kisi ke pyar ne phir jeena sikhaya hai
rootha hua tarana hothon ko gunguna na sikhaya hai
band karke aankhen aaj phir sagar kinare chalne ki hasrat hui hai
kisi ne itne pyar se phir in raaston pe chalna sikhaya hai
khud mein simti simti si rehne lagi thi mein zindagi se door
'kisi ne phir apni baahon mein pighalana sikhaya hai
kiya tha basera maine veerano ki in galiyn mein,
dard ke in gahrondo se aaj kisi ne nikalna sikhaya hai
bhool gayi thi hasraton ko ujadta hua dekh ki mein bhi sundar hoon
phir kisi ne magar apne liye saarana sikhaya hai
yu toh toofanoo ne mujhe bikhar diya tha
aur aab unse darr bhi nahi lagta tha
aaj magar mere darr ko kisi ne bhanwar mein utarana sikhaya hai
aasman se aisi giri thi mein ki unchaiyon ke jikar se bhi saham jati thi
par pyar ki seediyan aaj kisi ne chadna sikhaya hai,
kore kagazon se dil bhar sa gaya tha mera,
ehsaason ka masoom haath pher kar phir kisi ne
dil ko phir kuch likhana sikhaya hai.

No comments:
Post a Comment