chin,
Browny Lips,
tiny eyes&
Rosy Tongue
Actually I ws pointing out d similarities b/w U & vodafone dog.
it's gr8!
Are u twins?

Hazaro Larkiyan aati hai
Hazaro Jati hai
Hazaro Hasti hai
Hazaro Rulati hai
Lekin mere Dost sath vohi nibhati hai
Jo Doli me aati hai

Aur Gale par jati hai

Tuesday, April 22, 2008

Ek Tere Yad

Ek Tere Yad

Ek tu teri aawaaz yaad aayegi
teri kahi hui har baat yaad aayegi

Din dhal jaayega raat yaad aayegi
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi

Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi

Par kuch kami isme bhi to reh jayegi
dil ko tadpayegi kabhi tarsayegi
har lamha teri yaad aa jayegi

dard kyaa hota hai bataayeNge kaisi roz

dard kyaa hota hai bataayeNge kaisi roz
kamal ki Ghazal tumko sunaayeNge kaisi roz

thi unki yeh zidd ke maiN jaauN unko manaane
mujhko yeh veham tha voh bulaayeNge kaisi roz

Allah qasam maine to socha bhi nahiiN tha
voh "itnaa" mere dil ko dukhaayeNge kaisi roz

har roz aayi'ne se yahi puuchta huuN maiN
kya rukh pe tabbassum bhi sajaayeNge kaisi roz..?

udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kaisi roz

apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum

zakhm-e-jigar tam'aam dikhaayeNge kaisi roz

jo peete rahe yuuN hi dosto
hum keh rahe haiN jaan gaNwaayeNge kaisi roz

Agar tum Insaan ki jagah pathar hote

Agar tum Insaan ki jagah pathar hote
Tumhe Pathar Samaj kar Tarash tho leta

Tumhe Bhulana Hum Chahte Hai
Teri Yaado ko dilse Nikalna Hum Chahte Hai
Magar Hum Aisa Kar Nahin Sakte
Mohabbat Cheez hi aisee hai

Woh Aaye Kareeb Mere to
Meray Hosh Udd Gaye
Baat to thi dil main bahut par honth sil gaye

Hamari zndagi tab tak chale
jab tak ...
Mere sheyar dava ka asar karte rahen

Aai Khuda Mujhe tum yeh batado ke

meri khata kya hai ??
Jiske liye woh mujhe de raheen hai saza

woh waja kya hai !!

Yeh aasoon yun bahakar barbad na kar
Mere marne ke baad tumhen inki zarorat hogi..

Magrur hi sahi Mjhe Acha bahut Laga

Magrur hi sahi Mjhe Acha bahut Laga
Ajnabi To Tha Magar Apana Bahut Laga

Sehra Me Jo Jee Raha Tha Dariya Dili Ke Saath
Dekha Jo Gaur Se To Woh Pyasa Bahut Laga

Woh Jis Ke Dham Kadam Se Thee Basati Ki Ronnake
Basati Ujar Gai To Akela Bahut Laga

Lipta Hua Kaher Me Kheejan Ka Chand
Mele Libas Me Bhi Woh Pyara bahut Laga

Resham Pahen Ke Bhi Meri Kimat Na Bar Saki
Kadar Bhi Uske Jisam Par Mahenga Bahut Laga

Tarik Jab Aane Pe Meri Sans Jam Gai
Muj Ko Khud Apana Aks Bhi Dhundla Bahut Laga

Thursday, April 17, 2008

DIL KI KAHANI.....

Pehli baar jab hum tum mile,
Fir shuru ho gaye ishq-mahobbat ke sil-sile!
Naa lab se tumne kuchh kaha,
Naa hi kuchh kehne ko mere honth khule!
Fir ik din puchha bhi humne unse,
"Apne dil ka haal to bataao?"
Par woh kuchh naa bole,
Bas naino se karke ishare chale!
Ab to bas din the jo beet rahe the,
Par raaton ko chain-o-sukun kahan se mile!
Dil ho raha tha chhalni unki adaao ko dekh kar,
Aur ek Woh the jo har waqt hume tadpa ke chale!
Fir ik din pakad kar unka haath;Gusse se hum bole,
Bahot ho gaya dil ko jalana;Aa jaao ab to khul ke
mile!
Haayy!Kya adaa se chhuda kar Woh;
sarmaye the uss waqt,
Ki uss ghadi uss waqt ko;
hum bhulaye bhi kabhi naa bhule!
Ab to har subha gul bankar aati thi;
Aur dil mein the hazaro gulshan khile!
Sanam ki baahon mein thi kat rahi;Yeh haseen zindgani,
Ki zamane ki naa kar parwah;Hum apni hi dhun mein the
chale!
Par hua vahi jo;Mahobbat mein kabhi diwaano ka hota
hai,
Chhuda kar daaman ik din woh;Apne ghar ko chale!
Humne roka bahot Unko;
Di bahot duhaai bhi mahobbat ki,
Par naa kuchh kaha unhone;
Bas aaankhon se tapka ke aansu chale!
Ab kaise katenge yeh din?
Yeh Raatein unke bin?
Intezaar mein the bas "SHAMA" unki,
Lambi Judaai Ke Sil-sile…..
Lambi Judaai Ke Sil-sile…..!

Wednesday, April 16, 2008

Dil Toot jata hai...

Dil Toot jata hai...


Jis ko bhee mai apna keh doo wo humse rooth jata hai
Hum kisi se lagate bhee nahi fir bhee ye dil toot jata hai
Mein roou to dar-o-deewar mujh pey hansne lagte hai
Hansoon to mere andar jane kya kya toot jata hai

Mein jis lamhe ki khawahish mein safar karta hoon sadiyo se
Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai
Merey khwaboo ki basti se janaze uthtaaye jate hai
Meri aankhe jise choo lein who sapna toot jata hai

Najane kitni muddat se hai dil me ye amal jari
Zara si thees lagti hai zara sa toot jata hai
Kisi apne ko apna kehne ka kabhi hausala hee naa tha mujhko
To hairat hee kya jo bante hee irada toot jata hai

Bewafa mukaddar ke bewafai me siddat itni hai zalim
Mein jis ko apna keh doon who sitara toot jata

Unse mohabbat ki hain


Unse mohabbat ki hain yehi is dil koh samjhaaye jaate hain,
Kaanto seh parhez nahi, unki kami seh ghabraaye jaate hain,

Dooriyaa aapki hume har lamha yaad dilaaye jaate hain,
mushkil safar mein aapki yaado ki chaadar lehraaye jaate hain,

Unke bataaye raaste par khadmo koh behosh chalaaye jaate hain,
ummeed ki leher jagaayi unhone, ki kinaare seh takraaye jaate hain,

Ashiqo ki khadar nahi zamaane mein ki unhe tadpaaye jaate hain,
Mohabbat karne waalo ke har taraf janaaze utaaye jaate hain

Tuesday, April 15, 2008

Meri har baat me usi ki baat rehti hai






Meri har baat me usi ki baat rehti hai

Naa jane kyon dil ko har pal kisi ki aas rehti hai

Sirf or sirf usi ke Didaar ki Tadap rehti hai

Wo samajhta hai mere dil ki har baat

Isliye ye juban khamosh rehti hai


Mere Dil ki Dhrakan, meri jaan hai wo

Mere har khayal me ussi ki yaad rehti hai

Wo hai duniya me sabse pyaara mujhe

Meri har baat me usi ki baat rehti hai


Uske aane se aa jati hai chahre pe ronak

Wo naa ho to meri to duniya ujad si rehti hai

Uska pyar ka ijhaar bhi meri jaan leta hai

Samjhta hai isliye baar–2 kehta hai

Mere Dil, Dimag, mera kal, mera Aaj

Mere har khwab se uski khusbu aati hai

Meri har baat me usi ki baat aati hai








Tu Kahin Bhi Rahe Sar Pe Tere Ilzam to hai

Tu Kahin Bhi Rahe Sar Pe Tere Ilzam to hai
Tere Hantho ki lakiro mainmera naam to hai

Tu mujhe apna Bana ya Na bana tere khushi
tu zamane bhar main merenaam se badnaam to hai

mere hise main koi jaam na aaye na sahi
tere mefil main mere naam koisham to hai

log dekh to kar mujhe naam tera lete hai
is par khush hain aman mohabaat ka yeh anjaam to hai

tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzam to hai

Monday, April 14, 2008

EK BAAT KAHOO???

AIK BAAT KAHOO???


Bay Baat Bigartey Rehtey Ho
Bay Chain Hamesha Rehtey Ho
Yeh sab Nishani ISHQ Ki Hai
Kiya ISHQ Kise Say Kerte Ho?
Kiyoon Ratoon Ko Jagtey Rehtey Ho?
Aur Tarey Bhi Tum Gintey Ho
Yeh sab Nishani ISHQ Ke Hai
Kiya ISHQ Kise say Kertey Ho?
Zikar Jo Mera Chalta Hai,
Chehrey ka Rang Badalta Hai
Bay chain say Tum Ho Jatey Ho
Kiya ISHQ "MUJH" Hi Say Kertey Ho

Sunday, April 13, 2008

mujhe tum se mohabbet hai

Chand ko sitoron se or mujhe tum se mohabbet hai
phoolon ko baharon se or mujhe tum se mohabbat hai

Mefil main jo milna nighahen jhukalena
koi samajh na pai ke mujhe tum se mohabbat hai

Ab tere hijr main bus ek kaam hai asman takna
tum sitaron pe likh dena mujhe tum se mohabbat

Hai hamain ehsas hai tum ko bhi ham se pyaar hai lekin
yeh mere roohbarooh kehna mujhe tum se mohabbat hai..

Ajab mohsin mila mujhe rah-e-nijaat ka,
manzil ko mere kadmo per laa k rakhdiya..

Friday, April 11, 2008

*Aansuo ke saath*

*Aansuo ke saath*


Kya doo Duniya tujhko Khaali hai mere haath bhee

Sab door hai mujhse aur hai mere saath bhee

Din to kabhi bhee hota hee na thA

Hoti nahi hai ab to raat bhee

Pehle saath rehne ko tarsha karte the

Karni nahi hai ab to mulaqaat bhee

Aisa nahi ki mai patthar dil ho gaya hoo Par sayad

Aansuo ke saath beh gaye hai zasbaat bhee

Kya doo Duniya tujhko…???????????

kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain

kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain

jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
ab to maut ke thikaane dhoondte hain

kal khud hi apni mehfil se nikaala tha
aaj hue se deewaane dhoondte hain

musaafir be-khabar hain teri aankhon se
tere shahar mein maikhaane dhoondte hain

tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
hum to rone ke bahaane dhoondte hain

unki aankhon ko youn dekho na
naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain

Thursday, April 10, 2008

Daastan-e-dil

Kuchh aise log hain jo bhulaye nahi jaate,
kuchh lamhe hai jo dil se Mitaaye nahi jaate;

Bebassi Utar aayi hai hain aannkho me meri,
Meri Hassi se mere aansu chhupaye nahi jaate;

Wafa ki raaho me bhujne ke baad jana hai,
Aandhiyo me diye Mohbbt ke jalaaye nahi jaate;

Teri Tehriro se aati hai tere haatho ki Mahak,
Bewafa mujhese tere khat bhi jalaye nahi jaate.

Wednesday, April 9, 2008

*Kabhi koshish nahi karte*

Suno Qismat se ladne ki
Kabhi koshish nahi karte*
*Muqaddar jab mukhalif ho
Duaain be-aser jayen
Sabhi manzar bikher jayen
To aise main baghawat ki
Kabhi koshish nahi karte*

*Kisi ke saath chalne ki
Kisi ke Dil main basne ki
Kabhi khuwahish nahi karte*
*Kisi ek shakhs ki khatir
Sabhi se door ho jaana
Kahan ki yeh Mohabbat hai?
Mohabbat yeh nahi hoti
Mohabbat Dil main hoti hai*

*Mohabbat aks hai RAB ka
Kabhi yeh mar nahi sakti
Hamesha saath rehti hai
Hamesha saath chalti hai*

*Mile jo humsafar tum ko
Us hi ke saath chalna tum
Usse dharkan bana lena
Usey Dil main basa lena
Mager Qismat se larrne ki
Lakeron se ulajhne ki
Kabhi koshish nahi karte*

Dil Mein Uthe Toofan

Aankhein Hai Meri Weeran
Dil Mein Uthe Toofan
Sapno Mein Aake,
Mere Dil Mein Samake
Mere Piya Ban Gaye Anjaan
Ye Hawayein Kyon Rulayein
Aayi Yahan, Suni Raatein

Chaya Kaisa Andhera
Tu Jo Na Hua Mera
Dekh Akeli Mujhe
Dhundti Hawaon Mein
Badalone Hai Ghera
Ye Ghatayein Kyon Satayein
Aayi Yahan, Suni Raatein

Rimjhim Rimjhim Barse Sawan
Aaya Kaisa Ye Mausam
Kajra Bhi Beh Gaya
Aansuon Ki Dhaar Mein,
Bheega Mera Tan Aur Man
Ye Fizayein Kyon Rulayein
Aayi Yahan, Suni Raatein

Tuesday, April 8, 2008

Aankhon se Tootte hai sitaare to kya huwa

Aankhon se Tootte hai sitaare to kya huwa
Chalte nahi wo saath hamare to kya huwa

Toofaan ki zad mein azm mere saath saath tha
Kashti ko mil sake na kanare to kya huwa

Tanhayion ne mujh ko gale se laga liya
Wo ban sake na Dilse hamare to kya huwa

Sau hausle hamare qadam choomte rahe
Kuchh be sukoon raat guzare to kya huwa

Manzil bhi, kaarwan bhi, musafir bhi khud raha
Saathi bane na Hamare chaand sitaare tho kya huwa....?

Uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo

Uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo
Majboor kar ke mujhe mere yaar ley chalo

Shayed yeh mera vehm ho, mera khayal ho
Mumkin hai us ko mere baad, mera malal ho
Pachta raha ho ab mujhe, dar sa utha ke woh
Baitha ho meri raah mein, aankhain biccha ke woh
Us ne bhi to kiya tha mujhe pyar, le chalo...

Uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo....... .......

Deewana keh ke logon ne har baat taal di
Duniya ne mere paaon mein zanjeer daal di
Chaho jo tum to mera muqaddar sanwar do
Yaaron yeh merey paaon ki bedi utar do
Us ne kiya hai milne ka iqrar, ley chalo..

Jo Teri Yaad Aye Jara Sa Likh Lete Hai

Jo teri yaad aye jara sa likh lete hai,jra sa ro lete hai
Jo meri jaan jaye,to jara sa likh lete hai, jara sa ro lete hai

Voh meri be-basi ko dekh kar hasna hawayo ka
Kabhi jo dil jale voh to,jara sa likh lete hai jara sa ro lete hai

Rut sawan ki chaye jara sa likh lete hai, jara sa ro dete hai
Chupke se the sargosgiya chaand taaro ki, Kabhi jab woh yaad aye

Kuch tujh pe yakin hai or kuch apne khuda pe
Aas dil me jagaye to, Jara sa has lete hai, jara

sa ro dete hai, jara sa likh dete hai
Payar me yeh He haal hota hai, jab Payar juda hota hai

Sunday, April 6, 2008

Mohabbat Ka Asar Hoga

Mohabbat Ka Asar Hoga,Galat Fehmi Mein Mat Rehna,
Vo Badlega Chalan Apna,Galat Fehmi Mein Mat Rehna,

Tasalli bhi Usse Dena Yeh Mumkin Hai Main Laut Aau,
Magar Yeh bhi Usse Kehna,Galat Fehmi Mein Mat Rehna,

Tumhara Tha,Tumhara Hoon,Tumhara Hi Rahoonga Main,
Mere Baare Mein Is Darja Galat Fehmi Mein Mat Rehna,

Mohabbat Ka Bharam Toota Hai, Ab Chhup Chhup k Rote Ho,
Tumhe Maine Kaha Tha Na,Galat Fehmi Mein Mat Rehna,

Bacha Lega Tujhe Sehra Ki Tapti Dhoop Se,
Kisi Ki Yaad Ka Saaya,Galat Fehmi Mein Mat Rehna.

zharonke se hi sahi humein aapke ghaav dikh gaye

zharonke se hi sahi humein aapke ghaav dikh gaye
likhne aaye the jahan ishq wahin dard likh gaye
afsos ke aapko bhi mohabbat nahi mili ab talak
humari khoj mein bhi ab barson beet gaye
humdardi ki nahi humein humraaz ki talaash hai
humraahi ka saath likhna shayad khuda bhul gaye
mere dasht se koi vaasta na tha jahan aap bhatke
main samander se pukarti rahi par aap banjar ki oar chale gaye
kisko maloom hai yahan mohabbat ki seerat aur surat
iss basti se woh mohabbat ke parinde udd gaye
nazdeekiyon mein izafa karne aapse hum aage chale
humein thukara kar,aap gair ke pehlu mein chale gaye.

Saturday, April 5, 2008

Koi deewana kehta hai

Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai
mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai



Muhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi
yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai

samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta

Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka
mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama

Rakhey Khuda Ne Do Raastey

Rakhey Khuda Ne Do Raastey Mujhe Aazmaney Ke Liye
Woh CHor Dey Mujhe Ya Main Chor doon Usey Zamaney Ke Liye

Kese maang Loon Rab Se Usey Bhool Janey Ki Dua...
Hath Uthtey Nahi Hain Dua Mein Usey Bhool Janey Ke Liye

Nahi Ki Zindagi Mein Maine Koi Bhi Neki...
Par Perhi Hain Chup Ke Kuch Namazein Usey Pane Ke liye

Nahi Hai To Na Sahi Wo Qismat Me Meri...
Per Ek Moqa To Dey Usey Aey Rab Ye Ansoo Dikahne Ke Liye

Bikher Rahi Hai Meri Zaat Usse Kehna

Bikher Rahi Hai Meri Zaat Usse Kehna
Kabhi Mile To Ye Baat Usse Kehna...

Wo Sath Tha To Zamana Tha Humsafar Mera
Magar Ab Koi Nahi Hai Mere Sath Usse Kehna...

Usse Kehna Ke Bin Us Ke Din Nahi Kat'ta
Sisak Sisak Ke Kat'ti Hain Raat Usse Kehna...

Usse Pukaron ke Khud hi Pohanch Jaon Uss ke Pass
Nahi Rahe Wo Halat Usse Kehna....

Agar Wo Phir Bhi Na Loatey, To Aey Meharbaan Qasid
Hamari Zest Ke Halat Usse Kehna...

Har Jeet uss ke Naam Kar Raha Hon
Mein Maanta Ho Apni Haar Use Kehna...

Thursday, April 3, 2008

Ehsass ek premika ka apne premi se

jaise apna he chor kar chala gaya hai
uski raaho par intzar hai uske aane ka

yeh jaante hu bhi jab ayega
kitni sugate lekar ayega
mere liye iss say bari baat kaya hogi
jab woh mere se lipat jayga
or main ji bhar ke uss say payar karungi

uski chahat me pe main wari jau
woh jo kahe woh he kar du uske liye
uss par kar du sab kuch apna nayochawar

bus woh mujhe pyar kare or karta rahe
iss kadar kare ki uske baad payar ki pyass
jo hai kahtam hio jaye, fir se naye din se shuruat

har roz shingar kar soti hu main,
navarare par chaand ko dekh kar uski shakal aa jati hai

fir ja kar apna varat tor ti hu

uske khatir iss duniya me ji rahi hu main
woh nahi to kuch nahi hai meri dnuya me bus
tanhia hai meri jindagi me or akelapan jo mujh ko stata hai

"Mohabbat to nahi us ko"



Wajah koi nahi lekin .....
Woh mujh se har waqt naraz rehti hai ....
Kahin raste mein mil jaye .....
To nazren pher leti hai .....
Koi us se mera haal poochey.....
To us se rooth jati hai ....
Kabhi baaton baaton mein ....
Jo mera zikr aa jaye ....
Chali jati hai uth ker woh ....
Woh mujh se itna chidhti hai....
Ke ab to sochta hoon main ....
Kaheen mujh se ....
"Mohabbat to nahi us ko"

Wednesday, April 2, 2008

Kitne haseen the who pal

Kitne haseen the who pal,
Jinhe yaad karte hai hum har pal.
Kise pata tha ke yeh bhi din aayenge,
Jinme hum na tumhe payenge.

Jeete the hum tab bhi aur jeete hain aaj bhi,
Bas itna hai ke bhool gaye jeene ka maqsad hi.
Khwaab tab bhi dekhte the , Khwaab aaj bhi dekhte hain,
Bas itna hai ke inme aaj khud ko tadapta dekhte hain.

Sham tab bhi hoti thi , Sham aaj bhi hoti hai,
Bas itna hai ke suraj ki jagah khud ko doobta dekhte hain.
Chand aur tare jab bhi the , Chand aur tare aaj bhi hain,
Bas itna hai ke inki roshni me khud ko jalta dekhte hain.

Humrahi tab bhi tha, Humrahi aaj bhi hai,
Bas itna hai ke mera humsafar aaj tu nahi hai.....

Kis Baat Ki Mili Ye Saza

Khuda Mujhko Kis Baat Ki Mili Ye Saza Hai
Mujhe Khood Pata Nahi Ke Meri Kaya Khata Hai

Kis Se Kaho Bhala Gham Apni Bebasi Ka
Aanso Bhi Poche Ke Kaya Maajraa Hai

Achcha Banaya Hame Hi Kiu Tune Etna
Ke Achayi Se Uthya Sabhi Ne Faida Hai

Aanso Mere Ye Aye Aasman Tujh Se Poche
Achchon Ka Kiu Hota Bura Hai?

Kis Ka Yaqeen Ham Kare Bhala Ab
Apno Se Bhi Jo Mila Hai Wo Dhoka Hi Dhoka Hai

Mujhe Aazmaiga Kab Tak Bhala Tu
Mere Gham Ki Bata De Kaya Koi Dawa Hai

Mera Gunnah Bas Mujhko Bata De
Fir De Dena Jo Tujhko Deni Saza Hai

Malik Hai Moula Hai Bas Tu Hi Eak Aasra Hai
Tujhe Tu Mere ALLAH Her Baat Ka Pata Hai

Jo Bhi Mujhko Milty Hai Gham Es Jahan Se
Use Sahene Ka Saber Bhi Tujhi Se Mila Hai

Meri Her Mushkil Jab Jab Kisi Ne Badhayi
Sahara Mujhe Bas Teri Qudrat Ka Mila Hai

Elzaam Mujhko Jisne Bhi Diya Hai
Use Taofiq Dene Wala Tu Hi Khuda Hai

Khuda Mujhko Kis Baat Ki Mili Ye Saza Hai
Mujhe Khood Pata Nahi Ke Meri Kaya Khata Hai

Tuesday, April 1, 2008

Hum ne Dil ko laga ke dekh liya

Hum ne Dil ko laga ke dekh liya
Zakham seene pe kha ke dekh liya
Apna saathi na ban saka koi
Sab ko apna banaker dekh liya
Roshini phir bhi na hui ghar main
Hum ne Dil ko jala ker dekh liya
Woh jafaon se baaz aa na sake
Laakh aansu baha ke dekh liya
Woh bhi matlab ki baat karte hain
Un ko bhi aazma ke dekh liya
Meri Aankhon ne kehdiya sab kuch
Raaz aankhon main chhupa ke dekhliya
Hum ko zara bhi sakoon na mil saka
Un ki mehfil main jaa ker dekh liya ..!

Har tarannum mein mili hai



har tarannum mein mili hai teri aavaaz mujhe
ek hi naghma sunata hai har ek saaz mujhe,

ishq ka bhi koi anjaam hua kartaa hai
ishq mein yaad hai aaghaaz hi aaghaaz mujhe,

jaise viraane se takra ke palat ti hai sada
dil ke har goshe se aai teri aavaaz mujhe,

jo kisi ko bhi na chahe use chahna
umr bhar apni mohabbat pe raha naaz mujhe .