kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain
jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
ab to maut ke thikaane dhoondte hain
kal khud hi apni mehfil se nikaala tha
aaj hue se deewaane dhoondte hain
musaafir be-khabar hain teri aankhon se
tere shahar mein maikhaane dhoondte hain
tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
hum to rone ke bahaane dhoondte hain
unki aankhon ko youn dekho na
naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain

No comments:
Post a Comment