Friday, June 6, 2008

Zara tham tham k barsa kr


Zara tham tham k barsa kr
Abi itna na roya kr
Abi to door he manzil
Abi khud ko na tanha kr
Teri ankhein smandar hein
Smandar ko na sehra kr
Mera dil doob jata he
Mjhy aisy na dkha kr
Hawa mjh se kahe pagal
Na youn rastoon me betha kr
Wo aik din chohr jay ga
Usy itna na yad kia kr……



Aansu aa jate hain aankhon mein,
par labon pe hasi lani padti hai,
yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaro,
jisse karte ho usi se chupani padti hai.

No comments: