Friday, November 30, 2007

Tere Khusboo Main Basey Khat

* Tere Khusboo Main Basey Khat*


Tere khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe huwe khat mai jalaata kaise
Tere haathon ke likhe khat mai jalaata kaise
Jinko duniya ki nigahon se chupaye rakha


Jinko ek umr kaleje se lagaye rakha
Deen jinko jinhe imaan banaye rakha
Tere khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe huwe khat mai jalaata kaise


Jinka har lafz mujhe yaad hai paani ki tarah
Yaad they mujko jo paighaam-e-zubaani ki tarah
Mujhko pyaare they jo anmol nishaani ki tarah
Tere khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe huwe khat mai jalaata kaise



Toone duniya ki nigahon se jo bachkar likhi
Saal ha saal mere naam barabar likhi
Kabhi din mai toh kabhi raath ko uthkar likhi
Tere khusboo mai basey khat mai jalaata kaise

Pyar mai doobe huwe khat mai jalaata kaise
Tere haathon ke likhe khat mai jalaata kaise
Tere khat aaj mai Ganga mai bahaa aaya hoon
Aag behte huwe paani mai laga aaya hoon

Thursday, November 29, 2007

Lagta hai..АааТе


Lagta hai..АааТе

Zehen me yaado ke saaye hai..

Aaj fir yaado ke badal chaye hai..

Wo poochte hai hamare mushkurane ki wajah..

Kaisi kaheАааТе Kee aaj wo fir yaad aaye hai..

Kyu hogi humko unse milne kee aarzoo..

Kee door ho ke bhee kaha hum unse bichar paye hai..

OhhАааТе ye sukoon sa kyo mehsoos hua dil koАааТе

Lagta hai АааТе wo hume yaad kar ke abhi abhi muskuraye hai..

Mujhe Har Kaam Se Pehle



Mujhe Har Kaam Se Pehle
Sehar Se Shaam Se Pehle
Yahi Aik Kaam Karna Hai


Tumara Naam Lena Hai, Tumhe Ko Yaad Karna hai

Ke Jab Bhe Dard Pena Hai
Ke Jab Bhe Zakham Sehna Hai



Gham -e-Duniya Se ghabra Kar
Mujhe Jab Jaam Lena Hai
Tumara Naam Lena Hai
Tum He Ko Yaad Karna Hai




Tumari Yaad Hai Dil Mein, Aik Sayaad Hai Dil Mein
Khoi Barbad Hai Dil Mein,issay Abad Karna Hai

Tumara Naam Lena Hai
Tumai Ko Yaad Karna Hai....