Ankh Barasti Hai Tere Naam Pe Sawan Ki Tarha
JIsm Sulga Hai Teri Yaad Mien Eendhan Ki Tarha
Lorian Di Hein Kisi Qarb Ki Khawahish Ne Mujhay
Kuch Jawani Ke Bhi Din Guzray Hein Bachpan Ki Tarha
Is Bulandi Se Mujhay Tu Ne Nawaza Kion Tha
Gir Mein Toot Gaya Kaanch Ke Bartan Ki Tarha
Mujhse Milte Huye Ye Bat Bhi Sochi Hoti
Main Tere Dil Mein Sama Sakta Hun Dhrakan Ki Tarha
Ab Us Ko Na Badnam Karega Koi
Uska Daaman Bhi Dareeda , Mere Daaman Ki Tarha
Muntazir Hai Kisi Makhsoos Si Aahat Ke Liye
Zindagi Baithi Hai Dehleez Pe,Barhan Ki Tarha
Na Koi Rah Ujali,Na Shabastan Mein Jala
Timtamata Hun Chiragh-e-sar-e-madfan Ki Tarha
....................
.
.........
No comments:
Post a Comment