Tuesday, April 22, 2008

dard kyaa hota hai bataayeNge kaisi roz

dard kyaa hota hai bataayeNge kaisi roz
kamal ki Ghazal tumko sunaayeNge kaisi roz

thi unki yeh zidd ke maiN jaauN unko manaane
mujhko yeh veham tha voh bulaayeNge kaisi roz

Allah qasam maine to socha bhi nahiiN tha
voh "itnaa" mere dil ko dukhaayeNge kaisi roz

har roz aayi'ne se yahi puuchta huuN maiN
kya rukh pe tabbassum bhi sajaayeNge kaisi roz..?

udne do in pariiNdoN ko aazaad fazaa meiN
tumhaare hoNge agar lauT hi aayeNge kaisi roz

apne sitam ka dekh lena khud hi asar tum

zakhm-e-jigar tam'aam dikhaayeNge kaisi roz

jo peete rahe yuuN hi dosto
hum keh rahe haiN jaan gaNwaayeNge kaisi roz

No comments: