Wednesday, June 4, 2008

Kachchi deewaar hoon thhokar na lagana mujhko

Kachchi deewaar hoon thhokar na lagana mujhko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !

Tumko aankhon mein tasavvur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dhadkan ki tarah tum bhi basaana mujhko !

Baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron se bataana mujhko !

Waada utna hi karo jitna nibha sakte ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhaana mujhko !

Apne rishte ki nazaaqat ka bharam rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujhko !

Kachchi deewaar hoon thhokar na lagana mujhko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !!

Tanhai

Tanhai
Her rooz Subhu Uthti Hoon
Dua Mangti Hoon
Tujh Se Milny Ki
Aur Tanhai Se Bicherny Ki
Lakin Na Jany Kya Baat Hai
Meri Duaain be Aser Hain
Ya Main
Jisey Kisi Ne Chaha Hi Nahi
Tanhai Mujh Per Ashiq Ho Gai Hai
Keh Tuu Mujhe Milta Nahi
Aur Tanhai Mujh Se Bicherti nahi

Tuesday, June 3, 2008

Tohfa kya doon tumhe duaao ke siwa

!! Meri duaa hai ke khush raho tum !!
!! Mile na koi gum jaha bhi raho tum !!

!! Samundar ki tarha dil hai gehra tumhara !!
!! Khushiyon se bhara rahe daman tumhara !!

!! Tum jo kaho woh har khawaish puri ho tumhari !!
!! Khuda se bhi bus yahi dua hai humari !!

!! Tohfa kya doon tumhe duaao ke siwa !!
!! Ke khuda humesha rahe razi tumse sada !!

Hum Safar Ki Talash

Tanha hai dil, na ko pass hai, na koi hum dum

U to chali ja rahi hai jindagi meri,Fir bhi kisi

Hum safar ka intzar hai, jo humare safar ko apne

Jindagi ka khubsurat hum safar bana sake, meri

Kaanto bhari tanhaiyo ko gulistan me badal sake.

Mere jindagi ke safar ko apne dil k manjil ka safar bana

Sake or voh koi nahi tum ho meri Jaan Anu

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai
Didaar e- mohabat ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karata nahi hai

Duwa yeh aati hai honton pe bar bar
Maut aane se pahle bas ek bar
Meri jaan ka didar hojaye
Dil hai ke koi aur sapna sajata nahi hai


Woh aayegi zaroor dil yeh kahta hai
Usi ki yaad mein khoyaa yeh rahta hai
Ab ruk ne ko hai yeh saanse meri
Aur yeh waqt hai ke ruk jata nahi hai

Monday, June 2, 2008

Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai

Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai
Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai

Mai Teri Rooh Mai Uttra Tha Kahan Kab Kaise
Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai

Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakta Hon
Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai

Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hon
ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kiya Hai

Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe
Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai

Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil
Tum Ho Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai

Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi
Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai

Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya
Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai

Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si
Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai

To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch
Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Fasana Kiya Hai

Kis se kahon...

Kis se kahon...




Kis se kahon....
Aur kon sunay ga?...
Jo haal tumharey baad huwa....
Iss jheell si neeli ankhon main...
Ek Khawaab bohut barbaad huwa..
Iss shehr main kitnay chehray thay...
Sub bhool gayey....
Kuch yaad nahin,,,,
Ek shakhs kitabon jesa tha..
Woh shakhs zubaani yaad huwa...