Friday, April 25, 2008

kya karen








dil gaya tum ne liya ham kya karen
jane wali chiz ka gam kya karen
pure honge apne arman kis tarah
shauq behad waqt hai kam kya karen
baksh den pyar ki gustakhiyan
dil hi qabu main nahin, ham kya karen
tund khu hai kab sune vo dil ki bat
aur bhi baraham ko baraham kya karen
ek sagar par hai apni zindagi
rafta rafta is se bhi kam kya karen
kar chuke sab apni-apni hikmaten
dam nikalta hai ai mere hamadam kya karen
dil ne sikha sheva-e-beganagi
aise namuharim ko muharim kya karen
mamala hai aj husn-o-ishq ka
dekhiye vo kya karen ham kya karen
kah rahe hain ahal-e-sifarish mujhse
teri qismat hai buri ham kya karen

No comments: