Thursday, April 24, 2008

Chand bhi tanha hai, Meri tareh

Chand bhi tanha hai, Meri tareh
Is virani raat mein, Qatil ki tareh

Ankho mein neend nahi Aati
Bistar par parhi hoon, Kafir ki tareh

So gaya jag sara
Phir bhi jaag rahi hoon, Saki ki tareh

Dil ki Dhakane, Badhne lagi hai
Kahi tarapkar na toot jaye, Ghungro ki tareh

Kitni mushkil hai zindgi
Phir bhi kat jayege, Jugnoo ki tarah

Manzil jitni door hai
Chahat bhi adhoori hai, Armano ki tarah.

Jitna khudko samjha maine
Tanha thi, Tanha reh gayi, Khawish ki tareh....!

No comments: