Dastak pay mere haath ki khul jaao kisi din
Chehre pay mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisi din
Raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab
Dastak pay mere haath kii khull jaao kisi din
Pedon ki tarah husn kii baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarah jhoom kay ghar aao kisi din
Khushbuu ki tarah guzro mere dil kii gali say
Phuulon ki tarah mujh pay bikhar jaao kisi din
Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisi din
Guzrein jo mere ghar say tou ruk jaayein sitaare
Iss tarah meri raat ko chamkaao kisi din
Main apnii har ikk saans usii raat ko dey doon
Sarr rakh kay mere siine pay so jaao kisi din

No comments:
Post a Comment