dua hai ki woh ab khwaabon mein na mile
aur meri aankhon mein koi aansoo na mile
woh mere deedaar ke liye behad tadpe
aur usse mera saya bhi na mile
jo galat-fehmi hum dono mein hai
dhoondhne se bhi usko koi uska sira na mile
meri yaadon ki uljhan mein itna ulajh jaaye
ke yaadon se bhagne ka raasta na mile
meri baaton ke samunder mein itna doobe
ke bhool ke bhi usko koi kinara na mile
jis din milna usi din hi bichhadna
ab humein milane wala koi din na mile
band aankhein jab bhi kare sone ke liye
neendon ke desh ka koi raasta na mile
main durr uss se itni durr chahli jaaun
ke mera use koi bhi nishaan na mile
mere dil ko be-dardi se todne wale
ab tujhko mujh sa koi na mile
chahton ka mausam toh do din mein guzar gaya
mujh sa chahne wali ab use koi na mile
meri aankhon se khwaab chheen-ne wale
tere liye dua main maangu par tujhe mera pyaar na mile
aur meri aankhon mein koi aansoo na mile
woh mere deedaar ke liye behad tadpe
aur usse mera saya bhi na mile
jo galat-fehmi hum dono mein hai
dhoondhne se bhi usko koi uska sira na mile
meri yaadon ki uljhan mein itna ulajh jaaye
ke yaadon se bhagne ka raasta na mile
meri baaton ke samunder mein itna doobe
ke bhool ke bhi usko koi kinara na mile
jis din milna usi din hi bichhadna
ab humein milane wala koi din na mile
band aankhein jab bhi kare sone ke liye
neendon ke desh ka koi raasta na mile
main durr uss se itni durr chahli jaaun
ke mera use koi bhi nishaan na mile
mere dil ko be-dardi se todne wale
ab tujhko mujh sa koi na mile
chahton ka mausam toh do din mein guzar gaya
mujh sa chahne wali ab use koi na mile
meri aankhon se khwaab chheen-ne wale
tere liye dua main maangu par tujhe mera pyaar na mile
No comments:
Post a Comment