Monday, April 28, 2008

My Best ShaYari....

*Dosti*
Pag pag me phool khile
khushiyan aapko itni mile
kabhi na ho dukhon ka samna
hai aapke liye dosti ki shubh kamana

------------------------------
*Tum banke*
Tum banke dost aise aaye zindagi me
ke hum yeh zamana hi bhool gaye
tumhe yaad aaye na aaye hamari kabhi
par hum toh tumhe bhulana hi bhool gaye

------------------------------


*Apne dil*
Apne dil ki baat hum unse keh nahi sakte
Bin kahe bhi jee nahi sakte
Aye khuda aisi takdeer bana
Woh humse khud aakar kahe
"HUM AAPKE BINA REH NAHI SAKTE"

------------------------------


*kabhi kabhi*
Kabhi kabhi dil udas hota hai
halka sa aankho ko ehsas hota hai
chhalakte hai meri aankh se aansu
jab aapke dur hone ka ehsaas hota hai

------------------------------


*woh dillnashi hamara imtehan*
* *
woh dilnashi hamara imtehan kya legi
nazre mili to nazre jhuka legi
use hamari kabr pe diya jalane mat dena yaaro
abhi woh nadan hai kahi apna hath jala legi

------------------------------


*Duniya me***
Duniya mein bahut gham milenge
Sachh maano ache dost kam milenge
Jis modh par sab saath chodh denge
Us mod par intezar karte hum aapko milenge

------------------------------


*Dur rehkar*
Dur rehkar kareeb rehne ki aadat hai
yaad bankar aankhon se behne ki aadat hai
kareeb na hote hue bhi kareeb paoge
mujhe ehsaas bankar rehne ki aadat hai

------------------------------


*kuch rishte*
Kuch Rishte upar wala banata hai
Kuch Rishte Log banate hain Par
kuch Log bina koi Rishte ke hi Rishte
Nibhate hain, Shayad wohi Dost kehlate hain

------------------------------


*shikayat kaun kare*
hame apno ne luta
gairo se shikayat kaun kare
hamne phoolo se zakhm khaye hain
gairo se shikayat kaun kare
Dil sheesa samajh kar tod diya
manzil par la kar chod diya
yeh pyar nahi ek sapna tha
sapno se shikayat kaun kare

------------------------------


*Mujhe Aitbar Ki Adat Nahi Rahi*
Kuch main bhi thak gaya hoon use dhoondte dhoondte
Kuch zindagi ke pass bhi mohlat nahin rahi
Us ki ek ek ada se jhalakne laga hai pyar
Jub mujhe aitbar ki adat nahin rahi

No comments: