kabhi tasveer banaya kartai thai
Alfaaz kabhi tasveer banaya kartai thai
Tumhein khayaloon mein saja kar
Khawaboon ko tabeer banaya kartai thai
Kabhi rang bhartai thai un mein chahat ka
Kabhi umangoon ko mehkaya kartai thai
Kabhi yadoon ko samo kar dil mein ye
Ashkoon ko bahaya kartai thai
Kabhi pehroon bethai tumhein sochtai to
Khud sai bhi sharmaya kartai thai
Kabhi intezar ki dehleez par tehrai ye
Khadshoon sai ghabraya kartai thai
Tum mohabbat kartai ho sirf mujhse
Ye keh kar mujhe behlaya kartai thai
Alfaaz kabhi tasveer banaya kartai thai
Tumhari rahoon mein sehmai sai
Tumhein bulaya kartai thai
Tumhein chupa kar ankhoon mein
Tumhein tumse churaya kartai thai
Kabhi simti hui yadoon mein liptai ye
Tumhari batoon ko dohraya kartai thai
Kabhi mohabbat ki anch to kabhi kurbat mein
Khud ko jalaya kartai thai
Har pal har lamha sang mere
Ye tumhein pukara kartai thai
Hatheli par likh kar naam sada
panai ki dua ye kartai thai
Alfaaz kabhi tasveer banaya kartai thai
Khawaboon ko tabeer banaya kartai thai
Kabhi khonai kabhi panai ki justuju mein
Khud sai ye haara kartai thai
Kabhi sapnoon ko ye buntai thai
Kabhi thak kar choor ho jaya kartai thai
Kabhi tasawur mein tumse ye
Iqraar-e-mohabbat kartai thai
Koi lamha aisa beeta na
Jab tumhein ye yaad na kartai thai
Ye doob kar tum mein aksar hi
Khud ko bhi bhulaya kartai thai
Kuch gumsum sai kuch khamosh sai ye
Khud sai nazrain bhi churaya kartai thai
Tumhein yadoon mein saja kar aksar ye
pehroon tumhein socha kartai thai
Ye aaj bhi wohi kartai hain
Jo pehlai kiya kartai thai
Ye aaj bhi sang hamarai chaltai hain
Wohi shamain hain wohi raatain hain
Jin mein khawab ye buntai hain
Ye aaj bhi tumhara naam liyai
Mujhse shararat kartai hain
Meri khamosh si in ankhoon mein
Ye deep jalai rakhtai hain
Hain aaj bhi mausam waisai hi
Jaisai pehlai hua kartai thai
Hain aaj bhi jazbai waisai hi
Jaisai pehlai hua kartai thai
Aaj bhi lafzoon sai hai tasveer saji
Jaisai pehlai sajaya kartai thai
Alfaaz kabhi tasveer banaya kartai thai
Khawaboon ko tabeer banaya kartai thai
No comments:
Post a Comment