Wednesday, July 30, 2008

Kabhi Khud Sey Bhi Bhar Kar koi Dekha hai

Batao Dil Ki Baazi Mein Bhala Kya Baat Gehri Thi
Kaha Youn To Sabhi Kuch Theek Tha Par Maat Gehri Thi

Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Bhar Kar koi Dekha hai
Jawab Aaya Un Aanhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi

Suno Tum Nay Holey Sey Kaha Tha Kya, Batao Gey?
Jawab Aaya Kaha To Tha Magar woh Baat Gehri Thi

Deya Dil Ka Sumandar Us Ney Tum Ney Kya Kiya Us Ka?
Humien Bus Doob Jana Tha Keh Woh Soghaat Gehri Thi

Waffa Ka Dasht Kaisa Tha Batao Tum Pey Kya Beeti
Bhatak Jana Hi Tha Hum Ko Wahan Par Raat Gehri Thi

Tum Us Key Zikar Par Kyun Doobey Jatey Ho Khyaalon Mein
Rafaqat Aur Adawat Apnii Us Key Saath Gehri Thi

Nazar Aaya Tumhien Us Ajnabii Mein Kya, Batao Gey ?
Suno Qaatil Nigaahon Ki Woh Zalim Ghaat Gehri Thi

Hum Ro Parey

Hum Ro Parey


Be atebaar waqt per jhinjila ke ro parre

Kho ker kabhi usse to kabhi Paake ro parre

Khushiyan humare paas kahan mustaqil rahin

Bahar kabhi hanse to Ghar Aa ke ro paree

Kab tak kisi ke sog main royenge beth ker

Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parre

Saturday, July 26, 2008

sochta hoon usy neend bhi aati ho gi


sochta hoon usy neend bhi aati ho gi

ya meri tarhan faqat aashq bahati ho gi
wo meri shakal mera nam bholany wali
apni tasweer say kya aankh milati hogi
sham hoty hi chokhat par jala kar shameen
apny palkoon par kayi khowab sulati hogi
is nai silwa bhi liay hon gay siya rang libas
ab moharam ki tarhan Eid mnati ho gi
hoti ho gi mery bossy ki talab mein pagal
jab bhi zulfoon mein koi phol sjati ho gi

Mujhe bahaar ke mausam se nahi kuch lena

Tumhara ishq Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamaam umr yehi aasra hi kaafi hai ...

Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura dena
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai ..

Mujhe bahaar ke mausam se nahi kuch lena
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai ..

yeh log kaun si manzil ki baat karte hain?
musaafiron ke liye tu raasta hi kaafi hai.

Friday, July 25, 2008

is se pehle kee bewafa ho jaaye...

is se pehle kee bewafa ho jaaye...

kyo naa aae dost hum juda ho jaaye...

tu bhi heere se ban gaya pathar...

hum bhee jaane kya se kya ho jaaye...

hum gar teri manzile naa ban paaye too...

manzilon tak ka raasta ho jaaye...

dair se soch me hai parwana hum saa...

raakh ho jaaye tere ishq me ya Fanna ho jaaye...

Aisi bewafi karne ko jee chahta hai

Kee mera khuda bhee mujhse Khafa ho jaye..

bandagi hum ne chhor dee dekho...

kya kare. jab log khuda ho jaaye..

Thursday, July 24, 2008

Ae KHUDA tu mujhe jawab de

Ae KHUDA tu mujhe jawab de
kyon wo chala gaya mujhko chod ke

hum to uski jhalak ke deewane the
uske chand se chehre ke parwane the

uski baaton ko dil lagai bethe hen
uska naam bar bar kehte hen

wo, jo bine bole baat samjha de
aur hume humise chura le
uske saath hum apne sapne saja le

aaj is tanhai me rota hai ye dil
tujhko bulata hai ke ek dafa mil

tum na ae, ae gi tumari yaad hume
tumne chod diya, chodenge nahi ghum hume

tere bin zamane ka samana na kar paen gen
tere bin hum yun hi duniya se chale jaen gen

ye sun kar tum meri kabar pe mat aana
na hi koi phool lekar koi ansoo bahana

kyon ke hum tujhse apna rishta tod lenge
mera KHUDA tera saath kisi aur se jod denge...!

Aurat Dekhti Rah Jati Hai

Aurat Dekhti Rah Jati Hai
Aurat Ki sari zindagi ki Mehnat
Wafa Ki Putli Ka her Damm Razi Rehna
Aur Mard Ke Aik Lamha ki Ghalti
Aurat Dekhti Rah Jati Hai Aurat Ki Bewafa Se Muhabat

Uss Ki Aulaad Ki Khidmat
Aur mard Ke Aik Qadm Ki Larzish
Aurat Dekhti Rah Jati Hai
Aurat Ka Khamoshi Se Jeena

Mard Ki Zara Sii Khushi Ke Liay
Jeewan Tyaag Dena
Aur Mard Ka Aik Talakh Jumla Main
Sab Kuch Thukra Dena Aurat Dekhti Rah Jati Hai Lakin
Phir Ke Tersty Kanoon Mian
Mard Ka Aik Muhabat Bhara Jhuuta Julma Aur Wada

Janey kyon yeh saza khatam nahi hoti,

Janey kyon yeh saza khatam nahi hoti,

Meri aankhon ki yeh nami khatam nahi hoti,

Tere phool sey Aaraz ko chhona saza thehari,

Abhi bhi un kanton ki chubhan khatam nahi hoti,

DiL ko jo Aag lagaye teri judaai ney,

sawan mein bhi jalan os ki khatam nahi hoti,

Buhat lambi hain yeh gham ki kaali raat,

Roshni ko tarsa hoon yeh siyaahi khatam nahi hoti,

Talbe mout ki bhi intaha kar chuka hoon WaSeE,

Janey kyon yeh zindagi ki raah khatam nahi hoti

Tuesday, July 22, 2008

Mohabat ke bina zindagi fizool hai

Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai

Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai...


Mat kar mere dost hasino se mohabbat
vo aankho se waar karti hain

maine inhi aankho se dekha hai
ki vo kitno se pyaar karti hain


Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,

Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai ...


Nazar ne nazar se mulaqat kar li,
rahe dono khamosh par baat karli…

Mohabbat ki fiza ko jab khush paya,
in aankhon ne roh roh ke barsaat kar li…


teri har ada mohabbat si lagti hai,
1 pal ki judaai muddat si lagti hai,

pehle nahi soch tha ab sochne lage hai hum,
jindagi k har lamho me teri zarurat si lagti hai


Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,

afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..

Tarasti He Meri Aankhe

Tarasti He Meri Aankhe,
Aapke Chahre Par Hasi Dekhne K Liye....

Taraste Mere Honth,
Aapke Labo Ko Chune K Liye....

Tarasti He Meri Suni Bahe,
Aapki Baho K Liye....

Tarasti He Meri Sanse,
Aapki Sanso K Milen Ke Liye....

Taraste He Ye Badal
Hum Dono Ko Bhigone K Liye....

Tarasti He Ye Hawa,
Hamari Ruh Ko Ek Karne K Liye....

Tarasti He Meri Ye Aawaj,
Tera Naam In Vadiyon Me Gujaane K Liye....

Tarasti He Meri Jaan,
Sirf Aap Ko Paane K Liye....

Monday, July 21, 2008

Sawaal Puche Jaye To Jawaab Nahin Milta



Sawaal Puche Jaye To Jawaab Nahin Milta

Waqt Se Maango To Hisaab Nahin Milta
Hansino Se Maango To, Piyaar Nahi Milta
Binaa Husn Ke Ishq Ka, Khiitaab Nahi Milta
Dil To Miltey Hai, Dil-E-Betaab Nahi Miltaa
Andhero Main Jo Nikley, Vo Aaftaab Nahi Milta
Gam-E- Ishq Choopane Ko Nikaab Nahi Milta
Raat To Ho Jati Hai, Magar Khuwaab Nahi Milta
Dost Mil Jaatey Hai, To Umair Nahi Milta
Anjaam Mil Jaatey Hai, To Aagaaz Nahi Milta

Achhaa nahi ke mai use be-wafa kahoon


Muje Is baat khafa nahi hoo.. , shikwa nahi mujhe
Mere qareeb reh ke bhee wo samjha nahi mujhe
Achhaa nahi ke mai use be-wafa kahoon
Uss ne to mohabbat se bhi dekha nahi mujhe

jaisey kee mai mil gaya tha use rah mai para
pathar tha kee heera kabhi parkha nahi mujhe
Wo humko dhoondte rahe € ’¥ Gairo kee bheer me..
Kee mai to uske apno me tha.. Usne jaana nahi mujhe..

Jaane uski talaas me, mai usko mila nahi
ya uss ne jaan boojh ker payaa nahi mujhe
Ab roote hai wo€ ’¥ Jab mujhko hai kho diya
Jab thaa uske paas to ne kabhi sanbhal ke rakha nahi mujhe

Thursday, July 17, 2008

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe hum ne pukara nahin

meri nockamixon ka itna bhi gham na kijiye
agar aap jeete hain to main haar nahin

ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
Maine abhi aapka gam dil se utaaa nahin

tere bin youn Kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai aaj bhi hai,kinaara nahin

kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansoo hai mera ye koi toota hua taara nahin

kisco gale laga ke rooyen na-murad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin

mareez-e-ishq hai tamanna khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin

wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin

itna hai bad-naseeb "Dill" ka ye jaha.n
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin

*Mila Wo Bhi Nahi Karte *…**

*Mila Wo Bhi Nahi Karte *…**


Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte
Wafa Wo b nahi karte, zafa Hum b nahi karte
Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte
Kisi Morr pe dikh jaate hai wo aksar
Tehra Wo b nahi karte, Ruka Hum b nahi karte
Jab b dekhte hain Unhe, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
Lekin!!! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya

"Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

Pass reh ker Juda si lagti hai

*Pass reh ker Juda si lagti hai
Zindagi Aab bewafa Si Lgti Hai*

*Mein Tumhare beghair hi Jee Loon Ga
Ye Dua bad,Dua si Lagti Hai*

*Naam Is ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon ki Khata Si lagti hai*

*Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai*

*PYAAR Karna hi Jurm Hai Shaid
Aaj DUNYA khafa Si Lagti Hai*

*Zindagi Pay Aik Khauf Sa Taarri Hai
Teri Yadoon Ka Aik Azaab Sa Jarri Hai*

*Bhullana Tujhay Iss Qadar Nahi Hai Aasan
Aik Umer Tere Naam Pay Guzaari Hai*

*Thakk Kar betha Hai Yahan Kaun bhaala
Khwahishon Ka Safar Abhi Jaari Hai*

*Lagg Kar Deewar Say Nidhal Sa betha Hai
Woh Jiss Nay Ro Ro Kar Raat Sarri Guzarri Hai*

*Ashako Nay Ab Aankho Ka Saath Choor Diya Hai
Itna Rooya Hoon Main K Aan*

*Ye sab Teri Mohabbat Ka Kasoor Hai
Sab khoo Kay bhie Dil teri Yaad mai Tarri hai*

Tuesday, July 15, 2008

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !
Pooch kar mera pata, waqt bekaar na karo,
Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !

Har taraf dhund hai, jugnu hai na chirag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !
Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !

Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon phizaon mein bikhar jaaoonga !
Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga ...!

dard ko lafzon me dhaal kar har nagma bana lete hai

Raat ki khamoshi mein kuchh gunguna lete hai
dard ko lafzon me dhaal kar har nagma bana lete hai

ashq toh aakhon se yunhi nahi behte hai
hawa ke anchal se unko dil mein utar lete hai

tanhaai ki roshni hai itni mash-hoor
ke hum saare diye bhuja lete hai

ban baithe the unke pyaar mein itne deewane
ke ab baat be-baat muskura lete hai

poochhta hai jab koi wajah iss dard ki
toh reit mein tera naam likh likh ke mita lete hai

ki jisne bewafai woh toh ho chuke kisi aur ke
aur bewafai ka ilzaam hum par laga lete hai.

Mein ne Poocha

Mein ne Poocha kesey ho
Badley Ho ya wesey ho
Roop wohi, Andaaz wohi
ya phir is mein koi kami

Hijr ka kuch ehsaas to hoga
koi tumharey pass to hoga
mein Bichra ye majboori thi
kab manzoor mujhey Doori thi

saath Humara kab choota hai
Rooh ka Rishta kab Toota hai
Aankh se jo aansu Behtey hain
Tum ko khabar hai kia kehtey hain

mein ne kaha aawaz tumhari
aaj Bhi hai Humraaz Hamari
Phool wafa k khil jaain ge
ik Din Phir Ham mil jaain ge

Apne chehre se in julfo ko hatao to zara..

Apne chehre se in julfo ko hatao to zara..

Mai kaun hoo tera... mujhe batao to zara..

Rootha hua hoo to kya hua... Mai maan jaauga..

Bus ek baar hume dekh ke muskurao to zara..



Mai chala gaya to kya.. Door nahi hoo abhi bhee..

Mai fir laut ke aauga.. Tum bus ek baar bulao to zara...

Mai pyar ka pyasa hoo.. mujhe pyar chahiye..

Jhoota hee sahi.. ek baar.. Bus ek baar .. Jatao to zara..

Monday, July 14, 2008

Wo poochte hai mere na rone ka shabab

Badi muddat se maine apne dil ko samjhaya hua tha..

Wo phir yaad aane lage.. Jise badi mushkil se bhulaya hua tha..

Wo poochte hai mere na rone ka shabab....

Maine Ek Shaqs ko aankho me chupaya hua tha...



Unse milne ki ummeed to mujhe pehle hee na thee...

Aaj wo bhee toot gaya.. jo khwab maine barso se sajaya hua tha..

Tumhee batao.. kaise bachate hum apne dil ko...

Toda bhee usne... wo apna jo mere dil me samaya hua tha....

Apni aankho me unko chupane ki hum koshis karte rahe..

Apni aankho me unko chupane ki hum koshis karte rahe...
Par wo the ki roz meri aanko se ashq ban ke ubharte rahe..
Unse bichar ke aaj bhee saanse chalti hai magar...
Hum Roz jeete rahe roz hum marte rahe...



Us ek mohabbat ne tadpaya hume kuch is kadar dekho....
Ki umar bhar hum Nafrato se nahi... mohabbato se darte rahe...
Khud se waada kiya unhe bhool jaane ka kitni baar humne....
Aur roz khud hee apne wade se mukarte rahe..

Pa ke daga aur fareb zamane me reh gaye


Pa ke daga aur fareb zamane me reh gaye

Hum dosti ka farz nibhaane me reh gaye
Palak jhapkte duniya humse aage nikal gayi
Hum dosto se haath milaane me reh gaye
Dekhte dekhte ho gaya wo aur kisi ka, aur
Hum apne dil ko samjhane me reh gaye,
Duniya apni ujaad li unko paane ki chah me
Aur woh apna ghar basaane me reh gaye,
Hamare saare rishte unse shuru unpe khatam
Wo hamari dosti ko aazmane me reh gaye
Chhor diya unko unki khusi ki khatir dosto
Hum phir gumnaam veeraane me reh gaye..

Haath choote bhi to rishte nahi chora kerte



Haath choote bhi to rishte nahi chora kerte

Waqt ki shaakh se lamhe nahi tora kerta
Jis ki awaz mein silwat ho, Nigahon mein shikan
Aisi tasweer ke tukre nahi jora kerte
Lag ke saahil se jo behta hai use behne do
Aise dariya ka kabhi rukh nahi mora karte
Jagne per bhee nahi aankh se girte sapne..
Is tarah khwabon se saanse nahi joda kerte
Saza jeene ki mila kerti hai thori thori
Jane walon ke liye dil nahi thora kerte...

Sunday, July 13, 2008

Manzur Nahi Thi Tumse Judai

Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Bankar Chali Thi Tere Aangan Mein,

Chhor Aaye Tha Saari Khushiyan Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Ek Anmol Rishta Tha Tumse Bikher Diya Tumne Bewafa Iss Duniya Mein,

Aur Kya Mange Hum Khuda Se Dard Ke Bhwar Mein Dubo Diya Tumne
Kuch Farq Nahi Hai Humhe Jab Tumne Bikar Di Meri Jeevan Ki Khushayan,

Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Banker Chali Thi Tere Aangan Mein
Saaton Vachan Tak Saath Na Diya Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein,

Dekhkar Chup Zuban Na Kahi Aankhon Ki Ehsaas Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Main
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein

Thursday, July 10, 2008

hum bhi dil laga ke dekhenge

ek baar yeh gunah karke dekhenge
hum bhi dil laga ke dekhenge

suna hai mohabbat zindgi tabah karti hai
hum bhi khud ko mita ke dekhenge

suna hai ishq ek aag ka dariya hai
hum bhi khud ko jala ke dekhenge

suna hai raaten karwaton me guzarti hain is pyar me
hum bhi apni neende uda ke dekhenge

suna hai ek ajeeb sa nasha hai yeh chahat
hum bhi apne hosh gavaan ke dekhenge

suna hai kho jate hain aksar pyar karne wale
hum bhi khayalon ki mehfil saja ke dekhenge

Sittam yeh hai vohi deta rahaa sadaa mujh ko

Sittam yeh hai vohi deta rahaa sadaa mujh ko,
Voh aik shakhs pathar banaa gya mujh ko,
Thakey badan kay kinaaron mein qaid hoon varna,
Na rok sakta pahaadon ka silsilaa mujh ko,
Voh main sahi koi nazar aaye tou mujh jaisaa,
Gubaare waqt kabhi aaina dikhaa mujh ko,
Ghirey rahe merey atraaf nitt naye baadal,
Fareb deti rahi ummar bhar havaa mujh ko,
Banaa rahaa hoon har aik rukh se sham ka manzar,
Padaa hai doobtey ranggon se vaasta mujh ko,
Kahin yeh na ho bikhar jaoon tere daaman par,
Main khaak hoon tou zaraa dekh kay udaa mujh ko,

Tuesday, July 8, 2008

Tum Bin Na Sanam Rah Paaungi

Main Lakh Khafa Ho Jaun Magar Tum Bin Na Sanam Rah Paaungi !!
Kahin Door Aagar Tum Chale Gaye Main Jeete Jee Marr Jaaungi !!

Tum Aksar Mujhse Kahte Ho, Main Pyaar Tumhen Kyun Karti Hun !!
Teri Har Dhadkan Hai Saans meri, Bus Itnaa Hi Kah Paaungi !!

Meri Duniyaa Hai Teri Chaahat, Mujhe Dard Kabhi Na Dena Tum !!
Joh Choat Lagi Is Seene Pe, Main Ashkon Main Bah Jaaungi !!

Mere Dil Ki Gahraai Main Tu, Mere Jism Ki Parchai Main Tu !!
Main Jee Na Saki Tere Liye Agar, Tere Liye Sanam Mar Jaaungi !!

Mere Sath Hamesha Rahna Tu, Mujhko Toh Hai Teri Aadat !!
Kahne Ko Saath Jahan Hai Par Teri Doori Naa Sah Paaungi !!

Tu agar bewafa hai to

Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai...
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai'
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai...

...................................

Dil mein ek dard liye jiye ja raha hoon,
Teri mohabbat ka jaam piye ja rahan hoon,
Na chahte huye bhi ye kaam kiye jaa raha hoon,
Na jane khud ko kaun si manzil par liye ja raha hoon.

...................................

Teri judai bhi hamein pyaar karti hai,
Teri yaad bahut bekrar karti hai,
Woh din jo tere sath guzare the,
Talash unko nazar bar bar karti hai.

...................................

Agar jindagi mein judai na hoti,
Toh kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Sath gujara hota har lamha,Toh sayad risto mein itani gahrai na hoti.

Monday, July 7, 2008

*Dil Mein Kya Hai Tere Yeh Jaanta Hoon*

*Mujhe Kyon Doori Ka Ehsaas Dila Rahi Ho,
Kyon Door Jaa Rahi Ho, Kyon Muskura Rahi Ho,
Kya Khush Ho Tum Bhi Ya Meri Tarah Aansoon Baha Rahi Ho,*

*Dil Mein Kya Hai Tere Yeh Jaanta Hoon Main Bhi,
Par Lagta Hai Ke Tum Bhi Meri Tarah Kuch Chhupa Rahi Ho,
Pyar Hai Humari Zindagi Par Chhod Ke Ja Rahi Ho,
Kyon Aaj Mujhe Is Gam Mein Ab Aur Tadpa Rahi Ho,*

*Aajaana Jaldi Se, Ke Dil Lagta Nahi Hai Tere Bin,
Hume To Tum Udaas Karke Jaa Rahi Ho,
Pyar To Hai Magar ,Is Pyar Mein Tadpa Rahi Ho.*

*Rula diya aaj humein suraj ne dhalte huye*



*Teri talaash me nikle the hum haath malte huye

Rula diya aaj humein suraj ne dhalte huye*
*Zamana guzar gaya seene me dard palte huye
Kisi ghata se kaho hum ko ab utha le jaaye*
*Ke umar beet gayee hum ko jalte huye
Yahan to kuch bhi nahin hai siwaye kaanton ke*
*Kahan tak aa gaye hum is raaste par chalte huye
Sikha rahi hai zamane ko zindagi ka chalan
Guzarti hai rail deewane patrian badalte huye*

*** Jab Tum Sharmaati Ho ***

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,

Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,

Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,

Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,

In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
" Tum mere HUMSAFAR ho", jab keh kar jaati ho.

dosti pehli baarish ki boondo mein hai

dosti pehli baarish ki boondo mein hai

dosti khilte phool ki khushbu mein hai

dosti ugte suraj ki kirno mein hai

dosti har naye rishte ki umeed hai

dosti khwaab hai, dosti jeet hai

dosti pyaar hai, dosti geet hai

dosti do jahan ka sangeet hai

dosti har khushi, dosti zindagi hai

dosti roshni, dsti bandagi hai

dosti sang chalti hawaaon mein hai

dosti in barasti ghataaon mein hai

dosti doston kiwafaaon mein hai

haat utha kar jo maangi hai dua,

dosti ka asar in duaaon mein hai......

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga

Tuesday, July 1, 2008

Dil Me Lagi Tasveer Aapki Hata Nahi Sakte.

Dil Me Lagi Tasveer Aapki Hata Nahi Sakte.
Aape Saath Beete Lamhe Ko Bhula Bhi Nahi Sakte.
Jitna Hak Hai Mera Aap Per, Utna Hak Jata Bhi Nahi Sakte.
Bahut Taklif Bada Dard Hota Hai Diltutne Per,
Tute Dil Ki Aawaz Aapko Suna Bhi Nahi Sakte.
Aapke Sang Jeena Hai, Aapke Sang Rehna Hai.
Sab Sapne Hai Jinhe Haquiqat Bana Nahi Sakte.
Aap Dil Me Dil Ki Har Dhadkan Me Rehte Ho,
Isliye Dil Cheerkar Aapko Dikha Nahi Sakte,
Aap Aao Aur Samjhao Is Nadaan Dil Ko,
Hum To Lakh Chahkar Bhi Samjha Nahi Sakte.
Bahut Ehshaan Hai Aapke Meri Is Jindgi Per,
In Ehshaano Ka Karz Kabhi Chuka Nahi Sakte.
Her Saans Ke Saath Apko Hi Yaad Kartein Hain,
Ab Kitna Yaad Karte Hain Gina Bhi Nahi Sakte.

Hum dosti ka farz nibhaane me reh gaye

Pa ke daga aur fareb zamane me reh gaye

Hum dosti ka farz nibhaane me reh gaye

Palak jhapkte duniya humse aage nikal gayi

Hum dosto se haath milaane me reh gaye

Dekhte dekhte ho gaya wo aur kisi ka, aur

Hum apne dil ko samjhane me reh gaye,

Duniya apni ujaad li unko paane ki chah me

Aur woh apna ghar basaane me reh gaye,

Hamare saare rishte unse shuru unpe khatam

Wo hamari dosti ko aazmane me reh gaye

Chhor diya unko unki khusi ki khatir dosto

Hum phir gumnaam veeraane me reh gaye