Friday, August 1, 2008

Mari mohabat hai wo, koi majboori to nahi.

Mari mohabat hai wo, koi majboori to nahi.
wo mujhe chahe, ya mill jaye zaruri to nahi..

yah kuch kam hai ke bassi he meri sansoon main.
wo samne ho meri ankhoon k zaruri to nahi.

jaan qurban meri, us ki har muskurahat pe.
chahat ka takaza hai yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.

ab to nikal ke ankhoon se yadoon main ja basi wo.
yahi hai qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.

us ke gar ki taraf utthate hi ruk jate hain kadam.
badnami se us ki darta hoon, koi mazburi to nahi.

kyo log madhoosh hote hain meri mahaq se.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.

dair karta hoon har kam main kahte hain dost mere..
kam aqali hei meri koi shaoori to nahi.

kyo sulgata hai apne aap ko aye Dil
dil bhi tera jan bhi teri, koi tan dori to nahi.

1 comment:

d_lone_wanderer said...

Wah wah dost........kya likha hai....bahut badiya se jhakhme dil ka haal kalam se utara hai aapne