Saturday, May 3, 2008

ek Phool Ko Chunane Ke Khaatir

Hum Kaise Pagal Hote The
ek Phool Ko Chunane Ke Khaatir

Kaanton Se Zakhmee Hote The
Jo Phool Jholi Main Aa Girtaa

Usse Chhune Se Dar Jaate The
Hum Kaise Pagal Hote The

Kai Dhundale Aaino Main Apna
Hum Aks Sa Dhoonda Karte The

Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki
Muthi Main Daba Kar Rakhte The

Hum Kaise Pagal Hote the
Jab Sarak Par Chalna Hota Tha

Hum Kashti Le Kar Chalte The
Aur Beech Bawar Jane Ke Liye

Hum Paidal Nikla Karte The
Hum Kaise Pagal Hote The

Jab Barish Barsa Karti Thi
Hum Chhatri Main Chhup Jaate The

Aur Jalti Dhoop Main Nange Sir
Hum Chhat Par Uchhla Karte The

Hum Kaise Pagal Hote The
Jab Pass Bohat Wo Hota Tha

Hum Us Ko Dekh Na Sakte The
Jab Dur Chala Jata Tha Wo

Hum Ahhat Us Ki Sunte The
Hum Kaise Pagal Hote The

Jab Saari Duniya Soti Thi
Hum Chand Se Khaila Karte The

Jab Sari Duniya Jaag Uthi
Hum Phir Thak Kar So Jate The

Hum Kitne Pagal Hote The
Hum Kaise Pagal Hote The

Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain

hum aaj bhi waise bhole hai....................................!

No comments: