Monday, August 4, 2008

Jab raat ki naagin dasti hai

Jab raat ki naagin dasti hai
Nass nass main zehar utarta hai

Jab chand ki kirnain taizi say
Iss dill ko cheer kay aati hain

Jab aankh kay andarr hi aansoo
Zanjeeron main bandh jaatay hain

Sab jazbon parr chaa jaatay ho
Tab yaad bohat tum aatay ho

Jab dard ki jhanjharr bajti hai
Jab raqs ghamon ka hota hai

Khuwabon ki taal pay saaray dukh
Wehshat kay saaz bajatay hain

Gaatay hain khuwahish ki lae main
Masti main jhoomtay jaatay hain

Sab jazbon parr chaa jaatay hain
Tab yaad bohat tum aatay ho

Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney



Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney
Phir Bhi Khush Reh Kar Khood Ko Saza De Main Ney
Khushi Tu Na Mumkin Se Hai Mere Zindage Main
Phir Bhi Zindage Main Khusion Ko Panah De Main Ney
Dukh Sehney Ke Adat Se Par Gaye Hai Mujh Ko
Is Dukh Sey Jaisey Dosti Kar Le Hai Main Ney
Merey Dukhon Ko Aaj Tak Samjh Na Saka Koi
Phir Bhi Kise Sey Umeed Lagaye Hai Main Ney
Us Ney Merey Dukhon Ko Ek Bahana Samjha
Phir Bhi Us Ke Berukhi Ko Apna Liya Main Ney
Apney Ansu Or Gham Ley Kar Kahan Jaon Main ?
Jis Key Sath Yeh Sab Banta Tha Usey Hi Koh Diya Main Ney

Friday, August 1, 2008

Tere hothon pe main ek din

Tere hothon pe main ek din
Dewaanaa pyaar likh dungaa
Teri maoosom hichaki par
Kai uphaar likh dungaa

Tere bahake se kaalon par
Tere sharmaaye gaalon par
Tere khwaabon khayaalon par
Mera iqraar likh dungaa

Tere gardan ke dhaalon par
Ubharate sab sawaalon par
Main apane ishk ke gahare
Kai izhaar likh dungaa

Tere kaandhon ko thaamungaa
Tujhe khud main milaa lungaa
Teri dhadhakan ki har dhun main
Meri jhankaar likh dungaa

Teri in shokh saanson par
Chhupaa kar rakhi pyaason par
Teri dharati pe barasunga
Kaan kann pyar likh dungaa

Kabhi maawa na kaali ho
Teri har shab diwaali ho
Nassebon ki kitaabon main
nayaa sansaar likh dunga...!

KUCH SHAYARI APKE LIYE.........

Hum jee rahe the unka naam lekar,
woh guzarte the hamara salaam lekar,
Ek din vo keh gaye bhula do humko,
Humne pucha kaise?
woh chale gaye hath mein jaam dekar.......

Teri Bewafaee me dil bekarar hi na karoon..
Tu hukm De to tera Intazaar Hi Na karoon....
Tu Bewafa Hai to Kuch is kadar Bewafee Kar......
Ke Tere baad main Kisi Aur Se Pyaar Hi na Karoon...............

Muje dard-e-ishq ka maza malum hai,
Dard-e-dil ki inteha malum hai,
Zindgi bhar muskrane Ki dua na Dena muje,
Muje pal Bhar muskrane Ki saza malum hai...........

Judai ishq banti jaa Rahi Hai.
Meri yaad usko Tadpa Rahi hai.
Bahot Khush hoon main baazi haarkar bhi.
Mujko Thukrakar Ab Wo Pachta Rahi Hai.

Humari ankh me Paanee Bahot Hai.
Ke Is Duniya me Beimaani Bahot hai..
Mohabbt humne kee Hai,Humse Poocho...
Mohabbat me Pareshani Bahot Hai....

Juda Hone ko Nafrat ka Sahaara Le liya Usne...
Mohabbat Se bichadta to Dukh Itna Nahi Hota...
Us Bewafa Ka khwab aankhon me Liye chup-chap So jaao...
Zyada Sochna Pardes mein Achcha nahin hota...

Koi Nazre Churaye to badi taqleef hoti Hain..
Koi Daaman Chhuddaye To Badi Taqleef Hoti hai..
Kisise Pyar Kar per Ziyada bhi mat kar Aye Dost.. Kyoun ke....
Jab Dil ttutt at Hai to Badi Taqleef hoti hain.

Tere dard say dil abad raha
kuch bhol gai kuch yaad raha

naseba bhi kia rang laya
kahan ja kay ham ko milaya
apni wafa kay gul khil na paya
mil kay bhi tuj say ham mil na paya
dar e dil ham kesay sahieeeee
dor bhi ham kesay rahein
tera gham teray janay kay baad raha

jane wafa tujh ko kiya dein
dil keh raha hai dua dein
arman bhujay hain sapnay dhowa hain
mar mar kay ham tu zindah yahan hai
baykhudi mein ham kho gai
phir juda tuj say hogai
chahat ka jahan barbad raha
kuch bhol gai kuch yaad raha...

Mari mohabat hai wo, koi majboori to nahi.

Mari mohabat hai wo, koi majboori to nahi.
wo mujhe chahe, ya mill jaye zaruri to nahi..

yah kuch kam hai ke bassi he meri sansoon main.
wo samne ho meri ankhoon k zaruri to nahi.

jaan qurban meri, us ki har muskurahat pe.
chahat ka takaza hai yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.

ab to nikal ke ankhoon se yadoon main ja basi wo.
yahi hai qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.

us ke gar ki taraf utthate hi ruk jate hain kadam.
badnami se us ki darta hoon, koi mazburi to nahi.

kyo log madhoosh hote hain meri mahaq se.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.

dair karta hoon har kam main kahte hain dost mere..
kam aqali hei meri koi shaoori to nahi.

kyo sulgata hai apne aap ko aye Dil
dil bhi tera jan bhi teri, koi tan dori to nahi.

Itna Aasan To Nahi

Itna Aasan To Nahi

Pyar kerta hoon main tumse
Izhar kerna itna aasan to nahin

Samajhta hoon mushkil ko per
Samjhana itna aasan to nahin

Dil mein tu bahut kuch he par
Labon pe lana itna aasan to nahin

Khud wo sab dukh jante hue
Dusron ka dil dukhana itna aasan to nahin

Apnon ke zakhm dil mein chupa ke
Dil ka dhadkte rehna itna aasan to nahin

Umeedein to bahut hein shayed par
In umeedon ka poora hona itna aasan to nahin

Ankhon se sab jhalakta ho jab
Labon ka muskurana itna aasan to nahin

Pyar kya he janta hoon par
Dastan sunana itna aasan to nahin

Dil rota he zaar-o-zar par
Ankhon ka num na hona itna aasan to nahin

Logon ko umeedein hein mujh se per
Zamane ka ghulam hona itna aasan to nahin

Us ik sache din ko bhula kar
Duniya ke saath chalna itna aasan to nahin

Dil hi na raha ho jab phir
Dil ka toot jana itna aasan to nahin

Sanwaarna chahta hoon is zindagi ko mein bhi
par Is bhanwer ka sanwer jana itna aasan to nahin

Dua he k dil ko sakoon mile par
Derde dil ki dawa karna itna aasan to nahin..!

mohabbat main appka imitihaan lane kaa erdha nahi thaa



nancy

Meray dushmano say kaho koi

Meray dushmano say kaho koi
Kisi gehri chaal kay ehtamaan ka silsila hi fazool hai
Keh shikast yun bhi qabool hai
Kabhi hoslay jo missal thay, woh nahin rahay

Meray harf harf kay jism per
Jo ma’ani kay par-o-baal thay, woh nahin rahay
Kabhi titliyon, kabhi jugnu’on say sajay phirtay khayal thay
Woh nahin rahay

Meray dushmanon say kaho koi
Woh jo shaam sher-e-wisaal main
Koi roshni si liye huay kisi lub peh jitney sawal thay
Woh nahin rahay

Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamal thay, wo nahin rahay
Meray dushmanon say kaho koi
Woh kabhi jo ehd-e-nishat main
Mujhay khud peh itna ghuroor tha, kaheen kho gia
Woh jo fatehana khumar main
Meray saray kha’b nihaal thay
Woh nahin rahay

Kisi dasht-e-lashkar-e-sham main
Meray sur-khuroo mah-o-saal thay, wo nahin rahay
Keh bus ab to dil ki zuban per
Faqat aik qissa-e-haal hai ………
jo Nidhaal hai
Jo gaye dinon ka malaal hai
Meray dushmanon say kaho koi