Band Darwazoon Se Uljhan Hoti Hay Mujhay
Aisa Lagta Hay k Jaisy
Mery Honton Pe Kisi Ne
Meri Saansein Rok Di Hon
Mujhay Band Darwazey Achay Nahi Lagtay
Barson Pehlay Uss Ne b To Aisa Hi Kiya Tha
Aik Hi Pal Mein
Aik Hi Ghari Mein
Ajnabi Ban Gayi Thi Vo
Hawa Samjha Tha Main Usay
Meri Har Ik Saans Mein Shamil Thi Vo
Magar...Hawa Jab Aandhi Ban Jaye
To Saansein Rukney Lagti Hain
Rishtay Girnay Lagtay Hain
Hum Donoo k Beech b Kayi Darwazey Thy
BeYaqeeni Aur Shakk k Darwazey
k Band Rahein To Aitbaar Ghatay
Aur Khul Jayein To Saans Ghutay
Aur Phir Aik Din Uss Ne
Hamary Rishtay Ka
Vo Aakhri Darwaza b
Mery Chehrey Pe Band Kar Diya
Bas Usi Din Se
Mujhay Band Darwazey Achay Nahi Lagtay
Band Darwazey Udas Kartay Hain
Yehi Soch Kar Shehar Se Zara Door
Ik Kachi Sadak k Kaandhay Par
Ik Ghar Banaya Tha Main Ne
Jab Darwaza Laganey Ki Bari Aayi
To Maimaar Bola
"Kiun Sahib"Kaisa Darwaza Chahiye?
Aur Phir Usi Saans Mein Kayi Kismein Ginwa Dein
"Nahi Dost,Darwaza Nahi Chahiye"
Vo Hairat Se Khamosh Ho Gaya
Main b Chup Raha
Usay Kya Batata
Band Darwazey Udas Lagtay Hain
Jaisy Zindagi Ki Tez Hawaon Mein Meri Saansein Rukti Hain
Wesy Hi Deewaron Ki Sakhti Mein
Un Ka Dam b GhutTa Hoga
Un Ka Gham b Barhta Hoga
Isi Liye Bina Darwazey k Ghar Tha Mera
Magar...Bina Darwazey k Ghar Khali Khali Lagta Tha
Meri Gurbat Kosoon Door Se Nazar Aati Thi
Isi Muflisi Ko Chupanay k Liye
Aangan Mein Ik Pairr Lagaya
Apna Khali Ghar Chupaya
Phir Chand Dinoon Baad Suna k
Ik Mushkil Aan Pari Thi Usay
"Uss Ka Jahaiz"
Han Uss Ki Shadi Honay Ja Rahi Thi
Vo b Kya Karti
Qadam Qadam Chalney Ki Sakat Nahi Thi Uss Mein
Chahti Thi k Bas Khari Rahey
Aur Pairon Talay Se Rastay Siraktay Jayein
Magar Raston k Kahan Paaon Hotay Hain
Bas Achay Dinoon Ki Talash Mein Chalti Rahi
Aik Chhaon Ki Talash Mein Jalti Rahi
Bohat Dinoon Baad Aik Rishta Aaya Tha Uss k Liye
Jahaiz Na Diya To Kahin Toot Na Jaye
Bojhal Haathon Se
Barsoon Baad Main Ne
Phir Usi Darwazey Par Dastak Di
Jo Uss Ne Mery Chehray Par Band Kiya Tha
Socha....Agar Usi Ne Darwaza Khola To Qayamat Hogi
Magar Qayamat To Barsoon Pehlay Guzar Chuki
Ik Ajnabi Chehrey Ne Darwaza Khola
Thakay Haathon Se Paisoon Ki Ik Potli Usay Thama Aya
Bina Darwazey Ka Makaan Girvi Rakh Aya Tha Main
Jaisi b Thi
Meri Jaan Thi Vo
Mery Liye Mera Jahan Thi Vo
Phir Suna k Bari Dhoom Se Shadi Hoyi Thi Uss Ki
Kayi Din Uray
Apna Ghar Kho Chuka Hon
Makaan Churaney k Liye Paisy Nahi Thy
Magar Iss Umeed Par Ghar Ki Simat Chalta Ja Raha Hoon
k Kon Khareedy Ga Bina Darwazey Ka Ghar
Kon Rahay Ga Khali Deewaron Mein
Uss Kachay Rastay Se Morr Kata
Jis k Kaandhey Pe Apnay Ghar Ka Zimma Chora Tha
Rasta Sara Jhulas Gaya Hay
Uss Kachay Rastay Pe Parney Wali chhaon Ko Kisi Ne Kat Diya Hay
Aangan Sara Ujarr Gaya Hay
Vo Tanha Pairr
Mery Aangan Mein Nahi Raha Hay
Ghar Ki Janib Qadam Barhay
To Deewaron Ne Rasta Rok Liya
Ik Darwazey Ne Rasta Rok Liya
Mery Aangan Mein Lagay Pairr Ko Kaat Kar
Darwaza Bana Diya Hay Kisi Ne
Darwazey Ki Lakrri mein Jhari Gaanthein
Uss Darwazey Ki Aankhein Hain
Ab Tak Mujh Ko Dekh Rahi Hain
Uss Ki Aankhon Se Aankhein Nahi Mila Pata
Ab Nazrein Jhuki Hain Meri
k Mujh Se Band Darwazey Ki Udasi Dekhi Nahi Jati...!!!
No comments:
Post a Comment