Thursday, July 17, 2008

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe hum ne pukara nahin

meri nockamixon ka itna bhi gham na kijiye
agar aap jeete hain to main haar nahin

ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
Maine abhi aapka gam dil se utaaa nahin

tere bin youn Kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai aaj bhi hai,kinaara nahin

kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansoo hai mera ye koi toota hua taara nahin

kisco gale laga ke rooyen na-murad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin

mareez-e-ishq hai tamanna khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin

wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin

itna hai bad-naseeb "Dill" ka ye jaha.n
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin

No comments: