Thursday, May 29, 2008

Mohabbaton Mein......



Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na milay

Agar gale nahi milta to haath bhi na milay



Gharo pe naam they namon ke saath ohade thi
Bohat talaash kiya koi aadmi na mila



Tamaam rishto ko mein ghar pe chor aayee thi
Phir us ke baad mujhe koi ajnabi na mila



Khuda ki itni badi kainaat mein maine
Bas ek shakhs ko maanga mujhe wahi na mila



Bohat ajeeb hai ye kurbaton ki doori bhi
Wo mere saath aur mujhe kabhi na mila

Wednesday, May 28, 2008

Lutf woh ishq mein paye hain

Lutf woh ishq mein paye hain ke jee janta hai
Ranj bhi aisay uthaye hain ke jee janta hai...

Jo zamane ke sitam hai woh zamana jane
Tu ne dil itne dukhaaye hain ke jee janta hai...

Muskurate hoe woh majmaa agiyar ke saath
Aaj youn bazm mein aaye hai hain ke jee janta hai...

Inhi qadmoN ne tumhare inhi qadmo ki qasam
Khaak mein itne milaye hain ke jee jaanta hai

Saadgi, bankpan, agmaaz, shararat, shokhi
Tu ne andaz woh paaye hain ke jee janta hai...

Kaaba-o-deer mein pathra gayi dono ankhein
Aisay jalwe nazar aaye hain ke jee janta hai...

Tum nahin jaante ab tak ye tumhare andaaz
Wo mere dil mein samaaye hain ke jee jaanta hai

Dosti mein teri, darparda hamare dushman
Is qadar apne paraye hain ke jee janta hai...

'Daag'-e-warafta ko hum aaj tere kooche se
Is tarah khainch ke laye hain ke jee janta hai

~*~Kal raat janay kia hua~*~

Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay neend say
Kuch ashk milnay aa gai
Kuch khwab bhee tootay huay
Kuch loog bhee bhoolay huay
Kuch rasta bhatki hueeN
Kuch gerd main liptee hueeN
Kuch bay-tarah phaili hueeN
Kuch khaul main simti hueeN

Bairabt C soochain kai
Bhooli huee batain kai
Ik shaks kee yadain kai

Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hee likhta raha

Kal raat bhee woh raat thee
Kuch dair pehlay neend say
Main dair tak rota raha

*** WOH NAAM MERA HI TO HOTA HAI ***

*!! Haatheli par jise likhti mitati ho !!
!! Woh naam mera hi to hai !!
!! Mehndi jiske naam ki rachai hai tune !!
!! Woh naam mera hi to hai !!

!! Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!
!! Dil pe tere jo naam likha hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!

!! Tere honthon pe jo kaanp raha hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!
!! Dhadkan mein jo teri gunj raha hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!

!! Apna naam jisse joda hai tune !!
!! Woh naam mera hi to hai !!
!! Tere naam ke bina jo adhura hai !!
!! Woh naam mera hi to hai !!

Tuesday, May 27, 2008

Hanste phool kaa chehra



!! Dhoop hai kya aur saaya kya hai ab malum hua !!
!! Ye sab khel tamasha kya hai ab malum hua !!

!! Hanste phool kaa chehra dekhun aur bhar aayi aankh !!
!! Apne saath ye kissa kya hai ab malum hua !!

!! Hum barason ke baad bhi unko ab tak bhool na paaye !!
!! Dil se unka rishta kya hai ab malum hua !!

!! Sahara sahara pyaase bhatake saari umar jale !!
!! Baadal ka ek tukda kya hai ab malum hua !!

Friday, May 23, 2008

Tum Gaye Ghum Nahin ...

Tum Gaye Ghum Nahin ...



tum gaye ghum naheen aankh ye num naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen
gulistan de diye to ne in kharon ko
mere hisse main to ek shabnam naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen

humsafar hum se ab chor de umeedain
humsafar hum se ab chor de umeedain
saath hum kia denge hum main ab dum naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen

tum se shikwa karain yaar hum kis tarhan
tum to tum hi rahe hum magar hum naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen
kaun hai duniya main jis ko sab kuch mila

kaun hai duniya main jis ko sab kuch mila
mujh ko sab kuch mila bas mile tum naheen
tum gaye ghum naheen aankh ye num naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen

*Koi to hota?

*Koi to hota?

Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta*

*Koi to hota?

Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

Koi to hota?

Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

Koi to hota?

Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

Koi to hota?

Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?