Aah dil se nikli he abhi abhi
Koi phaans chubhi he abhi abhi
Kuch der to sog manane do yaron
Akhir chot khaayi he abhi abhi
Rukte nahi hain ye beqarar aansu
Koi sathi bichra he abhi abhi
Samjha ke bhi nahi samajhta ye dil
Jese koi qayamat giri he abhi abhi
Dard ki hawa chal rahi he har su
Jese gham ki andhi uthi he abhi abhi
Mana ke ayegi phir nayi subah Magar,
Ye to koi raat charhi he abhi abhi;
Teri bhi sunu ga lekin kal mere dost,
Aaj jese khud se maat khayi he abhi abhi;
Kyun KHAMOSH he har gali sheher ki?,
Kya koi anhoni ghati he abhi abhi….!
Koi phaans chubhi he abhi abhi
Kuch der to sog manane do yaron
Akhir chot khaayi he abhi abhi
Rukte nahi hain ye beqarar aansu
Koi sathi bichra he abhi abhi
Samjha ke bhi nahi samajhta ye dil
Jese koi qayamat giri he abhi abhi
Dard ki hawa chal rahi he har su
Jese gham ki andhi uthi he abhi abhi
Mana ke ayegi phir nayi subah Magar,
Ye to koi raat charhi he abhi abhi;
Teri bhi sunu ga lekin kal mere dost,
Aaj jese khud se maat khayi he abhi abhi;
Kyun KHAMOSH he har gali sheher ki?,
Kya koi anhoni ghati he abhi abhi….!
No comments:
Post a Comment