Friday, May 30, 2008

Barbaad Kar Daitey ...

Barbaad Kar Daitey ...

Mujhe is zindagi se qabal hi nashaad ker detey
Abhi tanha kiya hai to tabhi berbaad ker detey

kabhi terey dayaar-e-ishq mai abaad na hota
Dil-e-mehtaab ko aisa dil-e-berbaad ker detey

Her ek rabt khatam aur saari aas bhi tooti
Adhoorey khawab se ankhon ko bhi Azaad ker detey

Mujhe tum kuch bhi kertey mujh se faqat pyar na kertey
Jala ker raakh kertey zindagi berbaad ker detey

Kiye wadey nibhatey aur mujhe abaad ker detey
Sabhi wadey jo torey mujh ko bhi berbaad ker detey

Hamein maloom ager hota ke hona wasta gham se
To hum is dil ki nermiyon ko bhi folaad ker detey

Ager sab kuch mere naseeb ka likha nahi hota
To hum duniya ko bhi dil ki tarah berbaad ker detey

kahan ansoon ki yeh sohat ho gi

kahan ansoon ki yeh sohat ho gi
naye loog hoon gay nayi baat ho gi

main har haal mian muskurata rahoon ga
tumhari muhabat agar sath ho gi

chargoon ko ankhoon main mehfooz rakhna
bari door tak raat hi raat ho gi

parishan hain hum bhi parishan ho tum bhi
chaloo mehkaday main wahein baat ho gi

chargoon ki lo say sitaroon ki zo tak
tumhain main miloon ga jahaan raat ho gi

jahan wadiyoon main naye phool aye
humri tumhari mulqat ho gi

sadaoon ko alfaaz milnay na payein na badal
ghirein gay na barsat ho gi

musafir hain hum bhi muafir ho tum bhi
kisi more per phir mulaqat ho gi

Thursday, May 29, 2008

!! Dil ko todkar haste ho !!




!! Dil ko todkar haste ho !!
!! Dil ko tadapakar haste ko !!
!! Zindagi kum pad gayi mohobbat ke liye !!
!! Is mohabbat ka anjaam dekh kar haste to !!
!! Hum to ek pal na jee sake bin aapke !!
!! Aap hume ruswa karke haste ho !!
!! Har kadam par aa**pka sath diya dil ne !!
!! Aap to humari is nadaan mohabbat par haste ho !!*

Mohabbaton Mein......



Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na milay

Agar gale nahi milta to haath bhi na milay



Gharo pe naam they namon ke saath ohade thi
Bohat talaash kiya koi aadmi na mila



Tamaam rishto ko mein ghar pe chor aayee thi
Phir us ke baad mujhe koi ajnabi na mila



Khuda ki itni badi kainaat mein maine
Bas ek shakhs ko maanga mujhe wahi na mila



Bohat ajeeb hai ye kurbaton ki doori bhi
Wo mere saath aur mujhe kabhi na mila

Wednesday, May 28, 2008

Lutf woh ishq mein paye hain

Lutf woh ishq mein paye hain ke jee janta hai
Ranj bhi aisay uthaye hain ke jee janta hai...

Jo zamane ke sitam hai woh zamana jane
Tu ne dil itne dukhaaye hain ke jee janta hai...

Muskurate hoe woh majmaa agiyar ke saath
Aaj youn bazm mein aaye hai hain ke jee janta hai...

Inhi qadmoN ne tumhare inhi qadmo ki qasam
Khaak mein itne milaye hain ke jee jaanta hai

Saadgi, bankpan, agmaaz, shararat, shokhi
Tu ne andaz woh paaye hain ke jee janta hai...

Kaaba-o-deer mein pathra gayi dono ankhein
Aisay jalwe nazar aaye hain ke jee janta hai...

Tum nahin jaante ab tak ye tumhare andaaz
Wo mere dil mein samaaye hain ke jee jaanta hai

Dosti mein teri, darparda hamare dushman
Is qadar apne paraye hain ke jee janta hai...

'Daag'-e-warafta ko hum aaj tere kooche se
Is tarah khainch ke laye hain ke jee janta hai

~*~Kal raat janay kia hua~*~

Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay neend say
Kuch ashk milnay aa gai
Kuch khwab bhee tootay huay
Kuch loog bhee bhoolay huay
Kuch rasta bhatki hueeN
Kuch gerd main liptee hueeN
Kuch bay-tarah phaili hueeN
Kuch khaul main simti hueeN

Bairabt C soochain kai
Bhooli huee batain kai
Ik shaks kee yadain kai

Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hee likhta raha

Kal raat bhee woh raat thee
Kuch dair pehlay neend say
Main dair tak rota raha

*** WOH NAAM MERA HI TO HOTA HAI ***

*!! Haatheli par jise likhti mitati ho !!
!! Woh naam mera hi to hai !!
!! Mehndi jiske naam ki rachai hai tune !!
!! Woh naam mera hi to hai !!

!! Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!
!! Dil pe tere jo naam likha hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!

!! Tere honthon pe jo kaanp raha hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!
!! Dhadkan mein jo teri gunj raha hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!

!! Apna naam jisse joda hai tune !!
!! Woh naam mera hi to hai !!
!! Tere naam ke bina jo adhura hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!

Tuesday, May 27, 2008

Hanste phool kaa chehra



!! Dhoop hai kya aur saaya kya hai ab malum hua !!
!! Ye sab khel tamasha kya hai ab malum hua !!

!! Hanste phool kaa chehra dekhun aur bhar aayi aankh !!
!! Apne saath ye kissa kya hai ab malum hua !!

!! Hum barason ke baad bhi unko ab tak bhool na paaye !!
!! Dil se unka rishta kya hai ab malum hua !!

!! Sahara sahara pyaase bhatake saari umar jale !!
!! Baadal ka ek tukda kya hai ab malum hua !!

Friday, May 23, 2008

Tum Gaye Ghum Nahin ...

Tum Gaye Ghum Nahin ...



tum gaye ghum naheen aankh ye num naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen
gulistan de diye to ne in kharon ko
mere hisse main to ek shabnam naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen

humsafar hum se ab chor de umeedain
humsafar hum se ab chor de umeedain
saath hum kia denge hum main ab dum naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen

tum se shikwa karain yaar hum kis tarhan
tum to tum hi rahe hum magar hum naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen
kaun hai duniya main jis ko sab kuch mila

kaun hai duniya main jis ko sab kuch mila
mujh ko sab kuch mila bas mile tum naheen
tum gaye ghum naheen aankh ye num naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen

*Koi to hota?

*Koi to hota?

Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta*

*Koi to hota?

Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

Koi to hota?

Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

Koi to hota?

Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

Koi to hota?

Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?

Thursday, May 22, 2008

Zindagi Jo Mujhe Muddaton Aazmaati Rahi

Zindagi Jo Mujhe Muddaton Aazmaati Rahi
Har Lamha Meri Mushkilon Ko Badhaati Rahi

Jeene Ko To Main Yoon Hi Zindagi Jeeta Raha
Main Saans Leta Raha, Woh Karam Farmaati Rahi

Musibaton Ka Hans Kar Maine Saamna Jo Kiya
Woh Mujhpar Aur Bhi Musibatein Dhaati Rahi

Main Uski Nawazishon Par Muskuraata Raha
Aur Woh Tanzia Mujhpar Muskuraati Rahi

Zindagi Jeene Ka Saleekha Na Aaya Mujhe
Shayed Isi Liye Woh Mujhe Sataati Rahi

Ab To Baakhi Na Rahi Kisi Cheez Ki Talab
Des Parades Woh Mujhe Itna Phiraati Rahi

Kisko Rafeeq Samjhoon Aur Kisko Raqeeb
Apni Parchai Se Bhi Mujhe Daraati Rahi

Bhari Mehfil Mein Khud Ko Mehsoos Kiya Tanha
Mujhe Har Lamha Yeh Kiski Yaad Aati Rahi

Jab Bhi Qareeb Aata Hoon Batanay K Liye

Jab Bhi Qareeb Aata Hoon Batanay K Liye !
Zindagi Door Rakhti Hai Satanay K Liye !

Mehfilon Ki Shaan Na Samajhna Mujhay !
Main To Hansta Hoon Ghum Chupanay K Liye !

In Faaslon Ko Na Samjho Meri Be-Wafayi !
Main Door Hoon Tumse, Paas Aanay K Liye !

Mat Jano Haqeeqat Mere In Aansuon Ko !
Main To Roota Hoon Tumhein Rulanay K Liye !

Koi Gila Nahi Hai Mujhay Apni Barbadi Ka!
Main To Khaila Tha Aag Se Jal Janay K Liye !

Ab Duniya Kuch Bhi Kahay, Mujhay Parwa Nahi !
Main To Jeeta Tha Zindagi, Mar Janay K Liye

Dard itna badha kee dil ab dukhta nahi

Dard itna badha kee dil ab dukhta nahi

Zid bhee aisi dekho kee Khuda ke samne ye sir jhukta nahi

Roz shaam ko subah kee ummeede toot jaya karti hai

Fir bhee nayi ummeedo ka silsila rukta nahi

Aas paas hazaro kee bheer rehti hai aksar

Pata nahi kyo unme apna koi kabhi dikhta nahi

Pata nahi log mujhe padhte nahi hai ab

Ya shayad mai hee ab likhta nahi

Wednesday, May 21, 2008

Tujhe kia kahoon main aye zindagi

Tujhe kia kahoon main aye zindagi
teray aik pal ki khabar nahi
Main yaqeen karoon bhi to kis tarhan
teri shab ki koi sehar nahi
Meri khawishoon ka ye silsila hai
kahan talak ye khabar nahi
Ye safar saadii pay muheet hai
meri umar aik pehar nahi

Jahan aagahi k na jaal hoon,
wahan wahshatoon k zikar nahi
Yahan aagahi bhi azab hai
tujhay Aah ye bhi khabar nahi
Main shumar-e-ghum karoon kis tarah
mere pass aisa hunar nahi
Mera aaj hai sitam aashna,
mujhay kal say koi mafar nahi

Jahan do ghari ka sukoon milay
teri raah main woh shajar nahi
Main thakan say choor hoon is qadar
koi saya had-e-nazar nahi
Woh jo ashk-e-khoon say ho aashna
kaheen aisa deeda-e-tar nahi
Meray dil say barh k jala ho jo
yahan koi aisa jigar nahi

Teri kaj aadaiee sitam gari
koi ye batayea kidhar nahi
Tou hai baywafaiee ki dastaan
gila tujh say koi magar nahi
Tujhay chorna hai tou choor day
mujhay mout ka koi dar nahi
Woh andhair nagri hai gar koi,
ye bhi rahaton ka dagar nahi.....!!

Tuesday, May 20, 2008

shabnam ke katron mein

shabnam ke katron mein kaise khiza ke rang jhalakte hain
phoolo ke chehro se kushboo ke moti bikharte hain,

hawao ki rawani se aati hai sargam kar rimjhim
jab pani ke lehron se voh atkheliya karti aati hai,

pairon ke kitaron mein phir thandak bansane aati hai
jab suraj se mil kar sham suneheri ho jati hai,

kuch mausam sapne lagte hain kuch mausam apne lagte hain
par dost mile tum jaisa to sub mausam sache lagte hain,

zindgi ki tanha lehron mein jo dosti ke moti pirote hain
voh phoolon ki traha dil ki rahon ko mehkate hain,

Sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din......

Chehre par mere zulf ko phailaao kisii din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din

Raazon kii tarah utro mere dil mein kisii shab
Dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din

Pedon kii tarah husn kii baarish mein nahaa loon
Baadal kii tarah jhoom ke ghir aao kisii din

Khushbuu kii tarah guzro mere dil kii galii se
Phoolon kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisii din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaaye sitaare
Iss tarah merii raat ko chamakaao kisii din

Main apni har ik saans usii raat ko de doon
Sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din......

behte hoye aansoo

*behte hoye aansoo tera saath maangte hai*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*meri ye khali bahe tera haath maangte hai*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*gamo ke saaye kidher hum jaye*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*kaisi hai ye tanhayi jo mehfil main sataye*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*mere khamosh arman teri mulaqaat maangte hai*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*behte hoye aansoo tera saath maangte hai*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*aasma hai zamee hai dikhtey sabhi hai*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*jise dhonde aankhe wo sajan nahi hai*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*dil ki ye duwaye saath tere din raat maangte hai*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*akele hum jiye ja rahe hai *

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*saas kaise liye jaa rahe hai*

*$ *-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-* $*

*hayera zindagi ke sawal ye jine ki ejazat maangte hai*

Monday, May 19, 2008

Bewafa se wafa ki umeed kya karien

Bewafa se wafa ki umeed kya karien
Jise bhoole hi nahi use yaad kya karein

Jo chahta tha kare bhari mehfil mein ruswa hamein
Usi se yaaro hum ab Umeed kya karein

Poochta hai koi jab hum se haal mere is dil ka
Apni ye bebasi hum kisi se bayan kya karein

Kehte hain loog ki bhula de in hum unhein
Per dil mein jo yadein hain un ka kya karein

Jo diye hain zakhm us ne hamein baar baar
Un zakhmoun pe marham laga ker kya karein

Dil ko phir bhi hum ne samjha liya hai aye NAAZ
Per in aankhoun se behte ashkoun ka kya kaerin

*** NISHAANE DHOONDTE HAI ***

*** NISHAANE DHOONDTE HAI ***



*^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
$*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*$
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
!! Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hai !!
!! Naadaan hai guzre zamaane dhoondte hai !!
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^*
*$*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*$
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
!! Jab woh the..! Talaash-e-zindagi bhi thi !!
!! Ab to maut ke thikaane dhoondte hai !!
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
$*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*$
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
!! Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha !!
!! Aaj hue se deewaane dhoondte hai !!
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
$*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*$
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
!! Musafir be-khabar hai teri aankhon se !!
!! Tere shahar mein maikhaane dhoondte hai !!
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
$*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*$
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
!! Tujhe kya pata ae sitam dhaane wale !!
!! Hum to rone ke bahaane dhoondte hai !!
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
$*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*$
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
!! Unki aankhon ko youn na dekho !!
!! Naye teer hai nishaane dhoondte hai !!
^~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~^
$*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*$

Ye dil udaas hai bahut


Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do


Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do


Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi mera naam hi likh do


Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do

Saturday, May 17, 2008

*** AANKH MEIN HI REH JAYA KARE ***

Mujhko ruswa sar-e-mehfil to na karwaya kare
Kaash aansoo meri aankh mein hi reh jaya kare

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-**

Ae hawa maine to bas uska pata poocha tha
Ab kahani to na har baat ki ban jaya kare

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-**

Bas bahut dekh liye khawaab suhane din ke
Ab wo baaton ki rafaqat se na bahlaya kare

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-**

Ek musibat to nahi tooti so ab is dil se
Jis kayamat ne guzarna hai guzar jaya kare

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-**

Jiske khawaabo ko main aankho mein saja kar rakhu
Uski khushboo kabhi mujhko bhi to mahkaya kare

Friday, May 16, 2008

*** Hamari Adhoori Kahani ***

*** Hamari Adhoori Kahani ***



*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi,
Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay,
Wo Masjidon Pay Namazon Mei Duaa Karti Thi.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha Usko,
Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar,
Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei,
Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum,
Warna Wo Toh Mujhey Taqdeer Kaha Karti Thi..

MY Best SmS

Tum kya Jano sharab kese Pilayi Jati he
Kholne se pehle botal hilayi jati he
Fir awaz lagayi jati he
Aajao Darde Dilwalo
Yaha dard-e-dil ki dawa pilai jati he

~~~~~~~~~~
Kal na phir ye samaa hoga
Hum mein se kaun najaane kahaan hoga..?
Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein
Par bicchde Doston ka shayad hi koi nishaan hoga
~~~~~~~~~~
Shaam chirago se saja rakkhi hain..
Shart logo se laga rakkhi hain
Shayad AA jaye koi humse bhi zyada pyasa
Yahi sochkar thodi is bacha rakkhi hain....
~~~~~~~~~~
Juki nazarose ikrar mat karna,
Sir jukakar inkar mat karna,
Raat bhar tadpte ho kisiki yadome,
Aur Hume kahte ho pyar mat karna

KUCH DHUNDHTA HU MAIN

Toote howe khawabon mein haqiqat dhundta hoon
Pathar ke dilon mein mohabbat dhundta hoon
Naadan hoon mein ab tak yeh bhi nahin samjha
Bejaan buton mein ibaadat dhundta hoon

Mere jazbaaton ki keemat yahan kuch bhi nahin
Beimaani ke baazaron mein sharafat dhundta hoon
*Is ajnabi dunia mein koi bhi apna nahin
Gairon ki aankhon mein apni surat dhundta hoon

Umeed ki thi pyar ki bas yehi bhool thi meri
Girte hue ashkon mein apni hasrat dhundta hoon

*** ROSHNI KA KYA RONA ZINDAGI NA RAHI ***

*Dil Deewana tha kisike pyar ka,
Dil badal gaya mere usi yaar ka,*

*Dil mera toda usne aise mauke par,
Dil mera roya uske aise dhoke par,

Jispe aitbaar tha khudse bhi zyada,
Jane kya ho gaya ke badala kyu irada,*
*

* *Socha tha ki sath hum umra bhar nibhayenge,
Jane kya ho gaya ke sath na reh payenge,

Rahi na koi manzil raha na koi wada,
Ruswa he mohabbat ab ye mene jana,*
*

* *Zindagi me mere roshni na rahi,
Roshni ka kya rona zindagi na rahi.

Dil deewana tha kisike pyar ka,
Dil badal gaya mere usi yaar ka.*

Thursday, May 15, 2008

Chehrey pe apna dast-e-karam phairti huyi

Chehrey pe apna dast-e-karam phairti huyi
Maa ro padi hai sar ko merey choomti huyi

Ab kitney din rahoge tum doour mujh se jaan!
Thakti nahi hai mujh se yehi poochti huyi

Rehti hai jaagti wo meri neend keliye
Shor-o-ghul ko mujh se doour parey rokti huyi

Bechain hain kese wo merey chain keliye
Aatey huye dinoun ka safar sochti huyi

Kehti hai kesi kat-ti hai pardes mein teri
Aankhoun se apney ashk-e-rawaan phoonchti huyi

Har baar poochti hai ke kis kaam pe ho tum
Ghaur se wo sakhat haat merey dekhti huyi

khowahish hai ke chupke se mere dil

khowahish hai ke chupke se mere dil mien bhi smaaye koi

ya mai kisi ka ho jaaun ya phir mera hee ho jaaye koi

pyari pyari zulofoon ko chehre pe bikhraey koi

phir rekh ke ser ko kandhey pe dheerey se so jaye koi

kabhi pyar bhri baaten ho kabhi chote chote jhagre ho

jab kisi sey rothoon mai, bahut pyar se mnaye koi

mai bhee to kisi ko yaad karoo

meri in yadoon ko apne seene se lgaye koi

jise tohfe bhejoo phoolo ke koi to gulaab jaisa ho

mere bheje un pholon ko kitabo mien chupaye koi

Tuesday, May 13, 2008

My Best Shayri...


Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai
Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah
Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai


Aspne pyar ko chupana chaha par chupa na sake
Diwane dil pe kabu hum pa na sake
Aaj itne karib se gujar gaye wo
Phir bhi unka hath hum tham na sake



*Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna.....!!!



bahut pachtaye hai hum teri yaadon mein ro kar
bhool ja k ab teri baaton mein aur na aaenge
kya mila hai humae is mohabat me dard k siwa
khata ab ye kabhi jindagi me dubara na dohrayenge

Mohabbat kya hai wo kabhi jaan na saka

Pyaar ka gham bezubaan hai is dil mein
Us ki mohabbat abaad hai is dil mein
Wo to kargaya bewafai hum se
Per us bewafa ke liye aaj bhi pyaar hai is dil mein


Mohabbat kya hai wo kabhi jaan na saka
Per apne liye wo jahaan banagaya hai is dil mein
Juda hone ka sabab kuch to bataya hota us ne
Aaj bhi us ki judai pe kai sawaal hai is dil mein


Wo tha eik ajnabi jise hum jaante na thee
Per jab hum ne dekha use kai khahishein wo jaga gaya is dil mein
Wo to aisa na tha per jab us ne ki DEV se bewafai
Kai ashk utar aaye aankhoun se is dil mein

Aaj mehfil mein voh be-naqaab aa gaya

Aaj mehfil mein voh be-naqaab aa gaya


Jam chalnay lage dil machalnay lagey
Chehray chehray par ranggo_shaaraab aa gaya
Baat kuchh bhi naa thee baat itni huee
Aaj mehfil mein voh be-naqaab aa gaya
Aik hee waqat mein unkay aaney say thaa
Chaandi ka samaa raushni kee kaa gumaan
Koi kehnay lagaa mahtaab aa gaya
Koi kehnay laga aaftaab aa gaya
Dilkashi kaya kahein,nazuki kaya kahein
Taazgi kaya kahein,zindagi kaya kahein
Haath mein haath uskaa aisay laga
Jaisay hathon mein gulaab aa gaya

Monday, May 12, 2008

Thaame Rakhna Haath Hamara Aise Hi


Thaame Rakhna Haath Hamara Aise Hi
Dete Rehna Saath Zindagi Bhar Aise Hi
Yu To Milenge Zindagi Mein Chahne Wale bahut
Milenge To Bas Hamare Jaise Nahi


Zindgi se hamne kabhi kucch chaha hi nahin
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahin
Jise paya use kucch yun kho diya
Jaise zindgi me kabhi koi aaya hi nahin

mujhe mere jaane ke baad

Wo kya yaad karege mujhe mere jaane ke baad

Wo milne kee kya dua karege mere jaane ke baad

Hamari khata thee jo rakhhi thee unse ummeed-e-wafa

Wo jinhe nahi hai gila mere naa hone kaa mere jaane ke baad

Khud ko rula kar, jinke labo pe hansi sajayi

Wo bujha gaya meri Qabr ka diya dekho

Itni iltzaa hai aee KHUDA kee naa ho usko guma

Kya kho diya hai usne mere chale jaane ke baad

Chale jaane ke baad

Saturday, May 10, 2008

Mera Dil Tujhy Yaad Kerta Hai

mera dil tujhy yaad kerta hai
milne ki phir se faryad kerta hai

lut aao phir se zindagi main
suna gher jisy koi aadaab kerta hai

bichray hoy do dil mile aese
jesy koi kisi ko qeed se azaad kerta hai

zara jee bhar k tumhe dekh to lon
dobara phir milne ki wo deed kerta hai

pyaar k badly mile dhoka ager
wo dil humesha zindagi barbaad kerta hai

Friday, May 9, 2008

kabhi ansu chupa chupa k roye


kabhi ansu chupa chupa k roye
kabhi Dastan e gham suna suna k roye
Raat katti hai intizar e yaad mai
Hum raat bhar taroon ko jaga jaga kar roye
Phir wo na aye raat ka wada kar kay
Hum tamam raat shama jala jala kar roye
Aaj raat un kay ane ki umeed thi hamain
Wo na aye hum ghar ko saja saja kar roye
Suna hai dua se hoti hai muraad puri
Hum sari raat haath utha utha kar roye

Kaash Koi Samjha Daita

Kaash Koi Samjha Daita


Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain

Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain

Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...

Thursday, May 8, 2008

Mera Haal-e-Dil


Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta
Suntay Hain Loog Per Koi Suna Nahin Sakta

Hawaoon Pay Likha Hai Main Nay Qissa Apni Hayat Ka
Kay Koi Lakh Chahay Bhi To Mitaa Nahin Sakta

Har Ek Ki Tamanna Hai Kay Phooloon Pay Guzaray Zindagee
Per Raah Main Paray Kantoon Ko Koi Hata Nahin Sakta

Dil Main Dukh Samooo Kay Kab Tak Hanstay Rahoo Gay,
Aankhoon Main Aaisay Aansowoon Ko Koi Chupa Nahin Sakta

Lakh Chahay In Mast Mailoon Main Gum Ho Jayay
Mager Beetay Huay Lamhoon Ko Koi Bhulla Nahin Sakta

Koi Rooth Jayay Tum Say To Mana Laina,
Kay Janay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta

Her Rooshan Cheez Ko Paa Lainay Ki Arzoo Na Ker
Kay Suraj Nikalta Hai Per Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nahin Sakta

Samander Ki Lehroon Pay Un Ka Naam Likhta Hoon
Kay Koi Aag Laga Bhi Day Per Jala Nahin Sakta...

Wednesday, May 7, 2008

~*~Mujhe Koi Rang Dia Hota~*~

Kitna bebas kar detey ho
Muje koi rang dia hota
Main un ki be-rang ankhon main bharta
Muje koi chehra dia hota
Main un be-chehron ko soonp deta
Muje marhan dia hota
Main un k zakhmon pe lagata na thakta
Muje maseehayi di hoti
Main apni apko waqf kar deta
Muje beenayi di hoti
Main shehar bher main taqseem kar ata
Muje hosla dia hota
Main tasali dene k qabil to hota
Muje mohabbat di hai
Aur.......
Aur kamzoor ker dia hia...!!!

*** WOH KISI ROZ IDHAR SE BHI GUZAR SAKTI HAI ***

**************--------------^--------------**************

Apni madhosh nigaahon se sawera karna,
Isi veeran shabistan mein ujala karna,

**************--------------^--------------**************

Woh to phoolon se bhi nazuk hai bahut der talak,
Jab bhi dekho to nazar uski utara karna,

**************--------------^--------------**************

Apni zulfon mein chupalo mujhko bahut udaas hoon main,
Roshni Chubhti hai aankhon mein adhera karna,

**************--------------^--------------**************

Yoon to har din teri khushboo se jawan rehta hai,
Aankh lag jaye to khawaabo mein bhi aaya karna,

**************--------------^--------------**************

Woh kisi roz idhar se bhi guzar sakti hai,
Tum na ek pal bhi nazar apni hataya karna,

**************--------------^--------------**************

Tumne baadal ki tarha dhoop chupani hai,
Tum har ek shaam use chaand dikhaya karna..!!!

**************--------------^--------------**************

Kis raat magar tum ko hum taad nhi karta

Kis raat magar tum ko hum taad nhi karta


Apno ko sanam aisay nashaad nhi karta
Yun chaahnay vaalon par be-daad nhi karta
Manzuur nhi hargiz mashuuq kee rusvaayi
Martay hain bhaley aashiq faryaad nhi karta
Tu tod salakhein gar hona hai rehaa taayar
Syaad aseeron ko azaad nhi karta
Shabby vassal kee jaane jaan har roz nhi aati
Shikvon mein abbas shabby yeh barbaad nhi karta
Din tou guzar jaataa hai rozi kay jhamelon mein
Kis raat magar tum ko hum taad nhi karta
Be-daad mein lazzat ho hai khaas ravish un kee
Kis din voh aazaabe nou, ijaad nhi karta
Pana hai sadaa tujh ko darkaar hai jurrat bhi
Be-qas kee farishtay bhi imdaad nhi karta

Tuesday, May 6, 2008

bhola nahi tere honto ki nami ko

bhola nahi tere honto ki nami ko
vo mehka badan vo sanson ki garmi ko

tere ehsaas se ubhre thay mere jazbat
suhanay thay mere din shuani thi raat
najane kab gham ki hawaa chaliiiiii...
badal kay reh gaye humare halaat..

rooth gaiin sab khushhiyaan humse
lag gaiin galay tanhaaiyaan humse
pattay bhi jharne lagay shaaks se
dil bhi bharr gaya ghummmmm se

tujhse her pal dooriyaaaaan rahin
milna chaha per majbooriya rahin
tu ne bhi samjh liya bewafa mujhy
kalaaiyoon main na ter choriyaan rahin

ye tu bas halaat ka taqaaza hai
tumhi bhi meri baat ka andaza hai
kon kehta hai bikhar gaii ho tum
abi tu kalliiiii taaaaaaaza hai


bhola nahii main teri hansi ko
vo chand pal ki khushi ko
bhola nahi tere honto ki nami ko
vo mehka badan vo sanson ki garmi ko

Meri aankhen uske noor se roshan hai

Mujh mein jo kuch acha hai sab uska hai.
Mera jitna bhi charcha hai sab uska hai

Uska mera rishta bada puraana hai
Mein nai jo kuch socha hai sab uska hai

Meri aankhen uske noor se roshan hai
Mein nai jo kuch dekha hai sab uska hai

Mein nai jo kuch khoya tha sab uska tha
Mein nai jo kuch paaya hai sab uska hai

Jitnee baar main toota hoon wo toota tha
Idhar udhar jo bikhra hai sab uska hai..............!

Meray humsafar abhi soach lay

Mujhay yaad koi dua nahi,
Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Abhi rasta bhi hai dhool main,
abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Main janam janam say naraz hoon,
main janam janam say udas hoon
Main kabhi bhi khul k hansa nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Tu hai khawab khawab pukarta,
meri ankh main nahi ashk bhi
Main k mudatoon say jiya nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Tujhay khushboon ki hai arzoo,
tujhay roshni ki hia justujoo
Main hawa nahi, main diya nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Tujhay ansoon ko pata nahi,
tujhay rutjagoon ka gumaan nahi
Tujhay is say aagay pata nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Kaheen choot sakta hai darmiyaan,
na zameen milay ge na aasmaan
Tujhay ra'asatoon ka pata nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Mujhay dhondta he phiray ga tu,
na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pay mila nahi,
meray hum safar abhi soach lay

Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan,
mera dard sun meray meharbaan
Meray pass waqt zara nahi,
meray hum safar abhi soach lay!!!!

Sunday, May 4, 2008

Ali tere alfaz yahan par likh raha hu

Aisa nahi ki humko mohabbat humein na mili

Jise chahte the woh ulfat humein na mili

Milne ko jindagi hum safar mile

Par unki tabiyat ki tabiyat nahi mili

Chehre me doosro ke tumhein dhundta raha

Surat nahi mili to kahi sirat na mili

Bhut der se aap aye to kaya kahu ?

Alfaz dhoond ne ki mohlat na mili

~~~Adhora Asfana~~~

Muhabat


Lafzoon Ke Behte Derya Se


Main Ne Ik Lafz Chunna Tha


Phir Jo Afsana Likhna Tha


Es Lafz Ko


Us Ka Unwaan Likha Tha


Lakin es Afsaney ko


Likhny Ki Muddat Se


Le Ke Ab Tak


Kai Kahanian,Kitnay Afsaney


Kai Jagg Bitian,Kitnay Ratt Jagy


Likh Daley


Mager Aj Bhi


Wo Afsana Adhora Hai


Jiss Ka Title MUHABAT Tha

Saturday, May 3, 2008

ek Phool Ko Chunane Ke Khaatir

Hum Kaise Pagal Hote The
ek Phool Ko Chunane Ke Khaatir

Kaanton Se Zakhmee Hote The
Jo Phool Jholi Main Aa Girtaa

Usse Chhune Se Dar Jaate The
Hum Kaise Pagal Hote The

Kai Dhundale Aaino Main Apna
Hum Aks Sa Dhoonda Karte The

Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki
Muthi Main Daba Kar Rakhte The

Hum Kaise Pagal Hote the
Jab Sarak Par Chalna Hota Tha

Hum Kashti Le Kar Chalte The
Aur Beech Bawar Jane Ke Liye

Hum Paidal Nikla Karte The
Hum Kaise Pagal Hote The

Jab Barish Barsa Karti Thi
Hum Chhatri Main Chhup Jaate The

Aur Jalti Dhoop Main Nange Sir
Hum Chhat Par Uchhla Karte The

Hum Kaise Pagal Hote The
Jab Pass Bohat Wo Hota Tha

Hum Us Ko Dekh Na Sakte The
Jab Dur Chala Jata Tha Wo

Hum Ahhat Us Ki Sunte The
Hum Kaise Pagal Hote The

Jab Saari Duniya Soti Thi
Hum Chand Se Khaila Karte The

Jab Sari Duniya Jaag Uthi
Hum Phir Thak Kar So Jate The

Hum Kitne Pagal Hote The
Hum Kaise Pagal Hote The

Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain

hum aaj bhi waise bhole hai....................................!

Friday, May 2, 2008

Main Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne

Main Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne
Sabaz Mosam Main Muje sard Hawa Di Us Ne

Pehle Ik Lamhe Ki Zanjeer Se Bandha Muj Ko
Phir Achanak,Wakat Ki Raftar, Barha Di Us Ne

Kaya Khabar Thi Wo Tohfe Mere Lotaye Ga
Main To Khush Tha, Kay Palatnay Ko Sadaa Di Us Ne

Meri Nakam Mohabat Muje Wapis Ker Di
Youn Mere Hath, Meri, Lash Thama Di Us Ne

Wo Janta Tha K Mout Muje Skoon Bakhshe Gi
Wo Sitam Gar Tha, Soo Jinay Ki Dua Di Us Ne

Us K Hone Se Thee, Sansain Meri Dugnee
Wo Jo Bicchraa To, Meri, Umar Gata Di Us Ne..

Ae Masoom Si Bholi Bhali Ladki


Ae Masoom Si Bholi Bhali Ladki

Kisi Se Tum Dil Na Lagana

Kisi Ko Aitbar o Bharosa Ka Rishta

Kabhi Na Dena

Ess Shaher Ke Logoon Ki Fitrat

Mosam Ki Si Hai

Jald Badal Jaty Hain

Dil Toor Jaty Hain

Hai Dil Kanch Ki Manind

Jo Ho Jaye Ager Tukre Tukre

To Judd Nahi Sakta

Ess Kanch Ke Tukre Ko Tum

Abhi Se Sanbhal Ke Rakhna

Na Kisi Per Aitabaar Kerna

Ae Masoom Si Ladki..........

Usay main ne likha tha

Usay main ne likha tha


Usey main nay he likha tha k
Lehjay barf ho jaen tu Pigla nahi kerty
Parinday darr ke urr jaen
Tu phir lota nai kerty
Usey main ney he likha tha
Yaqeen uth jae tu shayad
Kabi wapas nai atta
Hawaon ka koi tufan
Kabi barish nai lata
Usey main he likha tha
Ke Sheesha Toot jae tu
Kabi phir judd nai pata
Jo rasty se bhatak jae
Wo wapis murr nai pata
Usey kehna
Wo adhora khatt
Usey main ne he likha tha

Thursday, May 1, 2008

Ab kia likhain hum khaghaz per

Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai
Eik dil tha so wo toot gaya
Ab lautnay ko kia baqi hai
Eik Skakhas ko hum ne chaha tha
Eik rait pe qaqsh banaya tha
Wo rait to kab ki bikhar chuki
Wo Naqsh kahan ab baqi hai

Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai
Jo sapnay hum ne dekhay thay
Kaghaz per saray likh daalay
Wo saaray kaghaz phir hum ne
Darya kay hawalay kar daalay
Wo saaray khwab baha daalay,
Wo saaray naqsh mita daalay
Ab zahan ha khali Naqshoon ka,
koi khwab kahan ab baqi hai


Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai
Hum jinko apni Nazmoon ka
Unwaan banaya kartay thay
Lafzoon ka bana kar Taj Mahal
kaghaz per sajaya kartay thay
Wo hum ko akaila chor gaye
Sub rishtoon se monh moor gaye
Ab rastay saray soonay hain
Wo pyar kahan ab baqi hai


Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai ...!!!!??