Tuesday, April 1, 2008

Hum ne Dil ko laga ke dekh liya

Hum ne Dil ko laga ke dekh liya
Zakham seene pe kha ke dekh liya
Apna saathi na ban saka koi
Sab ko apna banaker dekh liya
Roshini phir bhi na hui ghar main
Hum ne Dil ko jala ker dekh liya
Woh jafaon se baaz aa na sake
Laakh aansu baha ke dekh liya
Woh bhi matlab ki baat karte hain
Un ko bhi aazma ke dekh liya
Meri Aankhon ne kehdiya sab kuch
Raaz aankhon main chhupa ke dekhliya
Hum ko zara bhi sakoon na mil saka
Un ki mehfil main jaa ker dekh liya ..!

No comments: