Tuesday, May 27, 2008

Hanste phool kaa chehra



!! Dhoop hai kya aur saaya kya hai ab malum hua !!
!! Ye sab khel tamasha kya hai ab malum hua !!

!! Hanste phool kaa chehra dekhun aur bhar aayi aankh !!
!! Apne saath ye kissa kya hai ab malum hua !!

!! Hum barason ke baad bhi unko ab tak bhool na paaye !!
!! Dil se unka rishta kya hai ab malum hua !!

!! Sahara sahara pyaase bhatake saari umar jale !!
!! Baadal ka ek tukda kya hai ab malum hua !!

No comments: