Wednesday, April 16, 2008

Unse mohabbat ki hain


Unse mohabbat ki hain yehi is dil koh samjhaaye jaate hain,
Kaanto seh parhez nahi, unki kami seh ghabraaye jaate hain,

Dooriyaa aapki hume har lamha yaad dilaaye jaate hain,
mushkil safar mein aapki yaado ki chaadar lehraaye jaate hain,

Unke bataaye raaste par khadmo koh behosh chalaaye jaate hain,
ummeed ki leher jagaayi unhone, ki kinaare seh takraaye jaate hain,

Ashiqo ki khadar nahi zamaane mein ki unhe tadpaaye jaate hain,
Mohabbat karne waalo ke har taraf janaaze utaaye jaate hain

No comments: